Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Thursday, 26 November 2020

Subah aur Sham ko RasoolAllah Sallallahu Alaihi wasallam par 10 baar durud bhejne ki fazilat



Bismillahirahmanirrahim

Subah aur Sham ko RasoolAllah Sallallahu Alaihi wasallam par 10 baar durud bhejne ki fazilat
----
اللَّهُمَّ صَلِّ عَلَى مُحَمَّد

Allahumma Salli Ala Muhammed
----
Eh Allah Rahmat nazil farma Muhammed Sal-Allahu Alaihi Wasallam par
----
Abu Darda Radi Allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya jo shaksh mujh par subah 10 baar aur sham ko 10 baar durud bhejega to usko Qayamat ke din meri shafaat hasil hogi.
Sahi Al Jame - 6357-Hasan
Sahih Al Targeeb Wa Al tarheeb, 659-Hasan
----
رسول ﷺ  نے فرمایا جو شخص مجھ پر صبح ١٠ بار اور شام کو ١٠ بار دورود بھیجےگا تو اس کو قیامت کے دن میری شفاعت حاصل ہوگی 
-----
Narrated by Abu Darda Radi Allahu anhu Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  said The one who recites durood upon me ten times in the morning and ten times in 
the evening,  I will intercede for him on the day of Qayamah
Sahi Al Jame - 6357-Hasan
Sahih Al Targeeb Wa Al tarheeb, 659-Hasan

اللَّهُمَّ صَلِّ عَلَى مُحَمَّد
Allahumma Salli Ala Muhammed
---
Oh Allah send blessings on Prophet Muhammed Sal-Allahu Alaihi Wasallam


 

Jo ek martaba Darood padhega toh Allah Subhanahu us par 10 martaba rehmat behjega aur uske 10 gunah maaf honge



Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Jo ek martaba Darood padhega toh Allah Subhanahu us par 10 martaba rehmat behjega aur uske 10 gunah maaf honge
Sunan An Nasaii, Vol1, No. 1300- Sahih
------
اللَّهُمَّ صَلِّ عَلَى مُحَمَّد

Allahumma Salle Ala Muhammed
----
Eh Allah Rahmat Nazil farma Muhammed Sallallahu Alaihi wasallam par
-----
اے الله رحمت نازل فرما محمد صلی علیہ وسلم پر
-----
Oh Allah send blessings on Prophet Muhammed Sallallahu Alaihi Wasallam


 

SubhanAllah, Alhumdullilah La illaha illallaha Allahu Akbar behtareen kalaam hai joh Allah Subhanahu ko intehai pasand hain.



Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: SubhanAllah, Alhumdullilah La illaha illallaha Allahu Akbar behtareen kalaam hai joh Allah Subhanahu ko intehai pasand hain.
-----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wa sallam ne farmaya chaar kalme, SubhanAllah, Alhumdullilah La illaha illallaha Allahu Akbar behtareen kalaam hain. 
aur Allah Subhanahu ko chaar kalme intehai pasand hain, SubhanAllah, Alhumdullilah La illaha illallaha Allahu Akbar, un mein se jisse bhi pehle padho woh tumahray liye muzir nahi.
----
حضرت سمرہ بن جندب   ؓ  بیان کرتے ہیں ، رسول اللہ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے فرمایا :’’ چار کلمے ، سبحان اللہ ، الحمدللہ ، لا الہ الا اللہ اور اللہ اکبر ، بہترین کلام ہیں 
اللہ کو چار کلمے انتہائی پسند ہیں ، سبحان اللہ ، الحمدللہ ، لا الہ الا اللہ اور اللہ اکبر ، ان میں سے جسے بھی پہلے پڑھو وہ تمہارے لئے مضر نہیں ۔‘‘ 
----
Mishkat ul Masabeeh#2294-Sahih


 

Juma ki raat Surah Al-Kahaf padhne ki fazeelat



Bismillahirrahmannirrahim

Juma ki raat Surah Al-Kahaf padhne ki fazeelat
----
Abu Saeed Khudri RadiAllahu Anhu se rivayat hain ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya jisne Juma ki raat Surah Kahaf padhi uske aur baitullah ke darmiyan Noor ki roshni ho jati hain (Note: Jumerat ko Magrib ke baad se Juma ki raat shuru ho jati hain)

Saheeh Al-Jaami, 6471, Sunan Al-Daarimi, 3407-Sahih
Al Baihiqi, Subbul Iman 2231-Hasan
----
ابوسعید خدری رضي اللہ تعالی عنہ بیان کرتے ہیں کہ نبی صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا  جس نے جمعہ کی رات سورۃ الکھف پڑھی اس کے اور بیت اللہ کے درمیان نورکی روشنی ہوجاتی ہے
------
Narrated by Abu Saeed Al-Khudri RadiAllahu Anhu The Prophet Sallallahu Alaihi wasallam said whoever reads Surah Al Kahaf on the night of Friday, will have a light that will stretch between him and the Ancient House (The Kabah).

Saheeh Al-Jaami, 6471, Sunan Al-Daarimi, 3407-Sahih
Al Baihiqi, Subbul Iman 2231-Hasan


 

kis ke liye farmaya gaya hain ke uske saare aamaal mardood hogaye

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: kis ke liye farmaya gaya hain ke uske saare aamaal mardood hogaye

A: Jhoot bolne wala
B: chugali karne wala
C: Logo ka aib bayan karne wale
D: Azan sun kar Namaz ko na jaane wale
E: Gaana bajana ya sunne wale
F: Ziyada hasne wala
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka intezaar
******
Sahi Jawab - G✅

Namaz ko mukummal teen hisso mein sahi se adda karne wale ki Namaz qabool hogi aur  uske saare aamal qabool honge aur jiski Namaz mardood hogi uske saare aamal bhi mardood honge

Reference📚:
-----
Abu Huraira RadiAllahu Anhu se riwayat hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Namaz teen hisson mein taqseem hain pakeezgi ek tihai hain, aur ruku ek tihai hain aur sajda ek tihai hain, jis ne usse kama haq ada kiya to is ki Namaz qabool ki jayegi, aur is ke sare aamaal qabool honge aur jis ki Namaz mardood hogayi is ke saare aamaal mardood hogaye
----
It was narrated on the authority of Abu Huraira RadiAllahu Anhu that the Messenger of Allaah Sallallahu Alaihi wasallam said: The prayer is divided into three parts, the purity is one-third, the bowing is one-third, and the prostration is one-third. And all his deeds will be accepted, and he whose prayers are rejected, his deeds will be rejected.
------
ابو ہریرہرضی اللہ عنہ سے مروی ہے كہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: نماز تین حصوں میں تقسیم ہے، پاكیزگی ایك تہائی ہے،اور رکوع ایک تہائی  ہے اورسجدے  ایك تہائی ہیں، جس نے اسے كماحقہ ادا كیا تو اس كی نماز قبول كی جائے گی، اور اس كے سارے اعمال قبول ہوں گے اور جس كی نماز مردود ہوگئی اس كے سارے اعمال مردود ہو گئے
-----
Al-Silsila-tus-Sahiha#643-Sahih

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...