Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Thursday, 30 January 2020

Meri Ummat par Sab se zyada Raham dil 2. Allah ke mamle mein sab se sakht 3. Sab se zyada ba Hayya 4. Sab se zyada Qari 5. Farayez ko janne wala 6. Halal aur haram ka zyada Ilm rakhne wala 7. Meri Ummat ka Ameen


Only-Quran-Hadith-Quiz


Sahi milan kijiye...

1. Meri Ummat par Sab se zyada Raham dil
2. Allah ke mamle mein sab se sakht
3. Sab se zyada ba Hayya
4. Sab se zyada Qari
5. Farayez ko janne wala
6. Halal aur haram ka zyada Ilm rakhne wala
7. Meri Ummat ka Ameen

A: Usman Radi Allahu anhu
B: Ubai Bin Kaab Radi Allahu anhu
C: Umar Radi Allahu anhu
D: Abu Ubaidah Bin Jarah Radi Allahu anhu
E: Abu Bakr Radi Allahu anhu
F: Maaz Bin Jabal Allahu anhu
G: Abdullah Bin Maghfal Radi Allahu anhu
H: In mai se koi nahi

I: Sahi jawab ka intezar hai



Sahi Jawab
1E
2C
3A
4B
5H
6F
7D

Reference📚:

Anas Radi Allahu Anhu se marwi hai ke Rasool-Allah Sallalahu Alaihi wasallam ne farmaya Meri ummat mein se meri ummat par sab se ziyada Raham dil Abu Bakr Radi Allahu anhu hain, aur Allah ke muamlay mein sab se sakht Umar Radi Allahu anhu hain sab se ziyada ba haya Usmaan Radi Allahu anho, sab se ziyada qaari Ubai Bin Kaab Radi Allahu anhu, faraiz ko janne wala Zaid Bin Saabit Radi Allahu anhu, aur halal o haraam ka ziyada ilm rakhne wala Maaz Bin Jabal Radi Allahu anhu hai khabardaar har ummat ka ek Ameen hai aur meri ummat ka Ameen Abu Ubaida Bin Jarah Radi Allahu anhu hain.
-------------------
انسرضی اللہ عنہ سے مروی ہے كہ رسول اللہ  صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: میری امت میں سے میری امت پر سب سے زیادہ رحمدل ابو بكر  رضی اللہ عنہ  ہیں، اور اللہ كے معاملے میں سب سے سخت عمر رضی اللہ عنہ  ہیں۔سب سے زیادہ با حیا عثمان رضی اللہ عنہ ، سب سے زیادہ قاری ا بی بن كعب رضی اللہ عنہ ، فرائض كو جاننے والا زید بن ثابت رضی اللہ عنہ ، اور حلال و حرام كا زیادہ علم ركھنے والا معاذ بن جبل رضی اللہ عنہ  ہے۔ خبردار   ہر امت كا ایك امین ہے اور میری امت كا امین ابو عبیدہ بن جراح  رضی اللہ عنہ
----------------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 3353

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...