Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Thursday, 26 November 2020

kis ke liye farmaya gaya hain ke uske saare aamaal mardood hogaye

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: kis ke liye farmaya gaya hain ke uske saare aamaal mardood hogaye

A: Jhoot bolne wala
B: chugali karne wala
C: Logo ka aib bayan karne wale
D: Azan sun kar Namaz ko na jaane wale
E: Gaana bajana ya sunne wale
F: Ziyada hasne wala
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka intezaar
******
Sahi Jawab - G✅

Namaz ko mukummal teen hisso mein sahi se adda karne wale ki Namaz qabool hogi aur  uske saare aamal qabool honge aur jiski Namaz mardood hogi uske saare aamal bhi mardood honge

Reference📚:
-----
Abu Huraira RadiAllahu Anhu se riwayat hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Namaz teen hisson mein taqseem hain pakeezgi ek tihai hain, aur ruku ek tihai hain aur sajda ek tihai hain, jis ne usse kama haq ada kiya to is ki Namaz qabool ki jayegi, aur is ke sare aamaal qabool honge aur jis ki Namaz mardood hogayi is ke saare aamaal mardood hogaye
----
It was narrated on the authority of Abu Huraira RadiAllahu Anhu that the Messenger of Allaah Sallallahu Alaihi wasallam said: The prayer is divided into three parts, the purity is one-third, the bowing is one-third, and the prostration is one-third. And all his deeds will be accepted, and he whose prayers are rejected, his deeds will be rejected.
------
ابو ہریرہرضی اللہ عنہ سے مروی ہے كہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: نماز تین حصوں میں تقسیم ہے، پاكیزگی ایك تہائی ہے،اور رکوع ایک تہائی  ہے اورسجدے  ایك تہائی ہیں، جس نے اسے كماحقہ ادا كیا تو اس كی نماز قبول كی جائے گی، اور اس كے سارے اعمال قبول ہوں گے اور جس كی نماز مردود ہوگئی اس كے سارے اعمال مردود ہو گئے
-----
Al-Silsila-tus-Sahiha#643-Sahih

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...