❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
In duaon ko unki fazilat se sahi milan kijiye
1. بسم الله وعلى ملة رسول الله
2. الْحَمْدُ للهِ الَّذِي أَحْيَانَا بَعْدَ مَا أَمَاتَنَا وَإِلَيْهِ النُّشُورُ
3. لا اِلهَ اِلَّا اللّهُ وَحْدَهُ لا شَرِيكَ لَهُ ، لَهُ الْمُلْكُ وَ لَهُ الْحَمْدُ وَ هُوَ عَلَى كُلِّ شَيْءٍ قَدِيرٌ
4. رَضِيتُ بِاللَّهِ رَبًّا وَبِالإِسْلاَمِ دِينًا وَبِمُحَمَّدٍ نَبِيًّا
5. السَّلَامُ عَلَيْكُمْ أَهْلَ الدِّيَارِ مِنَ الْمُؤْمِنِينَ وَالْمُسْلِمِينَ، وَإِنَّا إِنْ شَاءَ اللَّهُ بِكُمْ لَاحِقُونَ، نَسْأَلُ اللَّهَ لَنَا وَلَكُمُ الْعَافِيَةَ
6. الْحَمْدُ لِلَّهِ الَّذِي كَسَانِي هَذَا الثَّوْبَ وَرَزَقَنِيهِ مِنْ غَيْرِ حَوْلٍ مِنِّي وَلاَ قُوَّةٍ
7. الْحَمْدُ لِلَّهِ الَّذِي أَطْعَمَنِي هَذَا وَرَزَقَنِيهِ مِنْ غَيْرِ حَوْلٍ مِنِّي وَلاَ قُوَّةٍ
8. سُبْحَانَ اللهِ وَبِحَمْدِهِ، سُبْحَانَكَ اللهُمَّ وَبِحَمْدِكَ، أَشْهَدُ أَنْ لا إِلَهَ إِلا أَنْتَ، أَسْتَغْفِرُكَ وَأَتُوبُ إِلَيْكَ
*********
A: Jannat mein dhakil karne wala azkar
B: Subah bedar hone ki Dua
C: Khana khane ki baad ki dua
D: Janaze ko khanda dete waqt padhne ki dua
E: Kapda pahanne ke baad ki dua
F: Mayyat ko Qabr mein dhakil karte waqt ki dua
G: Mayyar ko mitti dete waqt
H: Kisi Majlis mein hone wale gunaho ko bakhshwane ki dua
I: Bazar mein dakhil hote waqt padne ki dua
J: Inmein se koi nahi
K: Sahi Jawab ka Intezaar
******
Sahih Jawab - FBIAJECH✅
Mafhum e hadith: Azkar aur Duaon ko padhne ki fazilat aur sawab
------
Jab Murde ko Qabr mein dhakil kiya jaata toh Nabi Kareem Sallallahu Alaihi wasallam
«بسم الله وعلى ملة رسول الله»
Bismillah Wa'ala millati rasul-illah
kehte aur (Allah ke naam se shuru aur Rasool Allah Sallalllahu Alaihi wasallam ke deen par) aur Hisham ne apne riwayat mein
«بسم الله وفي سبيل الله وعلى ملة رسول الله»
kaha hai
Sunnan e Ibn e Maja#1550-Sahih
*****
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam jab bedar hote (subah neend se jagte) to ye kehte
الْحَمْدُ للهِ الَّذِي أَحْيَانَا بَعْدَ مَا أَمَاتَنَا وَإِلَيْهِ النُّشُورُ
Alhamdu lillahi Al-ladhi Ahyana bada ma amatana, wa ilaihin-nushur.
ALLAH ke liye he tamam taarifien hain jisne humein maut dekar phir se zinda kiya, aur ussi ki taraf laut kar jana hain.
Sahih Bukhari, 6312-Sahih
****
Umar Radi Allahu Anhu ne riwayat kiya ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo shakhs kisi bazar mein dakhil ho aur ye kalimat kahe to uske liye 10 lakh nekiya likh di jati hain aur uske 10 lakh gunah mita diye jate hain
لا اِلهَ اِلَّا اللّهُ وَحْدَهُ لا شَرِيكَ لَهُ ، لَهُ الْمُلْكُ وَ لَهُ الْحَمْدُ وَ هُوَ عَلَى كُلِّ شَيْءٍ قَدِيرٌ
----
La ilaha illa-lah wahdahu la sharika lahu, lahu-l-mulk wa lahu-l-hamd wa huwa 'ala kulli shai'in qadir
---------
Allah ke siwa koi mabud nahi hain, Wo tanha hain uska koi sharik nahi hain, usee ke liye baadshahi hain aur usee ke liye tarifein hain Aur wo har cheez par kudrat rakhne wala hain.
Al-Silsila-As-Sahiha-2952-Sahih
******
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya jis shaksh ne subah ke waqt ye alfaz kahe toh main uske liye iss baat ka zimmedar hu ki uska haath pakkad kar Jannat mein le jau
رَضِيتُ بِاللَّهِ رَبًّا وَبِالإِسْلاَمِ دِينًا وَبِمُحَمَّدٍ نَبِيًّا
Radaitu billahi Rabba wa bil-Islami dina wa bi Muhammadin Nabiyya
Main raazi hu Allah ke RABB hone par, Islam ke deen hone per aur Mohammad Sallallahu Alaihi Wasallam ke Nabi hone per
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 2963-Sahih
*****
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam sahaba karaam Radi Allahu Anhuma ko taleem dete thy ke jab wo qabrastan jayen to ye kahe :
السَّلَامُ عَلَيْكُمْ أَهْلَ الدِّيَارِ مِنَ الْمُؤْمِنِينَ وَالْمُسْلِمِينَ، وَإِنَّا إِنْ شَاءَ اللَّهُ بِكُمْ لَاحِقُونَ، نَسْأَلُ اللَّهَ لَنَا وَلَكُمُ الْعَافِيَةَ
As-salamu alekum ahlad-diyar minal-mu’minina wal- muslimin, wa inna insha’ Allah bikum lahiqun, nas’alul-laha lana wa lakumul-‘afiyah
Eh Momeen aur Musalman ghar walo! tum par salam ho, hum tum se In sha Allah milne wale hain, aur hum Allah se apne liye aur tumahray liye Aafiyat ka sawal karte hain
Sunnan e Ibn e Maja#1547-Sahih
*******
Muadh bin Anas RadiAllahu Anhu se rivayat hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alalihi Wasallam ne farmaya jis shaksh ne kadpa pahney ke baad ye kaha ki
الْحَمْدُ لِلَّهِ الَّذِي كَسَانِي هَذَا الثَّوْبَ وَرَزَقَنِيهِ مِنْ غَيْرِ حَوْلٍ مِنِّي وَلاَ قُوَّةٍ
Alhamdulillahil-lazi kasani haza as-saub, wa razaqanihi min gayri hawlin minni wa la quwwah
Tamam taarifein Allah ke liye hai jisney mujhe ye kapda pahnaya aur meri kudrat aur taqat na hone ke bawjud ye ata farmaya uskey agle aur pichle gunah maaf kar diye jate hain
Sunan Abu Dawud, 4023-Sahih
******
Sahl bin Muadh Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya jo shakhs khana khane ke baad ye dua padhega to uske tamam pichle gunah maaf kar diye jayenge
الْحَمْدُ لِلَّهِ الَّذِي أَطْعَمَنِي هَذَا وَرَزَقَنِيهِ مِنْ غَيْرِ حَوْلٍ مِنِّي وَلاَ قُوَّةٍ
Alhamdulillahillazi Atamni haza wa razaqnihi min gairi haulin minni wa la Quwwah
Tamam tarifein us Allah ke liye hai jisne mujhe ye khana khilaya aur meri kudrat aur taqat na hone ke bawjud ye ata farmaya
jamia Tirmizi, 3458-Sahih
******
Jabir bin Mut'am RadiAllahu Anhu se riwayat hain ke jis shakhs ne kaha
سُبْحَانَ اللهِ وَبِحَمْدِهِ، سُبْحَانَكَ اللهُمَّ وَبِحَمْدِكَ، أَشْهَدُ أَنْ لا إِلَهَ إِلا أَنْتَ، أَسْتَغْفِرُكَ وَأَتُوبُ إِلَيْكَ
SubhanAllahi wa Bihamdehi, Subhanaka Allahumma wa bihamdika, ashhadu an la ilaha illa anta, Astagfiruka wa atubu ilaik
Allah apni tareef ke saath paak hain, Eh Allah tu apni tareef ke saath paak hain, Mein gawahi deta hu ke tere ilawa koi sacha mabud nahi, mein tujhse bakhshish (Maghfirat) talab karta hu aur teri taraf ruju karta hu
Iss ne ye kalimaat zikar ki majlis mein kahe to ye Ek mohar ki tarhan honge jo saboot (pukhta) kar di jayegi aur jis shakhs ne laghu ki majlis (yani jaha behuda baatein ki ho) mein kahe ye is ke liye kaffara ban jayenge.
Al-Silsila-tus-Sahiha#2970-Sahih