❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Jin ke liye jo misal di gaye hai uss hesab se sahi milan
kijiye!
A: Unn Janwaron ki tarah hai jo apne charwahey ki sirf pukar
aur aawaz hi sunte hai samajhte nahi
B: Uss daney jaise hai jiss mein saat baliyan niklen aur har
bali mein so daney ho
C: Uss saaf pathar ki tarah hai jiss per thodi si mitti ho
phir uss per zor daar meenh barse aur wo isse bilkul saaf aur sakht chor de
1: Sharabi
2: Kuffar
3: Jo log apna maal Allah ki rah mein kharch karte hai
4: Muhajir
5: Maidane jung se bhagne wale
6: Munafiq
7: Joh dhikawe ke liye karch kare aur Na Allah aur uski
Akhirat per Eman rakhte
8: Jis Ilm se Faida hasil nahi kiya jaata
9. Sahi jawab ka intezar hai?
Sahi Jawab✅
A-2
B-3
C-7
Reference📚:
--------------------
2 : سورة
البقرة 171
وَ مَثَلُ الَّذِیۡنَ کَفَرُوۡا
کَمَثَلِ الَّذِیۡ یَنۡعِقُ بِمَا
لَا یَسۡمَعُ اِلَّا
دُعَآءً وَّ نِدَآءً
ؕ صُمٌّۢ بُکۡمٌ عُمۡیٌ فَہُمۡ لَا یَعۡقِلُوۡنَ
﴿۱۷۱﴾
Kuffaar ki misal unn Janwaron ki tarah hai jo apney
charwahey ki sirf pukar aur aawaz hi ko suntay hain ( samajhtay nahi ) woh
behray goongay andhay hain enhan aqal nahi.
--------------------
2 : سورة البقرة 261
مَثَلُ الَّذِیۡنَ یُنۡفِقُوۡنَ اَمۡوَالَہُمۡ فِیۡ سَبِیۡلِ اللّٰہِ
کَمَثَلِ حَبَّۃٍ اَنۡۢبَتَتۡ سَبۡعَ
سَنَابِلَ فِیۡ کُلِّ سُنۡۢبُلَۃٍ
مِّائَۃُ حَبَّۃٍ ؕ وَ
اللّٰہُ یُضٰعِفُ لِمَنۡ یَّشَآءُ
ؕ وَ اللّٰہُ وَاسِعٌ
عَلِیۡمٌ ﴿۲۶۱﴾
Jo log apna maal Allah Taalaa ki raah mein kharach kertay
hain uss ki misal uss daney jaisi hai jiss mein saat baliyan niklen aur her
bali mein so daney hon aur Allah Taalaa jissay chahaye barha charha ker dey aur
Allah Taalaa kushadgi wala aur ilm wala hai.
---------------------
2 : سورة
البقرة 264
یٰۤاَیُّہَا
الَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡا لَا تُبۡطِلُوۡا
صَدَقٰتِکُمۡ بِالۡمَنِّ وَ الۡاَذٰی
ۙ کَالَّذِیۡ یُنۡفِقُ
مَالَہٗ رِئَآءَ النَّاسِ وَ
لَا یُؤۡمِنُ بِاللّٰہِ
وَ الۡیَوۡمِ الۡاٰخِرِؕ
فَمَثَلُہٗ کَمَثَلِ
صَفۡوَانٍ عَلَیۡہِ تُرَابٌ فَاَصَابَہٗ
وَابِلٌ فَتَرَکَہٗ صَلۡدًا ؕ لَا یَقۡدِرُوۡنَ
عَلٰی شَیۡءٍ مِّمَّا کَسَبُوۡا
ؕ وَ اللّٰہُ لَا
یَہۡدِی الۡقَوۡمَ الۡکٰفِرِیۡنَ ﴿۲۶۴﴾
Aey eman walon apni kheyraat ko
ehsan jata ker aur ezza phoncha ker barbad na kero! Jiss tarah woh shaks apna
maal logon kay dikhaway kay liye kharach keray aur na Allah Taalaa per eman
rakhay na qayamat per uss ki misal uss saaf pathar ki tarah hai jiss per thori
si mitti ho phir uss per zor daar meenh barsay aur woh issay bilkul saaf aur
sakht chor dey inn riya kaaron ko apni kamaee mein say kuch cheez haath nahi
lagti aur Allah Taalaa kafiron ki qom ko ( seedhi ) raah nahi dikhata.
No comments:
Post a Comment