Bismillahirrahmannirrahim
Hadith: Taqdeer mein joh hone wala hain usse likh kar Allah Subhananhu ne Qalam ko khushk kar diya hain
--------
Abdullah bin umro bin Aas RadiAllahu Anhuma se riwayat hai ke Allah Subahnahu ne makhlooq ko andhere mein paida farmaya aur un par apna Noor daal diya to jis shakhs taq yeh noor poanch gaya woh hidayat pa gaya aur jis taq nahi pahoncha woh gumraah hogaya. Abdullah RadiAllahu Anhu ne kaha: isi liye mein kehta hon ke jo hone wala hai usse likh kar qalam khushk ho chuka hain.
--------
عبداللہ بن عمرو بن عاص رضی اللہ عنہما سے مرفوعا مروی ہے کہ اللہ تعالیٰ نے مخلوق کو اندھیرے میں پیدا فرمایا: اور ان پر اپنا نورڈالا تو جس شخص تک یہ نور پہنچ گیا وہ ہدایت پاگیا اور جس تک نہیں پہنچا وہ گمراہ ہوگیا۔ عبداللہ رضی اللہ عنہ نے کہا: اسی لئے میں کہتا ہوں کہ: جو ہونے والا ہے اسے لکھ کر قلم خشک ہو چکا ہے۔
-----
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 3106
No comments:
Post a Comment