Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Thursday, 30 January 2020

Shaheed ke liye inmein se kya kya sawab hai?


Only-Quran-Hadith-Quiz

Jawab ek se zyada hai!

Sawal: Shaheed ke liye inmein se kya kya sawab hai?

A: Us ko Qayamat ke din ezzat ka taj pahnaya jayega
B: Wo azab e qabr se bacha liya jata hai
C: Uske sir par waqar wala taaj rakha jata hai jo dunya aur jo kuch usmein hai us se behter hai
D: Usse Imaan ka Libaas pehna diya jata hai
E: 70 Huroon se is ki shadi kar di jati hai
F: 72 gharwalo ki shifarish karega
G: Khoon ka pahla qatra girte he uski bakshish ho jati hai
H: Wo Jannat mein apna thikana dhek leta hai

I. Sahi jawab ka intezar hai

Sahi Jawab - BCDGH

Reference📚:

Miqdam Bin Madiyjarib Radi Allahu Anhu se rivayat hai ke Raool-Allah Sallalahu Alaihi wasallam ne farmaya Allah Subhanahu ke waha Shaheed ke liye kuch inamaat hain

1.            Khoon ka pahla qatra girte he uski bakshish ho jati hai
2.            Wo Jannat mein apna thikhana dehk leta hai
3.            Usse Imaan ka Libaas pehna diya jata hai
4.            Bahattar (72) Huroon se is ki shadi kar di jati hai
5.            Azab e qabar se bacha liya jata hai
6.            Badi Ghabrahat se Aman mein rehta hai
7.            Uss ke sir par waqar (izzat) ka taaj rakh diya jata hai jis ka ek yaqoot duniya aur joh kuch iss mein hai iss se behtar hai
8.            Sattar (70) gharwalo ki shifarish karega
--------------
مقدام بن معدیكربرضی اللہ عنہ سے مروی ہے كہ رسول اللہ  صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: اللہ كے ہاں شہید كے لئے كچھ انعامات ہیں: ١۔خون كا پہلا قطرہ گرتے ہی اسے معاف كر دیا جاتا ہے۔٢۔ وہ جنت میں اپنا ٹھكانہ دیكھ لیتا ہے۔٣۔ اسے ایمان كا لباس پہنا دیا جاتا ہے۔٤۔ (بہتر 72)حوروں سے اس كی شادی كر دی جاتی ہے۔ ٥۔ عذابِ قبر سے بچا لیا جاتاہے۔٦۔ بڑی گھبراہٹ سے امن میں رہتا ہے۔٧۔ اس كے سر پر وقار كا تاج ركھ دیا جاتاہے جس كا ایك یاقوت دنیا اور جو كچھ اس میں ہے اس سے بہتر ہے۔٨۔ اپنے ستر(70) گھر والوں كی سفارش كرے گا
----------------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 1495

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...