❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Jawab ek se zyada!
Sawal: Ek Sahabhi ne Rasool-Allah Sallalahu Alaihi wasallam
se arz kiya ke unko unki Qaum ka Imam bana de toh Rasool-Allah Sallalahu Alaihi
wasallam ne un sahabi ko Imam banakar kya kya naseehat di?
A: Namaz ko taweel mat karna
B: Quran ki achchi tilawat karna
C: Apne ahal wa ayal mai insaf karna
D: Zayda kamzoor ka khayal rakhna
E: Aisa Muaazin rakhna joh apni azan per ujrat na le
F: Apne Muslman Bhai se Muskura kar milna
G: Apni aawaz mein Narmi ikhtiyar karna
H: Sahi Jawab ka Intezaar?
Sahi Jawab - DE✅
Reference📚:
Syedna Utmaan Bin Abi alaas Radi Allahu Anhu kehte hain mein
ne kaha Eh Allah ke Rasool Sallalahu Alaihi wasallam Allah mujhe meri qoum ka
Imam bana dijiye. Aap Sallalahu Alaihi wasallam Allah ne farmaya (theek hai),
to unn ka Imam hai, un mein se ziyada kamzor ka khayaal rakhna aur Raisha
Muaazin mukarrar karna joh apni azan per ujrat na leta ho.
----------------
سیّدنا عثمان بن
ابی العاص رضی اللہ عنہ کہتے
ہیں: میں نے کہا:
اے اللہ کے
رسول! مجھے میری قوم
کا امام بنا
دیجئے۔ آپ صلی اللہ
علیہ وآلہ وسلم نے فرمایا: (ٹھیک
ہے)، تو
اُن کا امام
ہے، ان میں
سے زیادہ کمزور
کا خیال رکھنا
او رایسا مؤذن
مقرر کرنا جو اپنی
اذان پر اجرت
نہ لیتا ہو۔
Sahih Hadees
Musnad Ahmed Hadees # 1281
No comments:
Post a Comment