Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Sunday 17 January 2021

Mafhum e hadith ke mutabiq kaunse shakhs ke liye Allah Subhanahu koi wada nahi karta chahe wo azab de chahe Jannat mein dakhil kare

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Mafhum e hadith ke mutabiq kaunse shakhs ke liye Allah Subhanahu koi wada nahi karta chahe wo azab de chahe Jannat mein dakhil kare

A: Quran Ka ilm hasil nahi karne wale 
B: Laa illaha illallaha ka iqrar nahi karne wale 
C: Tahhajud nahi padhne wale
D: Jo panch waqt ki Namaz adaa nahi karte
E: Jisne Allah Subhanahu ko ek pal bhi Yaad nahi kiya ho
F: Jisne kabhi kisi per Reham nahi kiya
G: Inmein se koi Nahi
H:Sahi Jawab ka intezaar
******
Sahi Jawab - D✅

Jo 5 waqt ki namaz  aada karega Allah Subahnahu usse pukhta ehad karta hain ke wo usse Jannat mein dhakil karega

Reference 📚: 
------
Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya Allah Subhanahu ne Apne bando par panch (5) Namazein Farz ki hai Jo innhein ada karenga aur unmein se kisi ko Halka samjhte huye zaya nahi karega to Allah Subhanahu Ka usay pukhta ehad ( pakka Ehad) hai ke usay Jannat main dakhil karega aur Jisne innhein adaa nahi kiya (Namaz nahi padhi) to Allah Subhanahu ka usse koi wada nahi hai agar chahe to usay azab de aur chahe to usse Jannat main dakhil karen
----
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کو فرماتے سنا ہے:  اللہ نے اپنے بندوں پر پانچ نمازیں فرض کی ہیں، جو انہیں ادا کرے گا، اور ان میں سے کس کو ہلکا سمجھتے ہوئے ضائع نہیں کرے گا، تو اللہ کا اس سے پختہ وعدہ ہے کہ وہ اسے جنت میں داخل کرے گا، اور جس نے انہیں ادا نہیں کیا تو اللہ کا اس سے کوئی وعدہ نہیں ہے، اگر چاہے تو اسے عذاب دے، اور چاہے تو اسے جنت میں داخل کرے ۔ 
---
Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam said Five prayers are those that Allah has decreed for (His) slaves, whoever does them, and does not neglect any of them out of disregard toward them, will have a promise from Allah that He will admit him to Paradise. And whoever does not to them will have no such promise from Allah; if He wills he will punish him and if He wills He will admit him to Paradise. 
Sunan Nisai Volume 1 , 462

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...