❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Jawab ek se zayda hai!
Sawal: Abdullah Bin Masood Radi-Allahu-Anhu ne jab
Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam
se pucha tha ki Allah ko kaunsa amal mehboob hai to Aap ne kaun kaun se
amal bataye?
A: wo amal jo hameshgi ki jaye chahe wo thoda he ho
B: Neik kaam karne mein itni hi takleef uthao jitni taqat ho
C: Waqt per Namaz padna
D: Waldein ke saath neik suluq karna
E: Jihad karna
F: Mareez ki ayadat karna
G: Janaze mein shareek hona
H: Amanat ki hifazat karna
I: Sahi Jawab ka Intezaar?
Sahi Jawab - CDE✅
Reference📚:
Abdullah bin Masood Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki
mainey Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam se pucha ki Allah taala ki
baargah mein kaunsa Amal ziyada Mehboob hai, Aap Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne
faramaya apney waqt par namaz parhna, maine pucha iskey baad farmaya waldein ke
saath neik suluq karna, mainey pucha iskey baad Aapney farmaya Allah ke raastey
mein Jihad karna.
Sahih Bukhari, Vol 1, # 527
------------------
Narrated 'Abdullah bin Masood Radi-Allahu-Anhu :I asked the
Prophet Peace be upon him "Which deed is the dearest to Allah?" He
replied, "To offer the prayers at their early stated fixed times." I
asked, "What is the next (in goodness)?" He replied, "To be good
and dutiful to your parents" I again asked, "What is the next (in
goodness)?" He replied, To participate in Jihad (religious fighting) in
Allah's cause."
{Sahih Bukhari, Volume 1, Book
10, Number 505}
No comments:
Post a Comment