Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Tuesday 18 February 2020

Hadith: Deen ki asal iss ka sutoon aur iss ki choti ka bayan


Bismillahirrahmannirrahim

Hadith:  Deen ki asal iss ka sutoon aur iss ki choti ka bayan 
-------
Maaz bin Jabal Radi Allahu Anhu se riwayat hai Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya kya mein tumhein Deen ki asal ,iss ka sutoon aur iss ki choti na bata du meine kaha kyu Nahi Ya Rasool-Allah (Sallallahu Alahih Wasallam) zarur bataye Aap Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya Deen ki asal Islam hai aur iss Ka sutoon ( Sahara) Namaz hai aur iss ki choti Jihad hai phir Aap Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya kya mein tumehin iss tammam baaton Ka jis cheez par daromadar ( ikhtiyar) hai wo na bata du ? Meine Kaha ji Haan Allah ke Nabi phir Aap Sallallahu Alahih Wasallam ne apni Zuban Mubarak pakdi aur farmaya issay apne Qabu mein rakho mein ne Kaha Allah ke Nabi kya ham Jo Kuch bolte hai us par pakde jaenge ? Aap Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya tumari Maa tum par roye Maaz Radi Allahu Anhu log apni zubano ke badh badh hi ki wajah se tum aundhe muh ya nathnon ke bal Dozakh mein dale jaenge
----
آپ نے پھر فرمایا: ”کیا میں تمہیں دین کی اصل، اس کا ستون اور اس کی چوٹی نہ بتا دوں؟“ میں نے کہا: کیوں نہیں؟ اللہ کے رسول ( ضرور بتائیے ) آپ نے فرمایا: ”دین کی اصل اسلام ہے ۲؎ اور اس کا ستون ( عمود ) نماز ہے اور اس کی چوٹی جہاد ہے“۔ پھر آپ نے فرمایا: ”کیا میں تمہیں ان تمام باتوں کا جس چیز پر دارومدار ہے وہ نہ بتا دوں؟“ میں نے کہا: جی ہاں، اللہ کے نبی! پھر آپ نے اپنی زبان پکڑی، اور فرمایا: ”اسے اپنے قابو میں رکھو“، میں نے کہا: اللہ کے نبی! کیا ہم جو کچھ بولتے ہیں اس پر پکڑے جائیں گے؟ آپ نے فرمایا: ”تمہاری ماں تم پر روئے، معاذ! لوگ اپنی زبانوں کے بڑ بڑ ہی کی وجہ سے تو اوندھے منہ یا نتھنوں کے بل جہنم میں ڈالے جائیں گے؟
---
Then he said: 'Shall I not inform you about the head of the entire matter, and its pillar, and its hump?' I said: 'Of course O Messenger of Allah! He said: 'The head of the matter is Islam, and its pillar is the Salat, and its hump is Jihad.' Then he said: 'Shall I not inform you about what governs all of that?' I said: 'Of course O Messenger of Allah!' He (ﷺ) said: So he grabbed his tongue. He said 'Restrain this.' I said: 'O Prophet of Allah! Will we be taken to account for what we say?' He said: 'May your mother grieve your loss O Mu'adh! Are the people tossed into the Fire upon their faces, or upon their noses, except because of what their tongues have wrought' 
----
Jamia Tirmazi Volume 5  2616 , Hasan

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...