❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Sawal: Inmein se wo kya hai jinki rehnumayi khud Allah Subhanahu karte hain?
A: Gussa na karna
B: Sadqa karna
C: Salam mein pehal karna
D: Taqwa
E: Achche Aklaq
F: Sila Rehmi karna
G: Jamat ke sath jude rehna
H: Inmein se koi nahi
I: Sahi Jawab ka Intezaar hain
Note❗ :Agar jawab H hai toh apna jawab likhiye
********************
Sahi Jawab - E✅
Reference📚:
---------
Tawus RadiAllahu Anhu se riwayat hai unhon ne kaha ke Rasool-Allah Sallahu Allahi waSallam ne mimbar par kharray hokar farmaya: Achche Akhlaq ki taraf Allah Subhanahu he rehnumayi karta hain aur bure Akhlaq se roknay wala bhi wahi (Allah Subhanahu he) hain.
----------
طاؤس سے مروی ہے انہوں نے کہا کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے منبر پر کھڑے ہو کر فرمایا: اچھے اخلاق کی طرف اللہ ہی راہنمائی کرتا ہے ، اور برے اخلاق سے روکنے والا بھی وہی ہے۔
-----
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 94