Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Thursday 23 January 2020

As Salamu Alekum and Walekum As Salam,





Durud e Ibrahim,

Bismillahirrahmannirrahim


اللــــــــهم صل على محمد وعلى آل محمد  كما صليت على إبراهيم وعلى آل إبراهيم  إنك حميد مجيد .اللـــــــهم بارك على محمد 
وعلى آل محمد  كما باركت على إبراهيم وعلى آل إبراهيم إنك حميد مجيد

Allahumma salli ala muhammad wa ala aali muhammad kamaa sallaita ala ibrahima wa ala aali ibrahima innaka hamidum majeed. 
Allahumma baareek ala muhammad wa ala aali muhammad kamaa baarakta ala ibrahima wa ala aali ibrahima innaka hamidum majeed.
----------
Ya ALLAH Rahmat nazil farma Mohammad (Sallallaahu Alayhi Wasallam) par aur Aal-e-Muhammad (Sallallaahu Alayhi Wasallam) par, Jaise tu ne Rahmat nazil farmaaiyee hain Ibrahim Alaih salaam par aur Aulad e Ibrahim Alaih salaam par...Beshak Tu bade Rehmat Wala aur Badi buzoorgi Wala hai Ya ALLAH barkaat nazil farma Mohammad(Sallallaahu Alayhi Wasallam) par aur Aal-e-Muhammad (Sallallaahu Alayhi Wasallam) par, Jaise tu ne barkaat nazil farmaaiyee hain Ibrahim Alaih salaam par aur Aulaad e Ibrahim Alaih salaam par...Beshak Tu bade Rehmat Wala aur Badi Buzoorgi Wala hai


Durud


Bismillahirrahmannirrahim


إِنَّ اللَّهَ وَمَلَائِكَتَهُ يُصَلُّونَ عَلَى النَّبِيِّ ۚ يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا صَلُّوا عَلَيْهِ وَسَلِّمُوا تَسْلِيمًا

Al Quran : Beshak Allah subhanahu aur uske farishte Nabee Sallallahu Alaihi Wasallam par durud bhejte hain, Eh imaan walo tum bhi un par durud aur salam bheja karo.
--------------
Al Quran : Verily ! Allah and His angels send blessings on the Prophet ( Sallallahu Alaihi Wasallam): O you who believe! Send your blessings on him, and salute him with all respect. 
--------------
Al Quran, Surah Al-Ahzab (33), Aayah 56







Sawal: Inmein se Jannat mein Salamati, Magfirat aur wajib karne wale ya dhakil karne wale kaun kaunse amal hain?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se zaiyda hain!

Sawal: Inmein se Jannat mein Salamati, Magfirat aur wajib karne wale ya dhakil karne wale kaun kaunse amal hain?

A: Takkabur se bachna
B: Khana Khilana
C: Salam ko aam karna
D: Jhooth se bachna
E: Sabr
F: Tahajjud ki namaz padhe
G: Achi baat karna
H: Rishtedaron se acha suluq karna
I: Bukhl se bache
J: Yateem ki parwarish karna
K: Acha Akhlaq

L: Sahi Jawab ka Intezaar?

***********************

Sahi Jawab - BCFHGK✅

Reference📚:
-----------
Abdullah bin salam Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki  jab Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam madina tashreef laaye to log Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam kay istaqbal ke liye daudhte huye aaye aur kahne lage ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam  tashreef la chuke hain (aisa teen baar kaha). main bhi dekhne ke liye aaya Maine jab Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ka chehra mubarak wazeh dekha to maine kaha  ye kisi jhoote shakhs ka chehra nahi ho sakta. pahli baat jo mai ne Aap Sallallahu Alaihi Wasallam se suni wo ye thi ki Eh logo Salam ko aam karo, Khana khilao, Rishtedariyan milao (yani ristedaro ke saath achcha suluq karo), Raato ko namaz padho jab log so rahe hon (Tahajjud), (ye sare amal karne se) tum jannat mai salamati ke sath dakhil ho jaoge.

Sunan Ibn Majah, Jild 3, 132 -Sahih
----------
Hani ban Yazid RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke mein ney kaha : Eh Allah ke Rasool Sallahu Alahi waSallam mujhe kisi aisay amal ki rehnumai kijiye jo mujhe Jannat mein daakhil karde Aap Sallahu Alahi waSallam ne farmaya yaqeenan maghfirat ko wajib karne wali cheezon mein se Salam phelana aur achchi baat karna hai

Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 299
------------
Hani RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke jab woh Rasool-Allah Sallahu Alahi waSallam ke paas aaye to kaha Eh Allah ke Rasool Sallahu Alahi waSallam! konsa amal jannat wajib karta hai? Aap Sallahu Alahi waSallam ney farmaya : achcha Akhlaq aur khana khilana lazim karlo.

Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 95

As Salamu Alekum and Walekum As Salam,














Allahumma inni Asaluka Jannat-Al-Firdaus 







Toh beshak Allah Subhanahu Maaf karne wala aur Reham farmaney wala hain.





Bismillahirrahmannirrahim

فَإِنَّ اللَّهَ غَفُورٌ رَّحِيمٌ
-----
Toh beshak Allah Subhanahu Maaf karne wala aur Reham farmaney wala hain.
----
 تو بیشک اللہ معاف کرنے والا اور رحم فرمانے والا ہے
----
तो अल्लाह बेशक बड़ा बख्शने वाला मेहरबान है
----
Then, Indeed, Allah is Forgiving and Merciful.
----
Surah Al-Ma'ida: (05:03)

Allah hu Akbar




ا للَّهُ أَ كْبَـرُ

WalAllahu Akbar

Allah is the Greatest

Allah sabse bada hai





















Alhumdullilah


Bismillahirrahmannirrahim

Alhumdullilah kahne se Meezan bhar jata hain
----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Alhumdullilah kehne se Meezan (Nekiyon se) bhar jata hain.
----
Sunan Ibn Majah, Vol 1, 280- Sahih
----
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا الحمد لله  کہنے سے میزان (نیکیوں سے)  بھر  جاتا ہے
-----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam said Alhumdullilah Fills the Scale (of Good Deeds)
Sunan Ibn Majah, Book 1, 280-Sahih


















































Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...