Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Sunday, 17 January 2021

Kaunse jagah karch karne se jihad mein karch karne ke barabar sawab milta hain

 ❗Only,Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Kaunse jagah karch karne se jihad mein karch karne ke barabar sawab milta hain

A: Kisi ke marz mein karch karna
B: kisi ke nikah mein karch karna
C: kisi ke qarz pura karne mein karch karna
D: Hajj ke dauran karch karna
E: kisi ke janaze ke liye karch karna
F: kisi bewa aur miskeen per karch karna
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi jawab ka intezaar
******
Sahi Jawab - D✅

Hajj ke dauran karch karne wale ko Jihad mein karch karne ke barbar sawab milta hain

Reference📚:
----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya : Hajj ke dauran kharch karna, Allah Subhanahu taala ki raah yani Jihaad mein kharch karne ki terhan 700 gunna tak badh jata hain
----
سیدنا بریدہ سے روایت ہے کہ رسول اللہ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  نے فرمایا:  حج کے دوران خرچ کرنا، اللہ تعالی کی راہ یعنی جہاد میں خرچ کرنے کی طرح سات سو گنا تک بڑھ جاتا ہے۔ 
----
It is narrated on the authority of Barida RadiAllahu Anhu that the Prophet Sallallahu Alaihi wasallam said: Spending during Hajj is seven hundred times as much as spending in the way of Allah, i.e Jihad.
----
Musnad Ahmed#4061-Sahih

Ek Sahabi ka inteqaal hogaya jab Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne unki namaz e janaza padayi aur daffan kar diya to App Sallallahu Alaihi wasallam kafi dair tak kuch azkar padhte rahe yaha tak ki Allah Subhanahu ne us mayyat ki qabar ko faraakh kar diya

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

❗Jawab ek se zyada hain

Ek Sahabi ka inteqaal hogaya jab Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne unki namaz e janaza padayi aur daffan kar diya to App Sallallahu Alaihi wasallam kafi dair tak kuch azkar padhte rahe yaha tak ki Allah Subhanahu ne us mayyat ki qabar ko faraakh kar diya
Sawal: Wo kaunsa azkar tha?

A: Alhumdullilah
B: Bismillah Ma Sha Allah 
C: Allah hu Akbar
D: La ilaha IllAllah
E: SubhanAllah
F: La hawla wala quwata illah billah
G: Alhumdullilahi Rabbil Aalameen
H: Sahi Jawab ka intezaar
******
Sahi Jawab - EC✅

Saad bin Maaz RadiAllahu Anhu ke qabar ka bayan

Reference📚:
----
Syedna Jabir bin Abdullah RadiAllahu Anhu ka bayan hain, jab Saad bin Maaz RadiAllahu Anhu ka inteqaal huwa, hum Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ki mayyat mein gaye, Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne unki Namaz e Janaza padhai, baad azan jab inhen qabar mein rakh kar matti barabar kar di gayi to Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam kaafi dair tak SubhanAllah aur Allah hu Akbar padhte rahe hum bhi Aap Sallallahu Alaihi wasallam ke humrah SubhanAllah aur Allah hu Akbar kehte rahe arz kiya gaya : Ya Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam! is mauqe per SubhanAllah aur Allah hu Akbar kehne ki kya wajah thi? farmaya: is Saleh bande per is ki qabar tang ho gayi thi yahan tak ke Allah Subhanahu taala ne usse faraakh (chorha) kar diya
----
It is narrated on the authority of Jabir bin Abdullah that when Saad bin Mu'adh passed away, we went with the Messenger of Allah (peace and blessings of Allah be upon him). When the soil was leveled, the Messenger of Allah (peace and blessings of Allah be upon him) kept reciting SubhanAllah and Allah hu Akbar for a long time. We also used to say SubhanAllah and Allah hu Akbar along with him, It was said: O Messenger of Allah! What was the reason for saying SubhanAllah and Allah hu Akbar on this occasion? He said: His grave was narrow for this righteous servant. Until Allah Almighty made it wide.
---,
سیّدنا جابر بن عبداللہؓ کا بیان ہے، جب سعد بن معاذؓ کا انتقال ہوا، ہم رسول اللہ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم کی معیت میں گئے، آپ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم نے ان کی نماز جنازہ پڑھائی، بعد ازاں جب انہیں قبر میں رکھ کر مٹی برابر کر دی گئی تو رسول اللہ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم کافی دیر تک  سُبحان اللّٰہ  اور  اللّٰہ اکبر  پڑھتے رہے۔ ہم بھی آپ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  کے ہمراہ  سبحان اللّٰہ  اور  اللّٰہ اکبر  کہتے رہے۔ عرض کیا گیا: یا رسول اللہ! اس موقع پر  سبحان اللّٰہ  اور  اللّٰہ اکبر  کہنے کی کیا وجہ تھی؟ فرمایا: اس صالح بندے پر اس کی قبر تنگ ہو گئی تھی۔ یہاں تک کہ اللہ تعالیٰ نے اسے فراخ کر دیا۔  
-----
Musnad Ahmed#3329-Sahih

Emaan ka sabse Afzal darja kise kaha gaya hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Emaan ka sabse Afzal darja kise kaha gaya hain

A: Namaz
B: Raaste se takleef de cheez ko hatana
C: Sulah karana
D: Maaf karna
E: La ilaha illAllah
F: Astagfaar karna
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka intezaar
*******
Sahih Jawab - E✅

Emaan ka sabse Afzal darja La illaha illAllah kehna hain

Reference📚:
------
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Emaan ke 70 se zyada darjaat hain kum tareen darja raaste se takleef de cheez ko hatana aur Afzal tareen darja "La ilaha illAllah" kehna hain.
Al-Silsila-tus-Sahiha#1021-Sahih
----
ابو ہریرہ  رضی اللہ عنہ سے مرفوعا مروی ہے: ایمان كے ستر سے زیادہ درجے ہیں۔ كم ترین درجہ راستے سے تكلیف دہ چیز كو ہٹانا اور افضل ترین درجہ” لا الہ الا اللہ“ كہنا ہے
---
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam said, There are more than seventy levels of faith. The lowest level is to remove the obstracle or painful thing from the path and the best level is to say "La ilaha illAllah".
----
Al-Silsila-tus-Sahiha#1021-Sahih

Quran ki ek ayat ke mutabiq sabse azeem zulm kis ko kaha gaya hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Quran ki ek ayat ke mutabiq sabse azeem zulm kis ko kaha gaya hain

A: Quran ki ayaton ko jhutlane
B: Shirk karna
C: Zina karna
D: apne walid ka inkaar karna
E: Khayanat karna
F: Jhoot bolna
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka intezaar
*******
Sahi Jawab - B✅

Sabse Azeem Zulm hain Allah ke saath Shirk karna

Reference📚:
----
jab aayat «الذين آمنوا ولم يلبسوا إيمانهم بظلم‏» (Surah Al-Anam, ayat No. 82)”Jo log Emaan laaye aur apne Emaan mein zulm ki milawat nahi ki. “nazil huwi to Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ke sahaba ne arz kiya hum mein aisa kaun hoga jis ne apne Emaan mein zulm nahi kiya hoga. is par ye aayat nazil huwi «لا تشرك بالله إن الشرك لظلم عظيم» (Surah Al Luqmaan, ayat No. 13)”Allah ke saath kisi ko shareek na thehra beshak Shirk he zulm Azeem hain.“
-----
Narrated `Abdullah: When the Verse:-- 'Those who believe and mix not their belief with wrong. was revealed, the companions of the Prophet said, Who amongst us has not mixed his belief with wrong? Then Allah revealed: Join none in worship with Allah, Verily joining others in worship with Allah is a great wrong indeed. 
----
 
جب آیت «الذين آمنوا ولم يلبسوا إيمانهم بظلم‏» ”جو لوگ ایمان لائے اور اپنے ایمان میں ظلم کی ملاوٹ نہیں کی۔“ نازل ہوئی تو نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم کے صحابہ نے عرض کیا ہم میں ایسا کون ہو گا جس نے اپنے ایمان میں ظلم نہیں کیا ہو گا۔ اس پر یہ آیت نازل ہوئی «لا تشرك بالله إن الشرك لظلم عظيم» ”اللہ کے ساتھ کسی کو شریک نہ ٹھہرا۔ بیشک شرک ہی ظلم عظیم ہے۔“
-----
Sahih Bukhari#3428

Mafhum e hadith ke mutabiq kaunse shakhs ke liye Allah Subhanahu koi wada nahi karta chahe wo azab de chahe Jannat mein dakhil kare

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Mafhum e hadith ke mutabiq kaunse shakhs ke liye Allah Subhanahu koi wada nahi karta chahe wo azab de chahe Jannat mein dakhil kare

A: Quran Ka ilm hasil nahi karne wale 
B: Laa illaha illallaha ka iqrar nahi karne wale 
C: Tahhajud nahi padhne wale
D: Jo panch waqt ki Namaz adaa nahi karte
E: Jisne Allah Subhanahu ko ek pal bhi Yaad nahi kiya ho
F: Jisne kabhi kisi per Reham nahi kiya
G: Inmein se koi Nahi
H:Sahi Jawab ka intezaar
******
Sahi Jawab - D✅

Jo 5 waqt ki namaz  aada karega Allah Subahnahu usse pukhta ehad karta hain ke wo usse Jannat mein dhakil karega

Reference 📚: 
------
Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya Allah Subhanahu ne Apne bando par panch (5) Namazein Farz ki hai Jo innhein ada karenga aur unmein se kisi ko Halka samjhte huye zaya nahi karega to Allah Subhanahu Ka usay pukhta ehad ( pakka Ehad) hai ke usay Jannat main dakhil karega aur Jisne innhein adaa nahi kiya (Namaz nahi padhi) to Allah Subhanahu ka usse koi wada nahi hai agar chahe to usay azab de aur chahe to usse Jannat main dakhil karen
----
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کو فرماتے سنا ہے:  اللہ نے اپنے بندوں پر پانچ نمازیں فرض کی ہیں، جو انہیں ادا کرے گا، اور ان میں سے کس کو ہلکا سمجھتے ہوئے ضائع نہیں کرے گا، تو اللہ کا اس سے پختہ وعدہ ہے کہ وہ اسے جنت میں داخل کرے گا، اور جس نے انہیں ادا نہیں کیا تو اللہ کا اس سے کوئی وعدہ نہیں ہے، اگر چاہے تو اسے عذاب دے، اور چاہے تو اسے جنت میں داخل کرے ۔ 
---
Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam said Five prayers are those that Allah has decreed for (His) slaves, whoever does them, and does not neglect any of them out of disregard toward them, will have a promise from Allah that He will admit him to Paradise. And whoever does not to them will have no such promise from Allah; if He wills he will punish him and if He wills He will admit him to Paradise. 
Sunan Nisai Volume 1 , 462

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam se ek shakhs ne arz kiya ke wo safar per nikalne ka irada kar raha hain to Aap mujhe kuch wasiyat farma dijiye Aap ne uss aadmi ko kuch baton ki wasiyat ki phir jab wo aadmi palat kar safar per nikla to Aap ne ek dua padhi wo dua kaunsi hai?

 ❗Only-Quran-Hadith Quiz❗

Sawal: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam se ek shakhs ne arz kiya ke wo safar per  nikalne ka irada kar raha hain to Aap mujhe kuch wasiyat farma dijiye Aap ne uss aadmi ko kuch baton ki wasiyat ki phir jab wo aadmi palat kar safar per nikla to Aap ne ek dua padhi wo dua kaunsi hai?

A.
اللَّهُمَّ اطْوِ لَهُ الأَرْضَ وَهَوِّنْ عَلَيْهِ السَّفَرَ
B. 
السَّــلاَمُ عَلَيــْكُم وَرَحْمَةُ اللهِ وَبَرَكـَـاتُه
C.
أَسْتَوْدِعُ اللَّهَ دِينَكَ وَأَمَانَتَكَ وَخَوَاتِيمَ عَمَلِكَ
D.
سُبحـان اَللّه والحَمدُ لِلّه و لَا إِلَهَ إِلا اَللّه واللّهُ أَكبَر ولاَ حَوْلَ وَلاَ قُوَّةَ إِلاَّ بِاللّه
E.
قَدَّرَ اللَّهُ وَمَا شَاءَ فَعَلَ
F.
اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنْ زَوَالِ نِعْمَتِكَ وَتَحَوُّلِ عَافِيَتِكَ وَفُجَاءَةِ نِقْمَتِكَ وَجَمِيعِ سَخَطِكَ
G.
اللَّهُ أَكْبَرُ كَبِيرًا وَالْحَمْدُ لِلَّهِ كَثِيرًا وَسُبْحَانَ اللَّهِ بُكْرَةً وَأَصِيلاً
H. Inmein se koi nahi 

I. Sahi jawab ka intezar hai
*****
Sahi Jawab - A✅

Jab koi Safar ke liye nikalte to Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ye dua padhte

Reference📚:
-----
Ek aadmi ne arz kiya : Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam! Mein safar par nikalne ka irada kar raha hu to aap mujhe kuch wasiyat farma dijiye, Aap ne farmaya : "Mein tujhe Allah ka taqwa ikhtiyar karne ki wasiyat karta ho aur nasihat karta ho ke jaha kahi bhi onchaye o bulandi par chadho Allah ki takbir padho, (Allahu AKbar kahte raho)phir jab aadmi palat kar safar par nikla to Aap ne farmaya 
" اللَّهُمَّ اطْوِ لَهُ الأَرْضَ وَهَوِّنْ عَلَيْهِ السَّفَرَ"
"Eh Allah! Iss ke liye musafat ki durri ko lapet kar muqtasir karde aur iss ke liye safar ko aasan bana de."
--------
Grade : Hasan (Darussalam)
Reference : Jami` at-Tirmidhi 3445
In-book reference : Book 48, Hadith 76
English translation : Vol. 6, Book 45, Hadith 3445

Mafhum e hadith ke mutabiq inmein se kaunse shaqs ke liye khushkhabri hain ?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Mafhum e hadith ke mutabiq inmein se kaunse shaqs ke liye khushkhabri hain ?

A: Jiski Umar lambi ho aur wo neik amal kare
B: Jiski Aulad neik ho
C: Duniya parasti mein mashgul na hona wale ke liye
D: Jiski aulad zyada ho aur wo neik ho
E: waledain ki khidmat karne wale ke liye
F: Islam mein bhudhe hone wale ke liye 
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka intezaar
*********
Sahi Jawab - A✅

Jis shakhs ki umar lambi ho aur wo neik amal kare uss ke liye khushkhabri hain

Reference📚:
------------------
Abdulla bin busr Mazni RadiAllahu Anhu kehte hain ke do badu Rasool- Allah sallallahu alaihi wasallam ke paas aaye Ek ne kaha Eh Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam! Kaunsa shakhs behtar hain? Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya is shakhs ke liye khushkhabri ho jis ki Umar lambi huwi, aur is ne naik aamaal kiye dusre shakhs ne kaha kaunsa Amal behtar hain? Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya ke Behtareen Amal ye hain ke tum duniya se is terhan jao ke tumhari zubaan Allah Subahnahu ke zikar se tar ho.
--------------
عبداللہ بن بسر مازنی کہتے ہیں کہ دو بدو رسول اللہ  صلی اللہ علیہ وسلم کے پاس آئے ۔ایک نے کہا: اے اللہ کے رسول! کونسا شخص بہتر ہے؟ آپ  صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: اس شخص کے لئے خوشخبری ہو جس کی عمر لمبی ہوئی ،اور اس نے نیک اعمال کئے۔ دوسرے شخص نے کہا: کونسا عمل بہتر ہے؟ آپ  صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ: بہترین عمل یہ ہے کہ تم دنیا سے اس طرح جاؤ کہ تمہاری زبان اللہ کے ذکر سے تر ہو
-----------
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 2864-Sahih

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...