Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Sunday 17 January 2021

Ek Sahabi ka inteqaal hogaya jab Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne unki namaz e janaza padayi aur daffan kar diya to App Sallallahu Alaihi wasallam kafi dair tak kuch azkar padhte rahe yaha tak ki Allah Subhanahu ne us mayyat ki qabar ko faraakh kar diya

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

❗Jawab ek se zyada hain

Ek Sahabi ka inteqaal hogaya jab Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne unki namaz e janaza padayi aur daffan kar diya to App Sallallahu Alaihi wasallam kafi dair tak kuch azkar padhte rahe yaha tak ki Allah Subhanahu ne us mayyat ki qabar ko faraakh kar diya
Sawal: Wo kaunsa azkar tha?

A: Alhumdullilah
B: Bismillah Ma Sha Allah 
C: Allah hu Akbar
D: La ilaha IllAllah
E: SubhanAllah
F: La hawla wala quwata illah billah
G: Alhumdullilahi Rabbil Aalameen
H: Sahi Jawab ka intezaar
******
Sahi Jawab - EC✅

Saad bin Maaz RadiAllahu Anhu ke qabar ka bayan

Reference📚:
----
Syedna Jabir bin Abdullah RadiAllahu Anhu ka bayan hain, jab Saad bin Maaz RadiAllahu Anhu ka inteqaal huwa, hum Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ki mayyat mein gaye, Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne unki Namaz e Janaza padhai, baad azan jab inhen qabar mein rakh kar matti barabar kar di gayi to Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam kaafi dair tak SubhanAllah aur Allah hu Akbar padhte rahe hum bhi Aap Sallallahu Alaihi wasallam ke humrah SubhanAllah aur Allah hu Akbar kehte rahe arz kiya gaya : Ya Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam! is mauqe per SubhanAllah aur Allah hu Akbar kehne ki kya wajah thi? farmaya: is Saleh bande per is ki qabar tang ho gayi thi yahan tak ke Allah Subhanahu taala ne usse faraakh (chorha) kar diya
----
It is narrated on the authority of Jabir bin Abdullah that when Saad bin Mu'adh passed away, we went with the Messenger of Allah (peace and blessings of Allah be upon him). When the soil was leveled, the Messenger of Allah (peace and blessings of Allah be upon him) kept reciting SubhanAllah and Allah hu Akbar for a long time. We also used to say SubhanAllah and Allah hu Akbar along with him, It was said: O Messenger of Allah! What was the reason for saying SubhanAllah and Allah hu Akbar on this occasion? He said: His grave was narrow for this righteous servant. Until Allah Almighty made it wide.
---,
سیّدنا جابر بن عبداللہؓ کا بیان ہے، جب سعد بن معاذؓ کا انتقال ہوا، ہم رسول اللہ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم کی معیت میں گئے، آپ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم نے ان کی نماز جنازہ پڑھائی، بعد ازاں جب انہیں قبر میں رکھ کر مٹی برابر کر دی گئی تو رسول اللہ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم کافی دیر تک  سُبحان اللّٰہ  اور  اللّٰہ اکبر  پڑھتے رہے۔ ہم بھی آپ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  کے ہمراہ  سبحان اللّٰہ  اور  اللّٰہ اکبر  کہتے رہے۔ عرض کیا گیا: یا رسول اللہ! اس موقع پر  سبحان اللّٰہ  اور  اللّٰہ اکبر  کہنے کی کیا وجہ تھی؟ فرمایا: اس صالح بندے پر اس کی قبر تنگ ہو گئی تھی۔ یہاں تک کہ اللہ تعالیٰ نے اسے فراخ کر دیا۔  
-----
Musnad Ahmed#3329-Sahih

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...