Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Monday 23 November 2020

Ek sahabi ne farmaya ke wo Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ko inn kalimat ke saath dua karte huwe suna tha aur wo unki iss sunnat ki ibteda karna pasand karte hain isliye wo bhi subah sham ye dua padha karte the.

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se zyada hain

Ek sahabi ne farmaya ke wo Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ko inn kalimat ke saath dua karte huwe suna tha aur wo unki iss sunnat ki ibteda karna pasand karte hain isliye wo bhi subah sham ye dua padha karte the.

Sawal wo kaun kaunsi dua thi? 

A: Allahummastur 'awrati, wa amin raw'ati
B: Ayat Al Kursi
C: Allahumma inni Auzubika minal-barasi, Wa Al-jununi, Wal-judhami, wa min sayyiil-Asqam
D: Allahumma Aafini fi badani, Allahumma Aafini fi samaee, Allahumma aafini fi Bashari, La ilaha illa Anta.
E: Allahumma Rahmataka Arju Fala Takilni ila nafsi tarfata Aynin 
wa aslih li sha'ni kullahu, La ilaha illa anta
F: Allahumma inni Auzubika minal-kufri wal-faqr, Allahumma inni Auzubika min aa’zaa-bil-qabr, la illaha illa-ant
G: Sayyad-Al-Astigfar
H: Sahi Jawab ka Intezaar
*********
Sahi Jawab - DF✅

Subah aur Shaam ko teen martaba padhne ki dua

Reference📚:
--------
Abdul Al Rehman bin Abu Bakr RadiAllahu Anhu se rivayat hain wo kehte hain mein ne apne baap se kaha Eh Abba jaan! Mein aap ko har subah o shaam ko teen teen baar ye kalimaat kehte huwe sunta hu
اللَّهُمَّ عَافِنِي فِي بَدَنِي اللَّهُمَّ عَافِنِي فِي سَمْعِي اللَّهُمَّ عَافِنِي فِي بَصَرِي لاَ إِلَهَ إِلاَّ أَنْتَ
Allahumma Aafini fi badani, Allahumma Aafini fi samaee, Allahumma aafini fi Bashari, La ilaha illa Anta.
(Ya Allah tu mere badan mein aafiyat ata farma , Ya Allah tu mere kaano mein aafiyat ata farma ,Ya Allah tu meri nigaho mein aafiyat ata farma tere siwa koi maabud nahi)
Aur isi terhan har subah o shaam ko mein sunta hu ke Aap teen teen baar ye dua padhte hain:
اللَّهُمَّ إِنِّی أَعُوذُ بِکَ مِنَ الْکُفْرِ وَالْفَقْرِ، اللَّهُمَّ إِنِّی أَعُوذُ بِکَ مِنْ عَذَابِ الْقَبْرِ، لاَ إِلَهَ إِلاَّ أَنْتَ
Allahumma inni Auzubika minal-kufri wal-faqr, Allahumma inni Auzubika min aa’zaa-bil-qabr, la illaha illa-ant
(Eh Allah mein kufr aur faqr se teri panah mein aata hu, Eh Allah mein azab e qabr se teri panah mein aata hutu he mabood barhaq hain)
unhone kaha jee haan, Eh mere pyare bete Mein ne Rasool-Allah Sallalalhu Alaihi wasallam ko is kalimaat ke saath dua karte huwe suna tha aur Mein Aap Sallallahu Alaihi wasallam ki sunnat ki ibteda karna pasand karta hu neez Nabi Kareem Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya bechain aur gum zada aadmi ki dua ye hain:
اللَّهُمَّ رَحْمَتَكَ أَرْجُو فَلاَ تَكِلْنِي إِلَى نَفْسِي طَرْفَةَ عَيْنٍ وَأَصْلِحْ لِي شَأْنِي كُلَّهُ لاَ إِلَهَ إِلاَّ أَنْتَ
Allahumma Rahmataka Arju Fala Takilni ila nafsi tarfata Aynin wa aslih li sha'ni kullahu, La ilaha ila anta
(Eh Allah mein teri Rehmat ka ummeedwar hu so ek lamhe ke liye bhi mujhe mere nafs ke hawale na kar aur mere sab kaam bana de tere siwa koi bhi ibadat ke layaq nahi)
-----
عبد الرحمن بن ابو بکرہ سے مروی ہے، وہ کہتے ہیں: میں نے اپنے باپ سے کہا: اے ابا جان! میں آپ کو ہر صبح و شام کو تین تین بار یہ کلمات کہتے ہوئے سنتا ہوں: اَللّٰہُمَّ عَافِنِی فِی بَدَنِی اَللّٰہُمَّ عَافِنِی فِی سَمْعِی، اَللّٰہُمَّ عَافِنِی فِی بَصَرِی لَا اِلٰہَ إِلَّا أَنْت۔(اے اللہ! میرے بدن میں عافیت دے، اے اللہ! میرے کان میں عافیت دے، اے اللہ! میری آنکھ میں عافیت دے، تو ہی معبودِ برحق ہے)  اور اسی طرح ہر صبح و شام کو میں سنتا ہوں کہ آپ تین تین بار یہ دعا پڑھتے ہیں: اَللّٰہُمَّ إِنِّی أَعُوذُ بِکَ مِنَ الْکُفْرِ وَالْفَقْرِ، اللّٰہُمَّ إِنِّی أَعُوذُ بِکَ مِنْ عَذَابِ الْقَبْرِ، لَا اِلٰہَ إِلَّا أَنْتَ۔ (اے اللہ! میں کفر اور فقر سے تیری پناہ میں آتا ہوں، اے اللہ! میں عذاب ِ قبر سے تیری پناہ میں آتا ہوں، تو ہی معبودِ برحق ہے)۔ انھوں نے کہا: جی ہاں، اے میرے پیارے بیٹے! میں نے رسول اللہ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم  کو اس کلمات کے ساتھ دعا کرتے ہوئے سنا تھا اور میں آپ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم  کی سنت کی اقتدا کرنا پسند کرتا ہوں، نیز نبی کریم صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم  نے فرمایا:  بے چین اور غم زدہ آدمی کی دعا یہ ہے: اَللّٰہُمَّ رَحْمَتَکَ أَرْجُو، فَلَا تَکِلْنِی إِلٰی نَفْسِی طَرْفَۃَ عَیْنٍ، أَصْلِحْ لِی شَأْنِی کُلَّہُ لَا اِلٰہَ إِلَّا أَنْتَ۔ (اے اللہ! میں صرف تیری رحمت کی امید رکھتا ہوں، پس تو میری ذات کو پلک بھرکے لیے میرے سپرد نہ کر اور میرا سارا معاملہ سنوار دے، تو ہی معبودِ برحق ہے)۔
--------
Musnad Ahmed#5511-Sahih

In mein se wo kaunsa amal hai jis ka saza insan maut se pahle he dekh lega?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se zayda hain

Sawal: In mein se wo kaunsa amal hai jis ka saza insan maut se pahle he dekh lega?

A: Takkabur 
B: Zina
C: Chori
D: Nafarmani par kasam khana
E: Qata Rehmi
F: Shirk
G: Zulm
H: Sahi jawab ka intezar hai
********
Sahi Jawab - DE✅

Aise amal karne wala shaqs maut se pehle he iski saza paa lega

Reference📚:
-----
Abu Huraira Radi Allahu Anhu se rivayat hai ke jis shakhs ne Qata Rahmi ki ya nafarmani per kasam khayi woh maut se pehlay is ka wabaal dekh lega.
-------
RasoolAllah Sallalahu Alaihi wasallam said whoever cut off the relationships  or takes false oath , will get suffer for their sin before death.  
-----
ابو ہریرہرضی اللہ عنہ سے مرفوعا مروی ہے کہ: جس شخص نے قطع رحمی کی یا نا فرمانی پر قسم کھائی وہ موت سے پہلے اس کا وبال دیکھ لے گا۔
----------
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 416-Sahih

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...