Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Tuesday, 7 September 2021

Namaz ke douran jamai (yawning) ka ana shaitaan ki taraf se hain isliye...

 Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Namaz ke douran jamai (yawning) ka ana shaitaan ki taraf se hain isliye...
---
Abu Huraira Radi Allahu Anhu karte hain, Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya douran Namaz Jamai aana Shaitan ki taraf se hain, pus jab tum mein se kisi ko jamai aaye to wo Maqdoor bhar usse rokne ki koshish kare.' tirmizi aur isi ki doosri riwayat aur Ibn Maja mein hain wo apne mun par haath rakh le.
------
ابوہریرہ ؓ بیان کرتے ہیں ، رسول اللہ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے فرمایا :’’ دوران نماز جمائی آنا شیطان کی طرف سے ہے ، پس جب تم میں سے کسی کو جمائی آئے تو وہ مقدور بھر اسے روکنے کی کوشش کرے ۔‘‘ ترمذی اور اسی کی دوسری روایت اور ابن ماجہ میں ہے :’’ وہ اپنے منہ پر ہاتھ رکھ لے ۔‘‘
-------
Abu Huraira Radi Allahu Anhu narrated that the Messenger of Allah Sallallahu Alaihi Wasallam said: Yawning It is from the devil (Shaitan) to come during the prayers, so when it comes during the prayers, he should try his best to stop it. And in the second narration of the same and in Ibn Majah: "Let him put his hand over his mouth."
---- 
Mishkat ul Masabeeh Hadees # 993-Sahih

Allah Subhanahu apne bande ko beemari ke zariye azmata hain aur uske sare gunah mita deta hain

 Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Allah Subhanahu apne bande ko beemari ke zariye azmata hain aur uske sare gunah mita deta hain
----
Abu Huraira RadiAllahu Anhu kehte hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya : Allah Subhanahu ta'ala apne bande ko beemari de kar aazmata hain hatta ke iss ke zariye is ke har gunah mita deta hain.
----
ابو ہریرہ‌رضی اللہ عنہ كہتے ہیں كہ رسول اللہ  ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌نے فرمایا:اللہ تعالیٰ اپنےبندےكوبیماری دےكرآزماتاہےحتی كہ اس کے ذریعے اس كےہرگناہ مٹادیتاہے۔ 
----
Abu Huraira RadiAllahu Anhu said: The Messenger of Allah Sallallahu Alaihi wasallam said: Allah Almighty tests His servant by making him sick and even removes all his sins through it.
----
Al-Silsila-tus-Sahiha#3244-Sahih

Hadees Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ka deen hain....isliye

 Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Hadees Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ka deen hain....isliye
----
Imam Mohammad bin Sirin Rehma Allah farmate hain : Hadees Nabi Akram SallallAllahu Alaihi wasallam ka deen hain to dekha karo ke tum ye deen kis se hasil karte ho
----
حکم زبیر علی زئی: سنده صحيح... امام محمد بن سیرین رحمہ اللہ فرماتے ہیں : حدیث نبی اکرم ﷺ کا دین ہے ۔ تو دیکھا کرو کہ تم یہ دین کس سے حاصل کرتے ہو ؟
----
Imam Muhammad ibn Sirin (may Allah have mercy on him) says: Hadith is the religion of the Holy Prophet. So see from whom you get this religion
----
Shamail Tirmizi Hadees#417-Sahih

Deen mein darje ke lehaz se Abu Bakr RadiAllahu Anhu aur Umar RadiAllahu Anhu sir mein kaan aur aankh ki terhan hain

 Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Deen mein darje ke lehaz se Abu Bakr RadiAllahu Anhu aur Umar RadiAllahu Anhu sir mein kaan aur aankh ki terhan hain
-----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Abu Bakr RadiAllahu Anhu o Umar RadiAllahu Anhu iss deen mein is darje par hain jis terhan sir mein kaan aur Aankhein  hoti hain.
----
جابر بن عبداللہ   رضی اللہ عنہما  سے مروی ہے كہ رسول اللہ  ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌نے فرمایا: ابو بكرو عمر اس دین میں اس درجے پر ہیں جس طرح  سر میں كان اور آنكھیں ہوتی ہیں
----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam said : 
Abu Bakr RadiAllahu Anhu and Umar RadiAllahu Anhu is at the same level in this religion as the head has ears and eyes
----
Al-Silsila-tus-Sahiha#3338-Sahih

Jab tak banda Allah se Dua aur Maghfirat talab karta rahega Allah Subhanahu usse bakhshta rahega chahe...

 Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Jab tak banda Allah se Dua aur Maghfirat talab karta rahega Allah Subhanahu usse bakhshta rahega chahe...
----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ko farmate huwe suna: ”Allah kehta hai : Eh Aadam ke bete! jab tak tu mujh se duaien karta rahega aur mujh se apni umeeden aur tauqeeyat wabasta rakhega mein tujhe bakhshta rahonga, chahe tere gunah kisi bhi darje par puhanche huwe ho, mujhe kisi baat ki parwah o dar nahi hai, Eh Aadam ke bete! agar tere gunah aasman ko chone lagen phir to mujh se maghfirat talab karne lage to mein tujhe bakhash dunga aur mujhe kisi baat ki parwah na hogi. Eh Aadam ke bete! agar tu zameen barabar bhi gunah kar baithy aur phir mujhse ( maghfirat talabb karne ke liye ) miley lekin mere sath kisi terhan ka shirk na kiya ho to mein tere paas is ke barabar maghfirat le kar aooga (aur tujhe bakhash dunga)
---
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کو فرماتے ہوئے سنا: ”اللہ کہتا ہے: اے آدم کے بیٹے! جب تک تو مجھ سے دعائیں کرتا رہے گا اور مجھ سے اپنی امیدیں اور توقعات وابستہ رکھے گا میں تجھے بخشتا رہوں گا، چاہے تیرے گناہ کسی بھی درجے پر پہنچے ہوئے ہوں، مجھے کسی بات کی پرواہ و ڈر نہیں ہے، اے آدم کے بیٹے! اگر تیرے گناہ آسمان کو چھونے لگیں پھر تو مجھ سے مغفرت طلب کرنے لگے تو میں تجھے بخش دوں گا اور مجھے کسی بات کی پرواہ نہ ہو گی۔ اے آدم کے بیٹے! اگر تو زمین برابر بھی گناہ کر بیٹھے اور پھر مجھ سے  ( مغفرت طلب کرنے کے لیے )  ملے لیکن میرے ساتھ کسی طرح کا شرک نہ کیا ہو تو میں تیرے پاس اس کے برابر مغفرت لے کر آؤں گا  ( اور تجھے بخش دوں گا )
---
Anas bin Malik narrated that the Messenger of Allah (ﷺ) said: “Allah, Blessed is He and Most High, said: ‘O son of Adam! Verily as long as you called upon Me and hoped in Me, I forgave you, despite whatever may have occurred from you, and I did not mind. O son of Adam! Were your sins to reach the clouds of the sky, then you sought forgiveness from Me, I would forgive you, and I would not mind. So son of Adam! If you came to me with sins nearly as great as the earth, and then you met Me not associating anything with Me, I would come to you with forgiveness nearly as great as it.’”
----
Jam e Tirmazi#3540-Sahih

Jo shakhs Madine mein azan ki awaz sunne aur bina kisi wajah ke namaz na padhe wo Munafiq hain

 Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Jo shakhs Madine mein azan ki awaz sunne aur bina kisi wajah ke namaz na padhe wo Munafiq hain 
-----
Abu Hurairah Radi Allahu Anhu se riwayat hai,n ke Rasool-Allah Sallallhu Alaihi Wassalam ne farmaya koi bhi shaqs meri Is Masjid (Madina) mein aazaan ki awaaz sunta hai phir baher nikal jata hai, siwaye kisi zaroori kaam ke phir lout kar nahi ata to wo munafiq hain.
------------
 ابوہریرہ‌ رضی اللہ عنہ سے مروی ہے كہ رسول اللہ  ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌نے فرمایا :
كوئی بھی شخص میری اس مسجد میں اذان كی آواز سنتا ہے پھر باہر  نكل جاتا ہے، سوائے كسی ضروری كام كے ۔پھر لوٹ كر نہیں آتا تو وہ منافق ہے
-------------
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees#778-Sahih

Achchi tarah Quran ki Qiraat karne wala wo shakhs hain jiski Khashiyat nazar aaye yani Allah ka khauff...

 Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Achchi tarah Quran ki Qiraat karne wala wo shakhs hain jiski Khashiyat nazar aaye yani Allah ka khauff...
-----
Aisha Radi Allahu Anhu se riwayat hain ke logon mein sabse achchi (Quran) ki Qiraat karne wala wo shakhs hain ke jab wo Qirat kare to is par Allah ki Khashiyat (Allah ka khauff) nazar aaye.
------------
عائشہ رضی اللہ عنہا سے مرفوعا مروی ہے کہ: لوگوں میں سب سے اچھی قراءت کرنے والا وہ شخص ہے کہ جب وہ قراءت کرے تو اس پر اللہ کی خشیت نظر آئے
------------
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 2810-Sahih

Har shart jo kitab Allah (Quran) mein nahi hain, wo mardood hain

 Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Har shart jo kitab Allah (Quran) mein nahi hain, wo mardood hain
----
Sayeda Aisha ‌RadiAllahu Anhuma se riwayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya : Har shart jo kitab Allah mein nahi hain, wo mardood hain, agarchay log aisi sav (100) shartain laga le
---
 سیدہ عائشہ  ‌رضی ‌اللہ ‌عنہا  سے روایت ہے کہ رسول اللہ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم نے فرمایا: ہر شرط جو کتاب اللہ میں نہیں ہے، وہ مردود ہے، اگرچہ لوگ ایسی سو شرطیں لگا لیں۔ 
-----
Ayesha RadiAllahu Anhuma narrates that the Messenger of Allah Sallallahu Alaihi wasallam said: Every condition which is not in the Book of Allah is rejected, even if people make a hundred such conditions.
-----
Musnad Ahmed#6918-Sahih

Betiyan dozakh ki add banegi

 Bismillahirahmanirrahim

Hadith: Betiyan dozakh ki add banegi
-----------
Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya jo shaks ladkiyon ki parwarish se do chaar ho phir unki parwarish se aane wali museebaton par Sabr karen to ye sab ladkiyan uske liye dozakh se aad banegi
-------
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: ”جو شخص لڑکیوں کی پرورش سے دوچار ہو، پھر ان کی پرورش سے آنے والی مصیبتوں پر صبر کرے تو یہ سب لڑکیاں اس کے لیے جہنم سے آڑ بنیں گی“۔ ا
------
Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam said Whoever is tried with something from daughters, and he is patient with them, they will be a barrier from the Fire for him. 
Jamia tirmazi#1913-Sahih

Umme Fadhal RadiAlalhu Anhu ka khawab aur uski haqiqat ka bayan

 Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Umme Fadhal RadiAlalhu Anhu ka khawab aur uski haqiqat ka bayan
--------
Umme Fadal Radi Allahu Anha se riwayat hain kehti hai ke wo Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ke paas aayi aur kehne lagi Ya Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam aaj raat meine ek bura khuwab dekha hain? Aap Sallallahu Alahi Wasallam ne pucha wo kya hai kehne lage wo bahut shadid qisam ka tha Aap Sallallahu Alahi Wasallam ne farmaye wo kya tha kahne lage maine dekha jaise Aap Sallallahu Alahi Wasallam ke jism mubarak ka koi tukda kaat kar meri goud mein rakh diya gaya hai Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaye tumne behtareen khuwab dekha hai In Shaa Allah Fatima Radi Allahu Anha ka bacha hoga to wo tumari goud mein aaega Fatima Radi Allahu Anha se Hazrat Husain Radi Allahu Anhu ko janam diya to jis tarha RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya tha usi tarha wo mere goud mein aagaya 
---------
ام الفضل  رضی اللہ عنہ سے مروی ہے کہتی ہیں کہ وہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کے پاس آئیں اور کہنے لگیں: اے اللہ کے رسول صلی اللہ علیہ وسلم آج رات میں نے ایک برا خواب دیکھا ہے؟ آپ نے پوچھا: وہ کیا ؟کہنے لگیں: وہ بہت شدید قسم کا تھا۔ آپ صلی اللہ علیہ وسلم ‌نے فرمایا: وہ کیا تھا؟ کہنے لگیں: میں نے دیکھا گویا کہ آپ کے جسم کا کوئی ٹکڑا کاٹ کر میری گود میں رکھ دیا گیا ہے۔آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: تم نے بہترین خواب دیکھا ہے،ان شاء اللہ فاطمہ رضی اللہ عنہا کا بچہ ہوگا تو وہ تمہاری گود میں آئے گا۔فاطمہ نے حسین‌رضی اللہ عنہ کو جنم دیا۔ تو جس طرح رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا تھا، اسی طرح وہ میری گود میں آگیا۔ایک دن میں رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کے پاس گئی اور حسنا رضی اللہ عنہ  کو آپ کی گود میں رکھ دیا ،پھر میں تھوڑی سی غیر متوجہ ہوئی توکیا دیکھتی ہوں کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کی آنکھوں سے آنسو بہہ رہے ہیں۔ میں نے کہا: اے اللہ کے رسول! آپ کو کیا ہوا؟ آپ صلی اللہ علیہ وسلم فرمانے لگے: میرے پاس جبریل  آئے اور مجھے بتایا کہ میری امت میرے اس بیٹے کو قتل کر دے گی۔ میں نے کہا: اس کو؟ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: ہاں،اور میرے پاس اس (کے خون سے رنگی)سرخ مٹی لائے۔
------------
Narrated by Umm al-Fadhal Radi Allahu Anha that she went to the Holy Prophet  Salallahu Alaihi Wasallam and said: O Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam, I have seen an unclear dream tonight. He  Sallallahu Alaihi Wasallam asked: What is it? She replied: I saw that as if a part of your body was cut off from you and was placed upon my chest (or lap). He  Sallallahu Alaihi Wasallam said: You have seen something good. In sha Allah Fatimah Radi Allahu Anha will bear a baby boy and he will be upon your chest. (or in lap) So Fatima gave birth to Hussain and he was on my chest as the Prophet  Sallallahu Alaihi Wasallam had pre informed me.
------------
Al-Silsila-tus-Sahiha#2508-Sahih

Jhooti Qasam khane wale ke Dil main ek Kala nukhta dal diya jata hai Jo Qayamat tak qayam rehta hain

 Bismillahirahmanirrahim

Hadith: Jhooti Qasam khane wale ke Dil main ek Kala nukhta dal diya jata hai Jo Qayamat tak qayam rehta hain
------------------
Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya bade gunahon mein sabse bada gunah ye hai Allah Subhanahu Ke sath Shirk karna Maa baap ki Na farmani karna hai Jhooti Qasam Khana to jis Kisi ne bhi aise Qasam khayee jis par wo majbur kar diya gaya aur us par faisle ka inhesar hai phir usne us (Qasam mein) Machar ke par ke barabr jhoot Shamil kar diya to Uske Dil mein ek Kala nukhta dal diya jayega Jo Qayamat tak qayam aur baqi rahega 
-----
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: ”بڑے گناہوں میں سب سے بڑے گناہ یہ ہیں: اللہ تعالیٰ کے ساتھ شرک کرنا، ماں باپ کی نافرمانی کرنا ہے، جھوٹی قسم کھانا۔ تو جس کسی نے بھی ایسی قسم کھائی جس پر وہ مجبور کر دیا گیا اور ( اسی پر فیصلہ کا انحصار ہے ) پھر اس نے اس میں مچھر کے پر کے برابر جھوٹ شامل کر دیا تو اس کے دل میں ایک ( کالا ) نکتہ ڈال دیا جائے گا جو قیامت تک قائم اور باقی رہے گا“۔ 
------
Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam said said: 'Indeed among the worst of the major sins is Shirk with Allah, disobeying the parents, the false oath, and none insists on taking an oath in which he swears, including the like of a wing of a mosquito (of falsehood) in it - except that a spot is placed in his heart until the Day of Judgement.' 
Jamia Tirmazi Hadees#3020-Sahih

Jisne Ahle Madina ko daraya Allah Subhanahu usse khauf mein mubtala karega

 Bismillahirahmanirrahim

Hadith: Jisne Ahle Madina ko daraya Allah Subhanahu usse khauf mein mubtala karega
--------
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Jisne Ahle Madina ko daraya Allah Subhanahu usay khauf mein mubtala karega
-----
جابر بن عبداللہرضی اللہ عنہ سے مروی ہے کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: جس نے اہل مدینہ کو ڈرایا اللہ تعالیٰ اسے خوف میں مبتلا کرے گا۔
-----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam said: Whoever frightens the people of Madinah, Allah Almighty will make him fearful..
-----
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 3581-Sahih

Tawheed Jannat ko wajib kar deti hain aur Shirk dozakh ko..

 Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Tawheed Jannat ko wajib kar deti hain aur Shirk dozakh ko..
----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ke khidmat mein ek aadmi hazir huwa aur pucha YA Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam wajib karne wali do baatein kaunsi hain Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne jawab diya Jo kisi Cheez ko Allah Subhanahu ke saath Shirk Na karte huwe mare wo Jannat mein dakhil hoga aur Jo Allah Subhanahu ke saath kisi Cheez ko Sharik karte huwe mara wo dozakh mein dakhil hoga yani Tawheed Jannat ko wajib kar deti hai aur Shirk dozakh ko
-------
ایک آدمی نبی اکرم ﷺ کی خدمت میں حاضر ہوا اور پوچھا : اے اللہ کے رسول ! واجب کرنے والی دو باتیں کون سی ہیں ؟ آپ نے جواب دیا : ’’ جو کسی چیز کو اللہ کے ساتھ شریک نہ کرتا ہوا مرا ، وہ جنت میں داخل ہو گا اور جو اللہ کے ساتھ کسی چیز کو ٹھہراتے ہوئے مرا ، و ہ دوزخ میں داخل ہو گا ۔ ‘ ‘ یعنی توحید جنت کو واجب کر دیتی ہے اور شرک دوزخ کو ۔ 
----
It is narrated on the authority of Jabir that a man came to the Messenger of Allah Sallallallahu Alaihi wasallam and said: Messenger of Allah, what are the two things quite unavoidable? He replied: He who dies without associating anyone with Allah would (necessarily) enter Paradise and he who dies associating anything with Allah would enter the (Fire of) Hell. 
----
Sahih Muslim Hadees#269

Allah Subhanahu ke nazdik sabse Afzal Namaz Jumma ke din Fajr ki Namaz jamat ke saath adaa karna hain

 Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Allah Subhanahu ke nazdik sabse Afzal Namaz Jumma ke din Fajr ki Namaz jamat ke saath adaa karna hain
-----------------
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Allah Subhanahu ke nazdik Afzal Namaz Jumma ke din Subha ki Namaz (yani Fajar ki Namaz) jamat ke saath adaa karna hain
--------
نبی صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: اللہ كے نزدیک افضل نماز جمعہ كے دن صبح كی نماز باجماعت ہے۔
-------
Ibn Umar reported: The Messenger of Allah Sallallahu Alaihi wasallam, said, “Verily, the most virtuous of prayers to Allah Subhanahu is the dawn prayer in congregation on Friday.”
-------
Al-Silsila-As-Sahiha 545-Sahih

Zohar ki chaar rakat sunnat aur Fajar ki do rakat sunnat Namaz Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ko sabse ziyada pasand thi aur us per wo hameshgi kiya karte thy

 Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Zohar ki chaar rakat sunnat aur Fajar ki do rakat sunnat Namaz Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ko sabse ziyada pasand thi aur us per wo hameshgi kiya karte thy
---------
Qaboos apne waalid se bayan karte hain ke mere waalid ne ek aurat Aisha Radi Allahu Anha ki taraf bhaije, ke un se pooch kar aaye ke Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ko kaunsi namaz sab se ziyada pasand thi jis par hameshgi kiya karte thy? unhon ne kaha : Aap Sallallahu Alaihi Wasalam Zohar ke pehle chaar rakaat padha karte thy, aur un mein lamba qiyam kiya karte, ruku o sujud ahsan tareeqe se ada karte, aur jo namaz wo choda nahi karte thy, tandurust hone ya bemaar safar mein ho ya kasar mein wo Fajar se pehle ki do rakatein hain
----------
قابوس اپنے والد سے بیان كرتے ہیں كہ میرے والد نے ایك عورت عائشہ رضی اللہ عنہا كی طرف بھیجی، كہ ان سے پوچھ كر آئے كہ رسول  اللہ صلی اللہ علیہ وسلم كو كونسی نماز سب سے زیادہ پسند تھی جس پر ہمیشگی كیا كرتے تھے؟ انہوں نے كہا: آپ صلی اللہ علیہ وسلم ‌ظہرسے پہلے چار ركعت پڑھا كرتے تھے، اور ان میں لمبا قیام كیا كرتے ، ركوع و سجود احسن طریقے سے ادا كرتے، اور جو نماز وہ چھوڑ انہیں كرتے تھے، تندر ست ہوں یا بیمار سفر میں ہوں یا حضر میں وہ فجر سے پہلے كی دو ركعتیں ہیں
---------
Qaboos narrates to his father that my father sent a woman to Aisha RadiAllahu Anhuma to ask her which prayer the Prophet Sallallahu Alaihi wasallam liked the most and which he used to pray always. He said: The Prophet Sallallahu Alaihi wasallam used to recite four rak'ahs before Zohar, and he used to stay in them for a long time, perform bowing and prostration in the best way, and the prayers that he used to never leave, whether he was healthy or sick or on his journey or in the presence of Allah, are two rak'ahs before Fajar.
Al-Silsila-tus-Sahiha#696-Sahih

Sadqa dene se maal kabhi kum nahi hota..aur maaf karne se Allah uski ezzat badha deta hain..

 Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Sadqa dene se maal kabhi kum nahi hota..aur maaf karne se Allah uski ezzat badha deta hain..
-------
Abu Hurairah Radi Allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya sadqa dene se kabhi maal kum nahi hota. Jo banda kisi ko maaf kar deta hain to Allah Subhanahu uski ezzat badha deta hai, aur jo banda Allah Subhanahu ke liye aajizi (narmee) karta hain to Allah Subhanahu uska darja buland kar deta hain
Sahih Muslim# 6592
----
 حضرت ابوہریرہ رضی اللہ عنہ نے رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم سے روایت کی کہ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا :   صدقے نے مال میں کبھی کوئی کمی نہیں کی اور معاف کرنے سے اللہ تعالیٰ بندے کو عزت ہی میں بڑھاتا ہے اور کوئی شخص  ( صرف اور صرف )  اللہ کی خاطر تواضع  ( انکسار )  اختیار نہیں کرتا مگر اللہ تعالیٰ اس کا مقام بلند کر دیتا ہے ۔
------
Abu Huraira reported Allah's Messenger Sallallahu Alaihi wasallam as saying: Charity does not in any way decrease the wealth and the servant who forgives, Allah adds to his respect,  and the one who shows humility Allah elevates him in the estimation (of the people).
Sahih Muslim# 6592

Allah Subhanahu ke raza ke liye gusse ka ghoont peena sabse fazilat wala hain

 Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Allah Subhanahu ke raza ke liye gusse ka ghoont peena sabse fazilat wala hain
-----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya bande ne koi aisa ghoont nahi peeya jo Allah Subhanahu ke yaha ziyada fazilat wala ho gusse ke us ghoont se jisko wo Allah Subhanahu ki razamandi hasil karne ke liye pee jata hain
-------
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے فرمایا: بندے نے کوئی ایسا گھونٹ نہیں پیا، جو اللہ تعالیٰ کے ہاں زیادہ فضیلت والا ہو غصے کے اس گھونٹ سے، جس کو وہ اللہ تعالیٰ کی رضامندی تلاش کرنے کے لیے پی جاتا ہے۔ 
-------
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam said: There is no gulp that brings greater reward with Allah than a gulp of anger that a man swallows (suppresses), seeking thereby the Face of Allah.
----
Masand e Ahmed 9170 – Sahih

Hijrat tab tak nahi khatam hogi jab tak tauba ka silsila khatam nahi hoga.

 Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Hijrat tab tak nahi khatam hogi jab tak tauba ka silsila khatam nahi hoga..
---------
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ko farmate huwe suna : Hijrat khatam nahi hogi yahan tak ke tauba ka silsila khatam ho jaye, aur tauba khatam nahi ho gi yahan tak ke Sooraj paschim se nikal aaye.
----------
میں نے رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کو فرماتے ہوئے سنا:  ہجرت ختم نہیں ہو گی یہاں تک کہ توبہ کا سلسلہ ختم ہو جائے، اور توبہ ختم نہیں ہو گی یہاں تک کہ سورج پچھم سے نکل آئے ۱؎ ۔ 
-----------
 Narrated Muawiyah: I heard the Messenger of Allah Sallallahu Alaihi wasallam say: Migration will not end until repentance ends, and repentance will not end until the sun rises in the west. 
---------
Sunnan e Abu Dawood#2479-Sahih

Jo Shaks Jannat ke darmiyani hisse mein jana chahata ho wo lazmi jamat se jude rahe

 Bismillahirahmanirrahim

Hadith: Jo Shaks Jannat ke darmiyani hisse mein jana chahata ho wo lazmi jamat se jude rahe
----
Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya Jo Shaks Jannat ke darmiyani hisse mein Jana chahata ho wo jamat se lazmi jude rahe aur jisse neiki se Khushi mile aur Gunah se gum ho haqeeqat mein wahi Momeen hain
Jamia Tirmaizi#2165 - Sahih
----
رسول الله صلی علیہ وسلم نے فرمایا جو شخص جنت کے درمیانی حصہ میں جانا چاہتا ہو وہ جماعت سے لازمی طور پر جڑا رہے اور جسے اپنی نیکی سے خوشی ملے اور گناہ سے غم لاحق ہو حقیقت میں وہی مومن ہے“
----
Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam said Whoever wants the best place in Paradise, then let him stick to the Jama'ah. Whoever rejoices with his good deeds and grieves over his evil deeds, then that is the believer among you.' 

Jamia Tirmaizi#2165 – Sahih

Allah Subhanahu Jamaat ke saath padne wali Namaz se bahut Khush hote hain

Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Allah Subhanahu Jamaat ke saath padne wali Namaz se bahut Khush hote hain
-----
Abdullah bin Amr RadiAllahu Anhu se riwayat hain: Yakeenan Allah Subhanahu Jamaat ki Namaz se bahut khush hota hain
----
عبداللہ بن عمر رضی اللہ عنہما سے مرفوعا مروی ہے : یقینا اللہ تعالیٰ جماعت كی نماز سے بہت خوش ہوتا ہے
----
Abdullah ibn' Umar RadiAllahu Anhu said: Surely Allah is pleased with the congregational prayers.
----
Al-Silsila-tus-Sahiha#560-Sahih

Fitno ke dauran jo ek dusre ka qatl karte hain aur khud ko hidayat par samjhte hain aur...

 Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Fitno ke dauran jo ek dusre ka qatl karte hain aur khud ko hidayat par samjhte hain aur...
----
Khalid b. Dihqan RadiAllahu Anhu ne Yahya b. Yahya al-Ghassani RadiAllahu Anhu se qoul Nabwi « اعتبط بقتلہ »  i'tabata bi qatlihi ke baare mein poocha, to Aap ne kaha : is se murad wo log hain jo ek dusre ko fitne mein ye samajh kar qatal karte hain ke hum hidaayat par hain, phir wo Allah Subhanahu se Tauba o astaghfar nahi karte....yani is (qatal) se. itabata ke maiene (na-haq) khoon bahane ke hain .
---
میں نے یحییٰ بن یحییٰ غسانی سے قول نبوی «اعتبط بقتلہ» کے بارے میں پوچھا، تو آپ نے کہا: اس سے مراد وہ لوگ ہیں جو ایک دوسرے کو فتنے میں یہ سمجھ کر قتل کرتے ہیں کہ ہم ہدایت پر ہیں، پھر وہ اللہ سے توبہ و استغفار نہیں کرتے یعنی اس  ( قتل )  سے۔ ابوداؤد کہتے ہیں: «اعتبط» اعتبط کے معنی  ( ناحق )  خون بہانے کے ہیں۔ 
----
Khalid b. Dihqan said: I asked Yahya b. Yahya al-Ghassani about the word i'tabata bi qatlihi spoken by him (as mentioned in the previous tradition). He said: It means those people who fight during the period of commotion (fitnah), and one of them kills (the other people) presuming that he is in the right, so he does not beg pardon of Allah of that (sin).
Abu Dawud said: And he said: The word fa'tabata means "he shed blood profusely"
---
Sunnan e Abu Dawood#4271-Sahih

Jo apne RABB ke munkir hote hain wo durr ki gumrahi mein se hain

 Bismillahirrahmannirrahim

Al Quran: Jo apne RABB ke munkir hote hain wo durr ki gumrahi mein se hain
---------
Apne RABB se munkiron ka haal aisa hain ke inke kaam hai jaise raakh ke is par hawa ka sakht jhonka aaya andhi ke din mein saari kamayi mein se kuch haath na laga, yahi hai durr ke gumraahi
------------
اپنے رب سے منکروں کا حال ایسا ہے کہ ان کے کام ہیں جیسے راکھ کہ اس پر ہوا کا سخت جھونکا آیا آندھی کے دن میں ساری کمائی میں سے کچھ ہاتھ نہ لگا ، یہی ہے دور کی گمراہی ،
------------
The example of those who disbelieve in their Lord is [that] their deeds are like ashes which the wind blows forcefully on a stormy day; they are unable [to keep] from what they earned a [single] thing. That is what is extreme error. 
-------------
Surah Ibrahim - (14:18)

Khayanat karne par Allah Subhanahu un do shakhs ke beech mein se hatt jate hain

Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Khayanat karne par Allah Subhanahu un do shakhs ke beech mein se hatt jate hain
-----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Allah Subhanahu farmata hain mein do sharikon ka teesra hu jab tak ke un dono mein se koi ek dusre ke saath khayanat na kare aur jab koi apne sathi ke saath Khayanat karta hain to Mein unke darmiyan se hatt jata hu.
------
نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: اللہ تعالیٰ فرماتا ہے: میں دو شریکوں کا تیسرا ہوں جب تک کہ ان دونوں میں سے کوئی ایک دوسرے کے ساتھ خیانت نہ کرے، اور جب کوئی اپنے ساتھی کے ساتھ خیانت کرتا ہے تو میں ان کے درمیان سے ہٹ جاتا ہوں ۔ 
------
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam said said: Allah, Most High, says: I make a third with two partners as long as one of them does not cheat the other, but when he cheats him, I depart from them. 
-----
Sunan Abi Dawud Hadees#3383-Sahih

Wo amal jo khushi ki raah asaan kar deti hain..

 Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Wo amal jo khushi ki raah asaan kar deti hain..
----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Allah Subhanahu ka ye farman sunaya faramaya Jo shaks Allah Subhanahu ke raste mein kharch kare Allah Subhanahu se dare aur Kalma tawheed (yani Laa illaha illAllaha) ki tasdik kare to hum uske liye asani aur khushi ki raah asaan kar denge aur Jo shaks bukhl kare duniya ki shehwat (yani duniya ki khuwaish) mein padh kar Jannat ki naimaton se be parwayee karen aur Kalma e tawheed ko jhutlaye to hum uske liye sakhti aur badbakhti ki raah asan kar denge
------
نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم نے اللہ تعالیٰ کا یہ فرمان سنایا: جو شخص اللہ کے راستے میں خرچ کرے، اللہ سے ڈرے، اور کلمہ توحید کی تصدیق کرے تو ہم اس کے لیے آسانی اور خوشی کی راہ آسان کر دیں گے، اور جو شخص بخل کرے، دنیوی شہوات میں پڑ کر جنت کی نعمتوں سے بے پروائی برتے اور کلمہ توحید کو جھٹلائے تو ہم اس کے لیے سختی اور بدبختی کی راہ آسان کر دیں گے ۱؎۔
------
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam recited: “So he who gives (in charity) and fears (Allah), and in all sincerity testifies to the best, we will indeed make smooth for him the path to bliss. But he who is a greedy miser and thinks himself self-sufficient, and gives the lie to the best, We will indeed make smooth for him the path of misery. ” 
Sunan Abu Dawud-Hadees#4694-Sahih

Achche Akhlaq wale duniya mein aur Aakhirat mein Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ke nazdik honge

 Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Achche Akhlaq wale duniya mein aur Aakhirat mein Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ke nazdik honge
-----
Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya mere nazdik tum mein se (duniya mein) sabse zyada mehboob aur  Qayamat ke din mujhse sabse ziyada Qareeb baithne wale wo log hain jo tum mein behtareen Akhlaq wale hain aur mere nazdik tum mein (duniya mein) sabse ziyada qabil e nafrat aur Qayamat ke din mujhse durr baithne wale wo log hain jo baatoni bila ehtiyat bolne wale zuban daraz aur Takkabur karne wale Sahaba Radi Allahu Anhuma ne arz kiya YA Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam humne baatuni aur bila ehtiyat bolne ko jaan liya lekin kaun log hain? Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Takkabur karne wale 
Jamia Tirmaizihadees#2018-Sahih
-------
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: ”میرے نزدیک تم میں سے ( دنیا میں ) سب سے زیادہ محبوب اور قیامت کے دن مجھ سے سب سے زیادہ قریب بیٹھنے والے وہ لوگ ہیں جو تم میں بہترین اخلاق والے ہیں، اور میرے نزدیک تم میں ( دنیا میں ) سب سے زیادہ قابل نفرت اور قیامت کے دن مجھ سے دور بیٹھنے والے وہ لوگ ہیں جو باتونی، بلااحتیاط بولنے والے، زبان دراز اور تکبر کرنے والے «متفيهقون» ہیں“، صحابہ نے عرض کیا: اللہ کے رسول! ہم نے «ثرثارون» ( باتونی ) اور «متشدقون» ( بلااحتیاط بولنے والے ) کو تو جان لیا لیکن کون لوگ ہیں؟ آپ نے فرمایا: ”تکبر کرنے والے“
-----
Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam said Indeed the most beloved among you to me, and the nearest to sit with me on the Day of Judgment is the best of you in character. And indeed, the most disliked among you to me, and the one sitting furthest from me on the Day of Judgement are the Thartharun, and the Mutashaddiqun and the Muthafaihiqun. They said: O Messenger of Allah! We know about the Thartharun, and the Mutashaddiqun, but what about the Muthafaihiqun? ' He said: The arrogant.
Jamia Tirmaizihadees#2018-Sahih

Jis per qarz ho aur wo usse lautane ki niyaat rakhta hain to Allah Shubahanhu khud uski madad karte hain aur...

 Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Jis per qarz ho aur wo usse lautane ki niyaat rakhta hain to Allah Shubahanhu khud uski madad karte hain aur...
----
Aisha RadiAllahu Anhuma kehti hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya : Jis shakhs par Qarz ho aur wo ada karne ki niyat rakhta ho to Allah Subhanahu ki taraf se is ke saath madad hoti hain, aur Allah Subhanahu is ke liye rizaq ka sabab bana deta hain.
----
Aisha RadiAllahu Anhuma said Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam said: Whoever has a debt and intends to repay it, If so, he will be helped by Allah, and Allah will make provision sustenance for him.
----
عائشہ رضی اللہ عنہا كہتی ہیں كہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: جس شخص پر قرض ہو اور وہ ادا كرنے كی نیت ركھتا ہو تو اللہ كی طرف سےاس كے ساتھ مدد ہوتی ہے ، اور اللہ تعالیٰ اس كے لئے رزق كا سبب بنا دیتا ہے۔
----
Al-Silsila-tus-Sahiha#1695-Sahih

Jis ghar mein musalsal 3 raaton tak Surah Al Baqrah ki akhiri do aayate padhi jaati hai mumkin nahi hain ke Shaitan us ghar ke qareeb aa sake

 Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Jis ghar mein musalsal 3 raaton tak Surah Al Baqrah ki akhiri do aayate padhi jaati hai mumkin nahi hain ke Shaitan us ghar ke qareeb aa sake
----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Allah Subhanahu ne zameen aur asman paida karne se do hazar saal pehle ek kitab likhi us kitab ki do aayatein nazil kiye aur innhein aayaton par Surah Baqara ko mukamal kiya jis Ghar mein ye dono aayatein (musalsal) teen raatein padhi jayegi mumkin nahi hain ke Shaitan us Ghar ke Qareeb aa sake
-------
نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: ”اللہ تعالیٰ نے زمین و آسمان پیدا کرنے سے دو ہزار سال پہلے ایک کتاب لکھی، اس کتاب کی دو آیتیں نازل کیں اور انہیں دونوں آیتوں پر سورۃ البقرہ کو ختم کیا، جس گھر میں یہ دونوں آیتیں ( مسلسل ) تین راتیں پڑھی جائیں گی ممکن نہیں ہے کہ شیطان اس گھر کے قریب آ سکے“
------
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam said Indeed Allah wrote in a book two thousand years before He created the heavens and the earth, and He sent down two Ayat from it to end Surat Al-Baqarah with. If they are recited for three nights in a home, no Shaitan shall come near it.
-----
Jamia Tirmazi hadees#2882-Sahih

Jab Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ko kisi ki addat pasand aati to Namaz padne ka hukum dete

 Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Jab Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ko kisi ki addat pasand aati to Namaz padne ka hukum dete
---------
Anas Radi Allahu Anhu se riwayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ko jab kisi aadmi ki koi adaa pasand aati to isse Namaz ka hukm dete
-----------
انس‌رضی اللہ عنہ سے مروی ہے كہ آپ صلی اللہ علیہ وسلم كو جب كسی آدمی کی کوئی ادا پسند آتی تو اسے نماز كا حكم دیتے
---------
Anas RadiAllahu Nahu narrated that when Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam like something about someone he use to order him to pray
---
Al-Silsila-tus-Sahiha#657

Allah Subhanahu Duniya mein jis cheez ko bhi buland karta hain issay niche zaroor karta hain

 Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Allah Subhanahu Duniya mein jis cheez ko bhi buland karta hain issay niche zaroor karta hain
----
Anas Radi Allahu Anhu se riwayat hain inhone Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ki Aazba naami ek oontni thi, wo kabhi piche nahi rahi thi. Ek dihati aadmi apne oont par aaya, wo issey sabaqat le gaya. Ye baat musalmano par garah guzri aur kahne lage Aazba pichey rah gayi? to Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya : Yaqeenan ye Allah Subahanhu Taala ke zimme laazim hain ke wo duniya mein jis cheez ko bhi buland karta hain isey niche zaroor karta hain
----
انس‌رضی اللہ عنہ سے مروی ہے انہوں نےکہا رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کی عضباء نامی ایک اونٹنی تھی، وہ کبھی پیچھے نہیں رہی تھی۔ ایک  دیہاتی آدمی اپنے اونٹ پر آیا، وہ اس سے سبقت لے گیا ،یہ بات مسلمانوں پر گراں گزری ،اور کہنے لگے عضباء پیچھے رہ گئی؟ تو رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: یقیناً یہ اللہ تعالیٰ کے ذمے لازم ہے کہ وہ دنیا میں جس چیز کو بھی بلند کرتا ہے اسے نیچے ضرور کرتا ہے
----
Anas Radi Allahu Anhu narrates and said that the Prophet Sallallahu Alaihi wasallam had a camel named Aazba, she never lagged behind. A villager came on his camel, he overtook him, this matter was a concern for the Muslims, and they said that Aazba was left behind? The Messenger of Allah Sallallahu Alaihi wasallam said: Surely it it is incumbent upon Allah Almighty to bring down whatever He raises in this world.
----
Al-Silsila-tus-Sahiha#65-Sahih

Momeen apni maut aane tak gunah karna nahi chodhta

 Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Momeen apni maut aane tak gunah karna nahi chodhta
----
Abdullah bin Abbas RadiAllahu Anhu se riwayat hain : har Momin aadmi (bhi) kisi gunah ka waqtan foqtan irteqaab karta rehta hain ya aisa gunah hota hai jis par wo dawam (yani hameshgi) rakhta hai jab tak faut na hojaye wo gunah nahi chodhta momin ko aazmaish mein mubtala, tauba karne wala, bhoolnay wala, paida kiya gaya hain jab usse yaad dehani karayi jaye to naseehat haasil karta hain
---
Abdullah bin Abbas RadiAllahu narrated that Every believing person (also) commits a sin from time to time. Or there is a sin on which he persists until he dies. The believer is created to be tempted, to repent, to forget and when he is reminded he listen to the advice.
---
عبداللہ بن عباس رضی اللہ عنہما سے مرفوعا مروی ہے : ہر مومن آدمی (بھی) کسی گناہ کا وقتا فوقتا ارتكاب كرتا رہتا ہے۔ یاایسا گناہ ہوتا ہے جس پر وہ دوام ركھتا ہے جب تك فوت    نہ ہو جائے وہ گناہ نہیں چھوڑ تا ۔ مومن كو آزمائش میں مبتلا، توبہ كرنے والا، بھولنے والا،پیدا كیا گیا  ہے۔ جب اسے یاد دہانی كرائی جائے تو نصیحت حاصل كرتا ہے
---
Al-Silsila-tus-Sahiha#1390-Sahih

Insan ko uska Rizq mil kar he rahta hain jaise uski maut us se milkar rahti hain

 Bismillahirrahmannirrahim

Hadith : Insan ko uska Rizq mil kar he rahta hain jaise uski maut us se milkar rahti hain
-------
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Agar Ibn e Aadam Apne Rizq se is tarah bhage jis tarah maut se bhagta hain tab bhi is ka Rizq usko mil kar he rahega  jaise uski maut usko mil kar he rahti hain
-------
رسول اللہ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  نے فرمایا اگر ابن آدم اپنے رزق سے اس طرح بھاگے جس طرح موت سے بھاگتا ہے تب بھی اس كا رزق  اس کو مل کر ہی رہیگا جیسے اسکی موت اسکو مل کر ہی رہتی ہے 
----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam said  Even if the son of Adam were to flee from his sustenance like he flees from his death, his sustenance would still reach him just like his death will reach him
Al-Silsila-tus-Sahiha - 1371

Allah ki Qasam Wo Momeen Nahi jiske Shar se uska padosi Mehfuz Nahi

 Bismillahirahmanirrahim


Hadith: Allah ki Qasam Wo Momeen Nahi jiske Shar se uska padosi Mehfuz Nahi

-------

Rasool-e-Kareem Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya Allah ki Kasam Wo Momeen Nahi , Wo Momeen Nahi , Wo Momeen Nahi Wo Momeen Nahi arz kiya gaya Koun Ya Rasool - Allah Sallallahu Alahih Wasallam farmaya Wo jiske Shar se uska padosi Mehfuz na ho 

------

نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے بیان کیا ”واللہ! وہ ایمان والا نہیں۔ واللہ! وہ ایمان والا نہیں۔ واللہ! وہ ایمان والا نہیں۔ عرض کیا گیا کون: یا رسول اللہ؟ فرمایا وہ جس کے شر سے اس کا پڑوسی محفوظ نہ ہو۔

-----

Rasool-e-Kareem Sallallahu Alahih Wasallam Said said, By Allah, he does not believe! By Allah, he does not believe! By Allah, he does not believe! It was said, Who is that, O Allah's Apostle? He said, That person whose neighbor does not feel safe from his evil. 

Sahih Bukhari 6016

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam wo pehle shakhs honge jis ke liye Jannat ke darwazay khole jayege..SubhanAllah

 Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam wo pehle shakhs honge jis ke liye Jannat ke darwazay khole jayege..SubhanAllah
-----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ke sahaba ne kaha : Ibrahim Alaihi Sallam Allah ke dost, Isa Alaihi Sallam Allah ke qalme (qalam) hain aur Musa Alaihi Sallam ne Allah se guftagu ki hain Eh Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam Aap ko kya diya gaya? Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya: Qayamat ke din Aadam ki tamam aulaad mere jhande ke neechay hogi, aur mein pehla shakhs hon ga jis ke liye Jannat ke darwazay khole jayenge
-----
The companions of the Prophet Sallallahu Alaihi wasallam said: Ibrahim Alaihi Sallam is the friend of Allah, Isa Alaihi Sallam is the word of Allah, and Musa Alaihi Sallam spoke to Allah. O Messenger of Allah Sallallahu Alaihi wasallam! What has been given to you? The Prophet Sallallahu Alaihi wasallam said: On the Day of Resurrection, all the descendants of Adam will be under my banner, and I will be the first person for whom the gates of Paradise will be opened.
----
حذیفہ بن یمان كہتے ہیں كہ نبی صلی اللہ علیہ وسلم كے صحابہ نے كہا: ابراہیم علیہ السلام اللہ كے دوست، عیسیٰ علیہ السلام اللہ كے كلمے ہیں اور موسیٰ علیہ السلام نے اللہ سے گفتگو كی ہے۔ اے اللہ كے رسول صلی اللہ علیہ وسلم آپ كو كیا دیا گیا؟ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: قیامت كے دن آدم كی تمام اولاد میرے جھنڈے كے نیچے ہوگی، اور میں پہلا شخص ہوں گا جس كے لئے جنت كے دروازے كھولے جائیں گے
----
Al-Silsila-tus-Sahiha#1516-Sahih

Jisne dikhawe ke liye Allah ke raaste mein maal kharch kiya usey jahannum mein phaink diya jayega

 Bismillahirrahmannirrahim 

Hadith: Jisne dikhawe ke liye Allah ke raaste mein maal kharch kiya usey jahannum mein phaink diya jayega
-------
Abu Hurairah Radi Allahu Anhu  ne kaha mein ne Rasool-Allah Sallallahu Alaihi  wasallam se suna farma rahe they sab se pehla shakhs jis ke khilaaf Qayamat ke din faisla kiya jaye ga, wo shakhs hoga jisay (duniya main) shaheed samjha jata hoga . Usse laya jaye ga, Allah Subhanahu usse apni naematain gawaega wo un ka aitraaf kare ga. Allah Subhanahu farmaye ga : un ke badlay tum nae kya kiya? wo kahe ga mein shaheed honay tak teray rastay mein qitaal kar ta raha. Allah Subhanahu farmaye ga : Tu jhoot bolta hai, tum nay to is liye qitaal kiya takey tumhe bahadur kaha jaye, aur ye baat duniya mein kah di gayi . Pir is ke barey mein hukum diya jaye ga to isey muh ke bal ghaseet kar jahannum mein phaink diya jaye ga. Dosra wo shakhs hoga jis nay ilm (deen) sikha aur sikhaya hoga, aur Quran padha hoga usay laya jaye ga Allah Subhanahu usay apni naematain ganwaye ga aur WO iska aitraaf kare ga. Allah Subhanahu farmaye ga : tunay un ke badle kya amal kiya? woh kahe ga : mein ne ilm sikha aur sikhaya aur teray liye quran parhta raha. Allah Subhanahu farmaye ga. Tu jhoot bolta hai tum nay to ilm is liye sikha takey  tumhe aalim kaha jaye aur quran is liye parha takey tumhe qaari kaha jaye. to ye baat duniya mein kah di gayi. phir is ke barey mein hukum diya jaye ga to isey ghaseet kar muh ke bal jahannum mein phaink diya jaye ga. Aur teesra wo shakhs hoga jisay Allah Subhanahu ne maal daulat ki farawani di hogi usay laya jaye ga, Allah Subhabahu usse apni naematain gawaega woh un ka aitraaf karega. Allah Subhanahu farmaye ga : tune un ke badlay kya kiya? wo kahe ga : mein ne teray har is rastay mein kharch kiya jis mein tu chahta tha ke kharch kiya jaye. Allah Subhanahu farmaye ga : Tu jhoot bolta hai, tunay to ye kam is liye kiya tha, takey tujhe sakhi (Faragh dil wala) kaha jaye aur ye baat duniya mein kah di gayi hai. phir is ke bare mein hukm diya jaye ga to isey bhi ghaseet kar jahannum mein phaink diya jaye ga.
------
ابوہریرہ‌رضی اللہ عنہ نے كہا: ہاں میں نے رسول اللہ  ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌سے سنا فرما رہے تھے: سب سے پہلا شخص جس كے خلاف قیامت كے دن فیصلہ كیا جائے گا، وہ شخص ہوگا جسے(دنیامیں)شہید سمجھا جاتا ہوگا۔ اسے لایا جائے گا، اللہ تعالیٰ اسے اپنی نعمتیں گنوائے گا وہ ان كا اعتراف كرے گا۔ اللہ فرمائے گا: ان كے بدلے تم نے كیا كیا؟ وہ كہے گا میں شہید ہونے تك تیرے راستے میں قتال كر تا رہا۔ اللہ تعالیٰ فرمائے گا: توجھوٹ بولتا ہے، تم نے تواس لئے قتال كیا تاكہ تمہیں بہادر كہا جائے، اور یہ بات دنیا میں كہہ دی گئی۔ پھر اس كے بارے میں حكم دیا جائے گا تواسے منہ كے بل گھسیٹ كر جہنم میں پھینك دیا جائے گا۔ دوسرا وہ شخص ہوگا جس نے علم(دین) سیكھا اور سكھایا ہوگا، اور قرآن پڑھا ہوگا اسے لایا جائے گا اللہ تعالیٰ اسے اپنی نعمتیں گنوائے گا اور كا اعتراف كرے گا۔ اللہ تعالیٰ فرمائے گا: تونے ان كے بدلے كیا عمل كیا ؟ وہ كہے گا: میں نے علم سیكھا اور سكھایا اور تیرے لئے قرآن پڑھتا رہا۔ اللہ تعالیٰ فرمائے گا: توجھوٹ بولتا ہے تم نے توعلم اس لئے سكھاا تاكہ تمہیں عالم كہا جائے اور قرآن اس لئے پڑھا تاكہ تمہیں قاری كہا جائے۔ تویہ بات دنیامیں كہہ دی گئی ۔ پھر اس كے بارے میں حكم دیا جائے گا تواسے گھسیٹ كر منہ كے بل جہنم میں پھینك دیا جائے گا۔ اور تیسرا وہ شخص ہوگا جسے اللہ تعالیٰ نے مال ودولت كی فراوانی دی ہوگی اسے لایا جائے گا، اللہ تعالیٰ اسے اپنی نعمتیں گنوائے گا وہ ان كا اعتراف كرے گا ۔اللہ تعالیٰ فرمائے گا: تونے ان كے بدلے كیا كیا؟ وہ كہے گا: میں نے تیرے ہر اس راستے میں خرچ كیا جس میں توچاہتا تھا كہ خرچ كیا جائے۔ اللہ تعالیٰ فرمائے گا: توجھوٹ بولتا ہے، تونے تویہ كام اس لئے كیا تھا، تاكہ تجھے سخی كہا جائے اور یہ بات دنیا میں كہہ دی گئی ہے۔پھر اس كے بارے میں حكم دیا جائے گا تواسے بھی گھسیٹ كر جہنم میں پھینك دیا جائے گا
------
Al-Silsila-tus-Sahiha# 990-Sahih

Miya aur Biwi ki misaal baahum (mil kar) Mohabbat karne wale ki tarhan hain

 Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Miya aur Biwi ki misaal baahum (mil kar) Mohabbat karne wale ki tarhan hain
----
Hazrat Ibn Abbas RadiAllahu Anhu bayan karte hain, Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya: tum ne nikah (yani khawand o biwi) ki misaal do baahum (ek saath ya mil kar) mohabbat karne wale nahi dekhe honge
---
حضرت ابن عباس ؓ بیان کرتے ہیں ، رسول اللہ ﷺ نے فرمایا :’’ تم نے نکاح (یعنی خاوند و بیوی) کی مثل دو باہم محبت کرنے والے نہیں دیکھے ہوں گے ۔‘‘ ، رواہ ابن ماجہ ۔

Mishkat ul Masabeeh#3093-Sahih

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ki ummat ki missal barish ki terhan hain

 Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ki ummat ki missal barish ki terhan hain
----
Rasool-Allah Salllallahu Alaihi wasallam ne farmaya : Meri ummat ki misaal barish ki terhan hai, maloom nahi ke pehlay wale log behtar hain ya aakhir wale
----
آپ  صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: میری امت كی مثال بارش كی طرح ہے، معلوم نہیں كہ پہلے والے لوگ بہتر ہیں یا آخر والے۔
----
Al-Silsila-tus-Sahiha#1392-Sahih

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ko na duniya se matlab tha aur na he usse koi talluq kuynke...

 Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ko na duniya se matlab tha aur na he usse koi talluq kuynke...
----
Abdullah bin Masood RadiAllahu Anhu ne kaha ke Rasool-Allah Salllallahu Alaihi wasallam ek chataai par soye to Aap ke pehlu mein nishaan padh gaya. Jab Aap jaghe to mein Aap ka pehlu sehalane laga mein ne kaha : Eh Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam! Aap ne humein bataya kuyn nahi hum Aap ki chataai par kuch cheez bichaa dete. Rasool-Allah Salllallahu Alaihi wasallam ne farmaya : Mujhe duniya se kya matlab? Aur duniya ka kya talluq? Meri misaal to is sawaar ki terhan hai jo ek darakht ke neechay saya haasil karne ke liye baitha, phir wahan se kuch kar gaya aur darakht ko chodh diya
----
عبداللہ بن مسعودرضی اللہ عنہ نے كہا: كہ رسول اللہ  صلی اللہ علیہ وسلم ایك چٹائی پر سوئے تو آپ كے پہلو میں نشان پڑ گیا۔ جب آپ جاگےتو میں آپ کا پہلو سہلانے لگا۔ میں نے كہا: اے اللہ كے رسول  ! آپ نے ہمیں بتایا كیوں نہیں ہم آپ كی چٹائی پر كوئی چیز بچھا دیتے۔رسول اللہ  صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: مجھے دنیا سے كیا مطلب ؟ اور دنیا كا كیا تعلق؟ میری مثال تو اس سوار كی طرح ہے جو ایك درخت كے نیچے سایہ حاصل كرنے كے لئے بیٹھا، پھر وہاں سے كوچ كر گیا اور درخت كو چھوڑ دیا
----
Al-Silsila-tus-Sahiha#1387-Sahih

Allah Subhanahu ke hukm par Rasool-Allah Sallallahu Alaihi WaSallam ne Ubayy bin Kaab Radi Allahu Anhu ke samne Surah Bayyina ki tilawat farmayi

 Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Allah Subhanahu ke hukm par Rasool-Allah Sallallahu Alaihi WaSallam ne Ubayy bin Kaab Radi Allahu Anhu ke samne Surah Bayyina ki tilawat farmayi
--------
 Rasool Allah Sallallahu Alaihi WaSallam ne Hazrat Ubayy bin Kaab Radi Allahu se farmaya : Allah Subhanahu ne mujhe hukm diya hain ke mein tumhare samney (Quraan Majeed ki ye Surah)

﴿لَمْ يَكُنِ الَّذِينَ كَفَرُوا﴾ 
(البینہ 1 :98 )

Tilawat karu Hazrat Ubayy bin Kaab Radi Allah Anhu ne kaha : Aur Allah Subhanahu ne mera naam liya hain? Aap ne farmaya : Haan. to wo (Hazrat Ubayy bin Kaab Radi Anhu) rone lage.
---------
 رسول اللہ  صلی اللہ علیہ وسلم  ن حضرت ابی ابن کعب رضی اللہ تعالیٰ عنہ  سے فرمایا :    اللہ تعالیٰ نے مجھے حکم دیا ہے کہ میں تمھارے سامنے ( قرآن مجید کی یہ سورت )  :  ﴿لَمْ يَكُنِ الَّذِينَ كَفَرُوا﴾ ( البینہ 1 : 98 )  تلاوت کروں ۔  ( حضرت ابی رضی اللہ تعالیٰ عنہ  نے )  کہا : اور اللہ تعالیٰ نے میرا نام لیا ہے؟آپ نے فرمایا :    ہاں ۔    تو وہ ( حضرت ابی رضی اللہ تعالیٰ عنہ   )  رونے لگے ۔ 
---------
Anas bin Malik reported that Allah's Messenger Sallallahu Alaihi wasallam said to Ubayy bin Kaab RadiAllahu Anhu: I have been commanded to recite to you the Surah (Al- Bayyinah) which opens with these words (Lam Yakunil-ladhiyna Kafaruu) He said: Has Allah mentioned to you my name? He said: Yes; thereupon he shed tears of joy. 
----
Sahi Muslim# 6343

Jab ghar mein dhakil ho to Salam kiya karo kuynke ye...

 Bismillahirrahmannirrahim

Al Quran: Jab ghar mein dhakil ho to Salam kiya karo kuynke ye...
---
Jab gharon mein dhakil huwa karo to apne aadmiyon par Salam kiya karo ye dua ke taur par Allah ki taraf paak mubarak umdah tohfa hain
----
سلام کرلیا کرو ۔ یہ دعاء کے طور پر اللہ کی طرف کا پاک ،مبارک اور عمدہ تحفہ ہے
---------
But when you enter houses, give greetings of peace upon each other - a greeting from Allah , blessed and good.
----------
Al Quran : Surah Noor#61

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne apne sahaba se farmaya ke tum mein se jo maujood hain. wo...

Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne apne sahaba se farmaya ke tum mein se jo maujood hain. wo...

--------

Zaid Bin Arqam RadiAllahu Anhu kahte hain hum ek safar mein Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ke saath thy, Aap ek jagah utre to maine suna Aap farma rahe thy : Meri ummat mein se jo koi mere pass Hauz e Kawthar par ayinge tum inka ek lakhwa hissa bhi nahi ho (Zaid Bin Arqam Radi Allahu Anhu se pucha gaya ke) is din tum kitne thy ? Zaid RadiAllahu Anhu ne kaha : saat ya aath (700/800) sau.

---------

Zaid Bin Arqam RadiAllahu Anhu  said: We were with the Messenger of Allah (peace and blessings of Allah be upon him) on a journey. When he landed at a place, I heard him saying: You are not even one lakh of the people of my ummah who will come to me at Hauz e Kawthar. (Zaid Bin Arqam RadiAllahu Anhu  was asked) How many of you were that day? Zaid said: Seven or eight hundred.

---------

زید بن ارقم كہتے ہیں كہ ہم ایك سفر میں رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم كے ساتھ تھے۔آپ ایك جگہ اترے تو میں نے سنا آپ فرما رہے تھے: میری امت میں سے جو لوگ میرے پاس حوضِ كوثر پر آئیں گے تم ان كا ایك لاكھواں حصہ بھی نہیں  ہو۔(زید بن ارقم رضی اللہ عنہ سے پوچھا گیا کہ) اس دن تم کتنے تھے؟ زید نے كہا:سات یا آٹھ سو۔

--------

Al-Silsila-tus-Sahiha#1503-Sahih

Jo momeeno ki geebat karte hai wo aise hai jaise badbudar murdaron ki boo ki terhan

 Bismillahirrahmannirahim


Hadith: Jo momeeno ki geebat karte hai wo aise hai jaise badbudar murdaron ki boo ki terhan

---

Sayedna Abdullah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki hum Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ke saath they ki badbudar murdaron ki boo aane lagi, Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya kya tum jante ho ki ye bad Boo kaisi hai ? phir farmaya ye un logon ki bad boo hai jo Momeeno ki Geebat karte hain

Musnad Ahmed - 9879-Sahih

---

 سیدنا عبد اللہ ‌رضی ‌اللہ ‌عنہ سے مروی ہے، وہ کہتے ہیں: ہم نبی کریم ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم کے ساتھ تھے کہ بد بو دار مرداروں کی بو اٹھنے لگی، آپ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم نے فرمایا: کیا تم جانتے ہو کہ یہ بد بو کیسی ہے؟ یہ ان لوگوں کی بد بو ہے، جو مؤمنوں کی غیبت کرتے ہیں۔

----

Abdullah Radi Allahu Anhu narrated and said that: We were with Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam when the the stench (smell) of dead bodies began to rise. Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam said: Do you know what this stench is? This is the stench of those who gossip about the believers

Musnad Ahmed - 9879-Sahih

https://pin.it/33mEOVe

https://youtube.com/channel/UCU2nOLxH61z8na1INbcK0Pg

Mahfhum mukkamal kijiye Allah Subhanahu ke nazdik kaunsa shakhs sabse kaabile nafrat hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 804❗

Sawal: Mahfhum mukkamal kijiye Allah Subhanahu ke nazdik kaunsa shakhs sabse kaabile nafrat hain

A: Zulm karne wala
B: Bukhl karne wala
C: Jhoot bolne wala
D: Riyakari karne wala
E: Fuzul karch karne wala
F: Benamazi shakhs
G: Inmein se koi nahi (apna jawab likhiye)
H: Sahi Jawab ka Intezaar
****
Sahih Jawab - G✅

Hadith: Allah Subhanahu ke nazdeek sabse napasandeeda aur kabile nafrat wo shakhs hain jo sakht Ziddi aur jhagadalu hain

Reference📚:
----
Hazrat Ayesha RadiAllahu Anhuma se riwayat hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Allah Subhanahu ke nazdeek sabse napasandeeda aur kabil nafrat shakhs wo hain jo sakht Ziddi aur jhagadalu hain
----
حضرت عائشہ رضی اللہ عنہا سے روایت ہے کہ رسول اللہ  ﷺ  نے فرمایا :’’ اللہ تعالیٰ کے نزدیک سب سے ناپسندیدہ اور قابل نفرت شخص وہ ہے جو سخت ضدی اور جھگڑالو ہے ۔‘‘
---
It was narrated that 'Aishah said: The Messenger of Allah Sallallahu Alaihi wasallam said: 'The most hated of men to Allah is the most quarrelsome of opponents.'
---
Sunnan e Nisai#5425-Sahih

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne ek sahabi se farmaya ki tum logon ki tadaad utni bhi nahi hai jitni roz e Qayamat mere Hauz par hogi

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 803❗

❗Dono sawalon ka jawab ek saath dijiye

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne ek sahabi se farmaya ki tum logon ki tadaad utni bhi nahi hai jitni roz e Qayamat mere Hauz par hogi

Sawal1: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne kitni tadaad kaha hain

A: 1000
B: 70000
C: 1 lakh
D: 10 lakh
E: 100
F: 7000
G: inmein se koi nahi 
H: Sahi Jawab ka intezaar

Sawal2: Aur wo log kitne thy

A: 100-200
B: 300-400
C: 700-800
D: 7000-70000
E: 1 lakh - 2lakh
F: 10 lakh - 20 lakh
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka intezaar
*****
Sahi Jawab-CC✅

Hadith: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne apne sahaba se farmaya ke tum mein se jo hain...

Reference : 📚
--------
Zaid Bin Arqam RadiAllahu Anhu kahte hain hum ek safar mein Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ke saath thy, Aap ek jagah utre to maine suna Aap farma rahe thy : Meri ummat mein se jo koi mere pass Hauz e kawthar par ayinge tum inka ek lakhwa hissa bhi nahi ho (Zaid Bin Arqam Radi Allahu Anhu se pucha gaya ke) is din tum kitne thy ? Zaid RadiAllahu Anhu ne kaha : saat ya aath (700/800) sau.
---------
Zaid Bin Arqam RadiAllahu Anhu  said: We were with the Messenger of Allah (peace and blessings of Allah be upon him) on a journey. When he landed at a place, I heard him saying: You are not even one lakh of the people of my ummah who will come to me at Hauz e Kawthar. (Zaid Bin Arqam RadiAllahu Anhu  was asked) How many of you were that day? Zaid said: Seven or eight hundred.
---------
زید بن ارقم كہتے ہیں كہ ہم ایك سفر میں رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم كے ساتھ تھے۔آپ ایك جگہ اترے تو میں نے سنا آپ فرما رہے تھے: میری امت میں سے جو لوگ میرے پاس حوضِ كوثر پر آئیں گے تم ان كا ایك لاكھواں حصہ بھی نہیں  ہو۔(زید بن ارقم رضی اللہ عنہ سے پوچھا گیا کہ) اس دن تم کتنے تھے؟ زید نے كہا:سات یا آٹھ سو۔
--------
Al-Silsila-tus-Sahiha#1503-Sahih

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...