❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Sawal: Insan ka bure hone ka saboot kaise pata chalta hain
A: Mazlum ki madad na karna
B: Maal ki zakat ada na karna
C: Uske doston ke zariye
D: uski niyat ke wajah se
E: Allah ke zikr se muh modne ki wajah se
F: Sila rahmi na karne ki wajah se
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi jawab ka Intezaar
❗Note agar apka jawab G hain to sahi jawab likhiye
**************
Sahi Jawab - G✅
Padosiyon ke zariye insan ka achacha aur bure hone ka saboot pata chalta hain
Reference📚:
----
Ibn Masood RadiAllahu Anhu bayan karte hain, ek aadmi ne Nabi Sallallahu Alaihi wasallam se arz kiya Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam mujhe kaise pata chale ke mein achcha hu ya bura? Nabi Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Jab tum apne padosiyon ko kehte huwe suno ke tum achche ho to tum achche ho aur jab tum inhen kehte huwe suno ke tum bure ho to tum bure ho
-------
ابن مسعود ؓ بیان کرتے ہیں ، ایک آدمی نے نبی صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم سے عرض کیا : اللہ کے رسول ! مجھے کیسے پتہ چلے کہ میں اچھا ہوں یا برا ؟ نبی صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے فرمایا :’’ جب تم اپنے پڑوسیوں کو کہتے ہوئے سنو کہ تم اچھے ہو تو تم اچھے ہو اور جب تم انہیں کہتے ہوئے سنو کہ تم برے ہو تو تم برے ہو ۔‘‘ ، رواہ ابن ماجہ ۔
----
Mishkat ul Masabeeh#4988-Sahih
No comments:
Post a Comment