Bismillahirrahmannirrahim
Hadith: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ko na duniya se matlab tha aur na he usse koi talluq kuynke...
----
Abdullah bin Masood RadiAllahu Anhu ne kaha ke Rasool-Allah Salllallahu Alaihi wasallam ek chataai par soye to Aap ke pehlu mein nishaan padh gaya. Jab Aap jaghe to mein Aap ka pehlu sehalane laga mein ne kaha : Eh Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam! Aap ne humein bataya kuyn nahi hum Aap ki chataai par kuch cheez bichaa dete. Rasool-Allah Salllallahu Alaihi wasallam ne farmaya : Mujhe duniya se kya matlab? Aur duniya ka kya talluq? Meri misaal to is sawaar ki terhan hai jo ek darakht ke neechay saya haasil karne ke liye baitha, phir wahan se kuch kar gaya aur darakht ko chodh diya
----
عبداللہ بن مسعودرضی اللہ عنہ نے كہا: كہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم ایك چٹائی پر سوئے تو آپ كے پہلو میں نشان پڑ گیا۔ جب آپ جاگےتو میں آپ کا پہلو سہلانے لگا۔ میں نے كہا: اے اللہ كے رسول ! آپ نے ہمیں بتایا كیوں نہیں ہم آپ كی چٹائی پر كوئی چیز بچھا دیتے۔رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: مجھے دنیا سے كیا مطلب ؟ اور دنیا كا كیا تعلق؟ میری مثال تو اس سوار كی طرح ہے جو ایك درخت كے نیچے سایہ حاصل كرنے كے لئے بیٹھا، پھر وہاں سے كوچ كر گیا اور درخت كو چھوڑ دیا
----
Al-Silsila-tus-Sahiha#1387-Sahih
No comments:
Post a Comment