Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Tuesday 7 September 2021

Tawheed Jannat ko wajib kar deti hain aur Shirk dozakh ko..

 Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Tawheed Jannat ko wajib kar deti hain aur Shirk dozakh ko..
----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ke khidmat mein ek aadmi hazir huwa aur pucha YA Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam wajib karne wali do baatein kaunsi hain Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne jawab diya Jo kisi Cheez ko Allah Subhanahu ke saath Shirk Na karte huwe mare wo Jannat mein dakhil hoga aur Jo Allah Subhanahu ke saath kisi Cheez ko Sharik karte huwe mara wo dozakh mein dakhil hoga yani Tawheed Jannat ko wajib kar deti hai aur Shirk dozakh ko
-------
ایک آدمی نبی اکرم ﷺ کی خدمت میں حاضر ہوا اور پوچھا : اے اللہ کے رسول ! واجب کرنے والی دو باتیں کون سی ہیں ؟ آپ نے جواب دیا : ’’ جو کسی چیز کو اللہ کے ساتھ شریک نہ کرتا ہوا مرا ، وہ جنت میں داخل ہو گا اور جو اللہ کے ساتھ کسی چیز کو ٹھہراتے ہوئے مرا ، و ہ دوزخ میں داخل ہو گا ۔ ‘ ‘ یعنی توحید جنت کو واجب کر دیتی ہے اور شرک دوزخ کو ۔ 
----
It is narrated on the authority of Jabir that a man came to the Messenger of Allah Sallallallahu Alaihi wasallam and said: Messenger of Allah, what are the two things quite unavoidable? He replied: He who dies without associating anyone with Allah would (necessarily) enter Paradise and he who dies associating anything with Allah would enter the (Fire of) Hell. 
----
Sahih Muslim Hadees#269

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...