Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Thursday, 12 November 2020

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam kasrat se yh dua padha karte



Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam kasrat se yh dua padha karte

يَا مُقَلِّبَ الْقُلُوبِ ثَبِّتْ قَلْبِي عَلَى دِينِكَ
------
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam kasrat se ye dua kiya karte thy

يَا مُقَلِّبَ الْقُلُوبِ ثَبِّتْ قَلْبِي عَلَى دِينِكَ

Ya Muqallib Qulub thabbit Qalbi Ala Deenak
-----
Eh dilo ko phenrne wale mere dil ko tere deen par qayam rakh

Aap Sallallahu Alaihi wasallam ke sahaba aur ahal o Ayal ne kaha : Eh Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam kya Aap ko humare bare mein koi darr hain, jabke hum Aap par aur Aap ki layi ho Shariyat par Emaan laaye hain? Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya : Beshak tamam dil Allah Subhanahu taala ke haath mein hain wo inko alat palat kar deta hain
Musnad Ahmed#8939-Sahih
-----
 ۔ سیدنا انس بن مالک ‌رضی ‌اللہ ‌عنہ سے مروی ہے کہ رسول اللہ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم کثرت سے یہ دعا کیا کرتے تھے: … یَا مُقَلِّبَ الْقُلُوْبِ! ثَبِّتْ قَلْبِیْ عَلٰی دِينِكَ۔(اے دلوں کو پھیرنے والے میرے دل کو تیرے دین پر قائم رکھ)۔ آپ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم کے صحابہ اور اہل و عیال نے کہا: اے اللہ کے رسول! کیا آپ کو ہمارے بارے میں کوئی ڈر ہے، جبکہ ہم آپ پر اور آپ کی لائی ہو شریعت پر ایمان لائے ہیں؟آپ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم نے فرمایا: بیشک تمام دل اللہ تعالیٰ کے ہاتھ میں ہیں، وہ ان کو الٹ پلٹ کر دیتا ہے۔ 
------
It is narrated on the authority of Anas bin Malik RadiAllahu Anhu that the Messenger of Allah Sallallahu Alaihi wasallam used to pray: 

يَا مُقَلِّبَ الْقُلُوبِ ثَبِّتْ قَلْبِي عَلَى دِينِكَ

Ya Muqallib Qulub thabbit Qalbi Ala Deenak
----
O Changer of the hearts, make my heart firm upon Your religion

The companions and family of the Prophet Sallallahu Alaihi wasallam said: O Messenger of Allah! Do you have any fear about us, while we believe in you and in the law (Shariya) that you have brought? Prophet Sallallahu Alaihi wasallam said: Verily, all hearts are in the hands of Allah, He turns them upside down.
-----
Musnad Ahmed#8939-Sahih


 

Kaunse sahabi ka janaza ek dum halka tha?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Do Sawal hain


Sawal1: Kaunse sahabi ka janaza ek dum halka tha?


A: Saad bin Abi Waqas RadiAllahu Anhu

B: Dihyah Al-Kalbi Radi Allahu Anhu

C: Hanzala Ibn Abi Amir Radi Allahu Anhu

D: Suraqa Bin Malik Radi Allahu Anhu

E: Saad bin Muadh Radi Allahu Anhu 

F: Othman Radi Allahu Anhu 

G: Innmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka intezaar


Sawal2: Unka janaza itna halka kuy tha?


✒️Apna jawab khud likhiye?

********

Sahi Jawab - E/Faristhe✅


Saad bin Mu'adh RadiAllahu Anhu ki shaan


Reference📚:

------

Jab Saad bin Mu'adh RadiAllahu Anhu ka janaza uthaya gaya toh munafiqeen kaha kitna halka hain un ka janaza? Aur ye ta'an unhon ne is liye kiya ke Saad RadiAllahu Anhu ne Banu Quraizah ke qatal ka faisla farmaya tha, jab Nabi Kareem Sallallahu Alaihi wasallam ko is ki khabar huwi to Aap Sallallahu Alaihi wa sallam ne farmaya : ”Faristhe” usse uthaye huwe thy.

-----

When the funeral of Saa'd bin Mu'adh was carried, the hypocrites said: 'How light his funeral is.' And this was due to his judgment concerning Banu Quraizah. So this reached the Prophet Sallallahu Alaihi wasallam and he said: 'Indeed, the angels were carrying him.'

------

جب سعد بن معاذ رضی الله عنہ کا جنازہ اٹھایا گیا تو منافقین کہا: کتنا ہلکا ہے ان کا جنازہ؟ اور یہ طعن انہوں نے اس لیے کیا کہ سعد نے بنی قریظہ کے قتل کا فیصلہ فرمایا تھا، جب نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم کو اس کی خبر ہوئی تو آپ نے فرمایا: ”فرشتے اسے اٹھائے ہوئے تھے

-----

Jam e Tirmazi#3849-Sahih

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...