Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Sunday 17 January 2021

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam se ek shakhs ne arz kiya ke wo safar per nikalne ka irada kar raha hain to Aap mujhe kuch wasiyat farma dijiye Aap ne uss aadmi ko kuch baton ki wasiyat ki phir jab wo aadmi palat kar safar per nikla to Aap ne ek dua padhi wo dua kaunsi hai?

 ❗Only-Quran-Hadith Quiz❗

Sawal: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam se ek shakhs ne arz kiya ke wo safar per  nikalne ka irada kar raha hain to Aap mujhe kuch wasiyat farma dijiye Aap ne uss aadmi ko kuch baton ki wasiyat ki phir jab wo aadmi palat kar safar per nikla to Aap ne ek dua padhi wo dua kaunsi hai?

A.
اللَّهُمَّ اطْوِ لَهُ الأَرْضَ وَهَوِّنْ عَلَيْهِ السَّفَرَ
B. 
السَّــلاَمُ عَلَيــْكُم وَرَحْمَةُ اللهِ وَبَرَكـَـاتُه
C.
أَسْتَوْدِعُ اللَّهَ دِينَكَ وَأَمَانَتَكَ وَخَوَاتِيمَ عَمَلِكَ
D.
سُبحـان اَللّه والحَمدُ لِلّه و لَا إِلَهَ إِلا اَللّه واللّهُ أَكبَر ولاَ حَوْلَ وَلاَ قُوَّةَ إِلاَّ بِاللّه
E.
قَدَّرَ اللَّهُ وَمَا شَاءَ فَعَلَ
F.
اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنْ زَوَالِ نِعْمَتِكَ وَتَحَوُّلِ عَافِيَتِكَ وَفُجَاءَةِ نِقْمَتِكَ وَجَمِيعِ سَخَطِكَ
G.
اللَّهُ أَكْبَرُ كَبِيرًا وَالْحَمْدُ لِلَّهِ كَثِيرًا وَسُبْحَانَ اللَّهِ بُكْرَةً وَأَصِيلاً
H. Inmein se koi nahi 

I. Sahi jawab ka intezar hai
*****
Sahi Jawab - A✅

Jab koi Safar ke liye nikalte to Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ye dua padhte

Reference📚:
-----
Ek aadmi ne arz kiya : Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam! Mein safar par nikalne ka irada kar raha hu to aap mujhe kuch wasiyat farma dijiye, Aap ne farmaya : "Mein tujhe Allah ka taqwa ikhtiyar karne ki wasiyat karta ho aur nasihat karta ho ke jaha kahi bhi onchaye o bulandi par chadho Allah ki takbir padho, (Allahu AKbar kahte raho)phir jab aadmi palat kar safar par nikla to Aap ne farmaya 
" اللَّهُمَّ اطْوِ لَهُ الأَرْضَ وَهَوِّنْ عَلَيْهِ السَّفَرَ"
"Eh Allah! Iss ke liye musafat ki durri ko lapet kar muqtasir karde aur iss ke liye safar ko aasan bana de."
--------
Grade : Hasan (Darussalam)
Reference : Jami` at-Tirmidhi 3445
In-book reference : Book 48, Hadith 76
English translation : Vol. 6, Book 45, Hadith 3445

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...