Bismillahirrahmannirrahim
Hadith: Ek musalmaan ke liye jayaz nahi ke wo apne bhai se teen din se ziyada Qata Taluqi kare kuyke..
------
Hisham ibn Amir RadiAllahu Anhu se rivayat hain ke kehte hain ke mein ne Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ko farmate huwe suna: kisi Musalman ke liye jayaz nahi ke woh kisi Musalman se teen din se zyada Qata taluqi kare kyun ke ye dono jab tak apne haraam kaam par rahenge haq se bhatke rahenge un mein jo shakhs rujoo karne mein Sabqat karta hai is ka Sabqat karna is ke liye kaffara hain agar wo Salam kahe aur dusra shakhs is ko jawab na de toh farishte usse jawab dete hain jabke dusre shakhs ko shaitan jawab deta hain agar wo isi Qata taluqi par Faut ho jaien toh kabhi bhi Jannat mein jama nahi honge
-------
It is narrated on the authority of Hisham ibn Amir RadiAllahu Anhu that he said: I heard the Messenger of Allah Sallallahu Alaihi wasallam, say: It is not permissible for a Muslim to be separated (cut relationship) from a Muslim for more than three days. They will continue to do haraam deeds and will deviate from the truth. The one who precedes them in repentance is the expiation for him. If one of them greets and the person doesn’t reply then Angel’s reply for them and for the person who didn’t reply Shaitan reply to them and that if they die in this relationship, they will never be gathered in heaven (Jannah)
-----
ہشام بن عامر رضی اللہ عنہ سے مروی ہے کہ کہتے ہیں کہ میں نے رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کو فرماتے ہوئے سنا: کسی مسلمان کے لئے جائز نہیں کہ وہ کسی مسلمان سے تین دن سے زیادہ قطع تعلقی کرے کیونکہ یہ دونوں جب تک اپنے حرام کام پر رہیں گےحق سے بھٹکے رہیں گے ان میں جو شخص رجوع کرنے میں سبقت کرتا ہے اس کا سبقت کرنا اس کے لئے کفارہ ہے اگر وہ سلام کہے اور دوسرا شخص اس کو جواب نہ دے تو فرشتے اسے جواب دیتے ہیں جبکہ دوسرے شخص کو شیطان جواب دیتا ہےاگر وہ اسی قطع تعلقی پر فوت ہوجائیں تو کبھی بھی جنت میں جمع نہ ہوں گے
----
Al-Silsila-tus-Sahiha#453-Sahih