Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Monday 8 August 2022

kaunsa azkar kehne se ye farmaya gaya hain ke bande ko jo diya gaya hain wo us cheez se afzal hai jo usne liya hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 921❗

Sawal: kaunsa azkar kehne se ye farmaya gaya hain ke bande ko jo diya gaya hain wo us cheez se afzal hai jo usne liya hain 

A: Alhumdullilahi Kathira
B: SubhanAllah
C: Hada min Fadli Rabbi
D: Sajda e shukar karna
E: Alhumdullilahi Rabbil Aalameen
F: Alhumdullilah
G: Inmein se koi nahi (apna jawab likho)
H: Sahi Jawab ka intezaar
****
Sahih Jawab - F✅

Hadith: Alhmudulillah kehne ki fazilat

Reference📚:
-----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jab Allah Subhanahu apne bande per koi Neimat nazil farmata hain aur wo
"Allhumdullilah" 
(Tamam tarifein Allah ke liye hain)
kehta hain to usne jo diya wo us cheez se afzal hain jo usne liya 
---
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: جب اللہ تعالیٰ اپنے بندے پر کوئی نعمت نازل فرماتا ہے، اور وہ «الحمدللہ» کہتا ہے تو اس نے جو دیا وہ اس چیز سے افضل ہے جو اس نے لیا
---
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam said: 'Allah does not bestow a blessing upon any slave and he says:
Alhumdullillah
(praise is to Allah),
except that what he gives (the praise) is better than what he received (the blessing). 
Sunan e Ibn e Maja#3805-Sahih

Inmein se kaunse do kamzor log hain hain jinki haq talfi khas taur par mana hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 920❗

Jawab ek se zyada hain

Sawal: Inmein se kaunse do kamzor log hain hain jinki haq talfi khas taur par mana hain

A: Yateem 
B: Aurat
C: Gulaam
D: Walidain
E: Budhe
F: Mazloom 
G: Biwi
H: Sahi Jawab ka intezaar
****
Sahi Jawab - AB✅

Hadith: Yateem aur Aurat ki haq talfi karne se khaas bacho kuyke..

Reference📚:
----
Abu Huraira RadiAllahu Anhu kehte hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya : Mein do kamzoron ki haq talfi se mana karta hu. Yateem, aur Aurat
-----
Abu Huraira RadiAllahu Anhu said that the Prophet Sallallahu Alaihi wasallam said: I forbid the loss of the rights of two weak people. Orphans and women
----
ابو ہریرہرضی اللہ عنہ کہتے ہیں کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: میں دو کمزوروں کی حق تلفی سے منع کرتا ہوں۔ یتیم، اور عورت
----
Al-Silsila-tus-Sahiha#1938-Sahih

Wo kya hain jo kuch log ussay durust karenge jaise teer ko durust kiya jata hain kuyke wo iski jaza duniya mein he chahainge

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 919❗

Sawal: Wo kya hain jo kuch log ussay durust karenge jaise teer ko durust kiya jata hain kuyke wo iski jaza duniya mein he chahainge

A: Namaz
B: Zikr
C: Aamal
D: Sadqa
E: Quran
F: Jihad
G: Emaan
H: Inmein se koi nahi (apna jawab likhiye)
I: Sahih jawab ka intezaar
****
Sahi Jawab - E✅

Hadith: Anqareeb Quran ka padhna aisa hoga ke log duniya mein he jaza chahainge aur usse akhirat taq muakkhir nahi karenge yani wo talabb duniya ke liye padhenge

Reference📚:
-----
Jabir RadiAllahu Anhu bayan karte hain, Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam‌ hamaray paas tashreef laaye to hum Quran padh rahe thy aur hum mein Arabi aur ajmi bhi they, Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya padho sab theek hain anqareeb aisay log ayenge jo usse is terhan (mubaligha ke saath) durust karenge jaisay teer durust kiya jata hain wo duniya mein he jaza chahainge aur usse akhirat taq muakkhir nahi karenge. (yani wo talabb duniya ke liye padhenge)
-----
جابر بیان کرتے ہیں، رسول اللہ صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم ہمارے پاس تشریف لائے تو ہم قرآن پڑھ رہے تھے اور ہم میں اعرابی اور عجمی بھی تھے ، آپ صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم نے فرمایا :’’ پڑھو ، سب ٹھیک ہے ۔ عنقریب ایسے لوگ آئیں گے جو اسے اس طرح (مبالغہ کے ساتھ) درست کریں گے جیسے تیر درست کیا جاتا ہے ۔ وہ دنیا میں ہی جزا چاہیں گے اور اسے آخرت تک مؤخر نہیں کریں گے ۔‘‘ (یعنی وہ طلب دنیا کے لیے پڑھیں گے)      ، رواہ ابوداؤد و البیھقی ۔ 
----
Jabir RadiAllahu Anhu narrates that when the Messenger of Allah Sallallahu Alaihi wasallam came to us, we were reciting the Qur'an and there were Arabs and non-Arabs among us. He Sallallahu Alaihi wasallam said: Soon there will people who will correct it (with exaggeration) like an arrow is corrected. They will seek retribution in this world and will not delay it till the Hereafter. ”
----
Mishkat ul Masabeeh#2206-Sahih

Inmein se kaunsa amal hain jisse Allah Subhanahu farigh hogaye hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 918 ❗

Sawal: Inmein se kaunsa amal hain jisse Allah Subhanahu farigh hogaye hain

A: Achchi Taqdeer
B: Jannat
C: Museebat
D: Beemari
E: Maut
F: Dozak
G: Inmein se koi nahi (apna jawab likho)
H: Sahih jawab ka intezaar
***
Sahih Jawab - E✅

Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Wo cheeze jinse Allah Subhanahu har bande se farigh hogaya hain
--------
Sayedna Abu Darda RadiAllahu Anhu se riwayat hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Allah Subahnahu har bande se paanch cheezon se farigh hogaya hain, is ki Maut, Rizaq, Umar aur Badbakhti ya Khush Bakhti.
------
سیدنا ابو درداءؓ سے مروی ہے کہ رسول اللہ  صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم  نے فرمایا:  اللہ تعالیٰ ہر بندے سے پانچ چیزوں سے فارغ ہو گیا ہے، اس کی موت، رزق، عمر اور بدبختی یا خوش بختی۔  
-------
It is narrated on the authority of Abu Darda RadiAllahu Anhu 'that the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam  said: “Allah has got rid of every servant from five things, death, sustenance, age and misfortune or good fortune.
-------
Musnad Ahmed Hadees # 200-Sahih

Kaunsa amal karne wale shakhs ke liye farmaya gaya hai ke Qayamat ke din ussay behtar amal koi nahi lekar aayega siwaye uske jo iss se zyada baar ye amal karega

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 917 ❗

Sawal: Kaunsa amal karne wale shakhs ke liye farmaya gaya hai ke Qayamat ke din ussay behtar amal koi nahi lekar aayega siwaye uske jo iss se zyada baar ye amal karega

A: Subah shaam Ayat Al Kursi padhne wala
B: Har roz Surah Mulk padhne wala
C: Subah shaam Sayyadul Astagfaar padhne wala
D: Raat ko bedar ho kar tahajjud padhne wala
E: 1000 martaba SubhanAllahi Azeemi wabihamdehi padhne wala
F: Subah shaam 100 martaba Astagfaar padhne wala
G: Inmein se koi nahi (apna jawab likho)
H: Sahih jawab ka intezaar
***
Sahih Jawab - G✅

Bismillahirrahmannirahim

Hadith: Subah- Shaam 100 baar SubhanAllahi wa biHamdihi kehne ki fazilat 
-------
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya: koi shakhs jab subah kare aur jab shaam kare to 100 baar
سُبْحَانَ اللّهِ وَ بِحَمْدِهِ
SubhanAllahi wa biHamdihi
----
Allah ki zaat paak hain aur ussi ki hamd hain
kahe to qayamat ke roz koi shakhs us se behtar amal le kar nahi aayega, siwaye us ke jo itni baar (ye kalimaat) kahe ya is se zyada baar kahe.
------
حضرت ابوہریرہ رضی اللہ عنہ سے روایت ے ،  کہا :  رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا :  کوئی شخص جب صبح کرے اور جب شام کرے تو سو بار  "  سبحان الله وبحمده "
الله کی ذات پاک ہے اور اسی کی حمد ہے
کہے تو قیامت کے روز کوئی شخص اس سے بہتر عمل لے کر نہیں آئے گا ،  سوائے اس کے جو اتنی بار  ( یہ کلمات )  کہے یا اس سے زیادہ بار کہے ۔  "
------
Abu Huraira reported Allah's Messenger Sallallahu Alaihi wasallam as saying:
He who recites in the morning and in the evening (these words):
SubhanAllahi wa biHamdihi
Glory be to Allah, and Praise
"One hundred times, he would not bring on the Day of Resurrection anything excellent than this except one who utters these words or utters more than these words.
---
Sahih Muslim Hadees# 6843

kaunsa amal karne wale ke liye farmaya gaya hain ke uske liye Jannat mein ghar banaya jayega aur uske darjat bhi buland kar diye jayege

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 916 ❗

Sawal: kaunsa amal karne wale ke liye farmaya gaya hain ke uske liye Jannat mein ghar banaya jayega aur uske darjat bhi buland kar diye jayege

A: Masjid mein Qiyam karne wale
B: Allah ke raste mein jihad karne wale
C: Surah Ikhlas 10 baar padhne par
D: Bewa aur yateem ki madad karne wale
E: Namaz ko pahli sad mein padhne wale
F: Namaz ki safon mein khali jagah ko pura karne wale
G: Inmein se koi nahi (to apna jawab likho)
H: Sahih Jawab ka intezaar
****
Sahih Jawab - F✅

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith : Namaz ki Safoh ko Mukamal karne walo ke liye Jannat mein Ghar banaya jayega
---------
Aisha Radi Allahu Anha se rivayat hain Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaye Jis shaks ne (safoh ke darmiyan) khali jagah ko pura kiya to  Allah Subhanahu uske liye Jannat mein ghar banayega aur uske darjat buland kar dega
----
عائشہ رضی اللہ عنہا كہتی ہیں كہ رسول  ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌ نے فرمایا: جس شخص نے ( نماز کی صفوں کے درمیان) خالی جگہ كو پر كیا اللہ تعالیٰ اس كے لئے جنت میں گھر بنائےگا، اور اس كے  درجات بلند كرے گا
------
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam said whoever fills the gaps (in the row of prayer) Allah will build a house for him in the paradise and will raise his  level
---
Al-Silsila-tus-Sahiha#737

wo kaunsa amal hai jiske bare mein farmaya gaya hain ke agar tum aisa karoge to usmein bigaad paida kar doge

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 915❗

Sawal: wo kaunsa amal hai jiske bare mein farmaya gaya hain ke agar tum aisa karoge to usmein bigaad paida kar doge

A: kisi ki izzat uchalna 
B: ek dusre ki geebat karna
C: posheeda baton ke peeche padhna
D: Namaz ko waqt par na padhna 
E: Quran ko na padhna 
F: haram cheezo ko halal samajna
G: inmein se koi nahi (apna jawab likho)
H: Sahih jawab ka intezaar
****
Sahih jawab - C✅

Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Logon ki posheeda baton ke peeche padhne se bacho kuyke...

Reference📚:
----
Muawiyah RadiAllahu Anhu kehte hain mein ne Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ko farmatay huwe suna agar tum logon ki posheeda baton ke peeche padoge to tum un mein bigaad paida kar doge, ya qareeb hain ke un mein aur bigaad paida kar do.
---
میں نے رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کو فرماتے ہوئے سنا: اگر تم لوگوں کی پوشیدہ باتوں کے پیچھے پڑو گے، تو تم ان میں بگاڑ پیدا کر دو گے، یا قریب ہے کہ ان میں اور بگاڑ پیدا کر دو
---
Narrated Muawiyah: I heard the Messenger of Allah Sallallahu Alaihi wasallam  say: If you search for the faults of the people, you will corrupt them, or will nearly corrupt them.
---
Sunnan e Abu Dawood#4888-Sahih

Allah Subahnahu ki khushnudi inmein se kis mein hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 914 ❗

Sawal: Allah Subahnahu ki khushnudi inmein se kis mein hain

A: Namaz
B: Quran
C: Hajj
D: Walid
E: Sila Rehami
F: Sadqa
G: Inmein se koi nahi (apna jawab likho)
H: Sahih jawab ka intezaar
****
Sahih Jawab - D✅

Hadith: RABB ki khushnodi Waalid ki khushnodi mein hain

Reference📚:
----
Rasool-Allah Sallallahu Alahi wasallam ne farmaya : RABB ki khushnodi Waalid ki khushnodi mein hain aur RABB ki naraazgi Waalid ki narazgi mein hain
---
رسول صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: رب کی خوشنودی والد کی خوشنودی میں ہے اور رب کی ناراضگی والد کی ناراضگی میں ہے
---
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam said: The pleasure of the Lord is in the pleasure of the father and the anger of the Lord is in the anger of the father.
---
Al-Silsila-tus-Sahiha#116

Rasoolallah Sallellahu Alahi Wa Sallam kaise / kounsi maut se Allah Subhanaahu se panah talab karte thy ?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 913 ❗

Ek Se Zyada Jawab

Sawal : Rasoolallah Sallellahu Alahi Wa Sallam kaise / kounsi maut se Allah Subhanaahu se panah talab karte thy ?

A. Budhape se
B. Gir padne se
C. Kisi janawar ke dasne se
D. Dab jnae se
E. Shaitaan ke bahkane se
F. Doob jnae se
G. Ranj o gham se
H. Samandar mein khai anae se
I. Jal jnae se
J. Talwaar ke waar se
K. Jihaad mein peeth dikhate huwe maare jane se
L. Sahi jawab ka intezaar
****
Sahi Jawab : ABCDEFGIK ✅

Reference 📚
------
Rasoolallah Sallellahu Alahi Wa Sallam dua farmate to kehte : 

«اللہم إني أعوذ بك من الهرم والتردي والهدم والغم والحريق والغرق وأعوذ بك أن يتخبطني الشيطان عند الموت وأن أقتل في سبيلك مدبرا وأعوذ بك أن أموت لديغا»

”Eh Allah ! mein burhapay se, gir parney, dab jane, ranj o gham mein mubtala hone se, jal jane aur doob jane se teri panah mangta hon, aur is baat se teri panah mangta hon ke shaitan mujhe mout ke waqt behkade, aur is baat se ke mein tere rasta yani jihaad mein peeth dikha kar bhagtay huwe mara jaoon, aur teri panah mangta hon is baat se bhi ke meri maut kisi mozi janwar ke dus lene se ho“
---------
رسول اللہ (ﷺ) دعا فرماتے تو کہتے: 
«اللہم إني أعوذ بك من الهرم والتردي والهدم والغم والحريق والغرق وأعوذ بك أن يتخبطني الشيطان عند الموت وأن أقتل في سبيلك مدبرا وأعوذ بك أن أموت لديغا»
 ”اے اللہ! میں بڑھاپے سے، گر پڑنے، دب جانے، رنج و غم میں مبتلا ہونے سے، جل جانے اور ڈوب جانے سے تیری پناہ مانگتا ہوں، اور اس بات سے تیری پناہ مانگتا ہوں کہ شیطان مجھے موت کے وقت بہکا دے، اور اس بات سے کہ میں تیرے راستہ یعنی جہاد میں پیٹھ دکھا کر بھاگتے ہوئے مارا جاؤں، اور تیری پناہ مانگتا ہوں اس بات سے بھی کہ میری موت کسی موذی جانور کے ڈس لینے سے ہو“۔ 
---------
It was narrated from Abu Al-Yasar that :
The Messenger of Allah (ﷺ) used to supplicate and say:  
Allahumma inni a'udhu bika min al-harami, wat-taraddi, wal-hadmi, wal-ghammi, wal-hariqi, wal-gharaqi, wa a'udhu bika, an yatakhabbatanish-shaitanu 'indal-mawti, wa an uqtala fi sabilika mudbiran, wa a'udhu bika wa an amuta ladigha.
(O Allah, I seek refuge with You from old age, being thrown from a high place, being crushed by a falling wall, distress, burning and drowning. I seek refuge with You from being led astray by the Shaitan at the time of death and from being killed in Your cause while fleeing from the battlefield. I seek refuge with You from dying of a scorpion sting.)
--------
Sunnan e Nisai#5541

ye kis ke liye faramaya gaya hain ke ye aisa hain jaise wo tumhe umdah Khushbu sungayega ya wo tumhe Khushbu laga dega

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 912❗

Sawal: ye kis ke liye faramaya gaya hain ke ye aisa hain jaise wo tumhe umdah Khushbu sungayega ya wo tumhe Khushbu laga dega

A: Maut ka Farishta
B: Rishtedar
C: Achche Aamal
D: Roohul Ameen
E: Namaz
F: Quran
G: inmein se koi nahi (apna jawab likho)
H: Sahih jawab ka intezaar
****
Sahih Jawab - G✅

Hadith: Naik dost  aur buray dost ki misaal

Reference📚:
----
Abu Musa RadiAllahu Anhu Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam se bayan karte hain ke : Naik saathi aur buray saathi ki misaal, khushbu baichnay walay aur lohaar ki terhan hai, khushbu baichnay wala ya to tumhe khushbu laga dega, ya tum is se khareed loge ya phir tum wahan baithy umdah khushbu sunghtay rahoge, jabkay lohaar ya to tumahray kapde jala dega, ya phir tum wahan baithy badbudar dhuwan sunghtay rahoge
---
ابو موسیٰ نبی صلی اللہ علیہ وسلم سے بیان کرتے ہیں کہ : نیک ساتھی اور برے ساتھی کی مثال، خوشبو بیچنے والے اور لوہار کی طرح ہے، خوشبو بیچنے والا یا تو تمہیں خوشبو لگا دے گا، یا تم اس سے خرید لو گے یا پھر تم وہاں بیٹھے عمدہ خوشبو سونگھتے رہو گے، جبکہ لوہار یا تو تمہارے کپڑے جلا دے گا، یا پھر تم وہاں بیٹھےبدبودار دھواں سونگھتے رہو گے
----
Abu Musa narrates from the Prophet Sallallahu Alaihi wasallam said The example of a good companion and a bad companion is like that of a perfumer and a blacksmith. The perfumer will either perfume you, or you will buy from him, or you will sit there and smell the good scent, while the blacksmith will either burn your clothes, or you will sit there and smell the stinking smoke.
----
Al-Silsila-tus-Sahiha#93


Inmein se kaunsa amal karne wala momin dusre momin se behtar hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 911 ❗

Sawal:  Inmein se kaunsa amal karne wala momin dusre momin se behtar hain

A: raste se takleef de cheez ko hatane wala
B: logon ki takleefo par sabr karne wala
C: logon ke liye assani paida karne wala
D: gussa aane par bhi sabr karne wala
E: apne padosi ka khayal rakhne wala
F: apne bhai ke liye wahi pasand karen jo khud ke liye pasand karen
G: Inmein se koi nahi (apna jawab likho)
H: Sahih Jawab ka intezaar
*****
Sahih Jawab - B✅

Hadith: Wo momin behtar hain jo logon ke saath mil jhul kar rahe aur unke takleefo par sabr karen

Reference📚:
----
Abdullah bin Umar RadiAllahu Anhu se riwayat hain ke jo momin logon mein mil jhul kar rehta hain aur un ki takleefo par sabr karta hain wo is momin se behtar hain jo logon se mil jhul kar nahi rehta aur un ki takleefo par sabr nahi karta
----
عبداللہ بن عمر رضی اللہ عنہما سے مرفوعا مروی ہے کہ : جو مومن لوگوں میں مل جل کر رہتا ہے اور ان کی تکلیفوں پر صبر کرتا ہے وہ اس مومن سے بہتر ہے جو لوگوں سے مل جل کر نہیں رہتا اور ان کی تکلیفوں پر صبر نہیں کرتا
----
Abdullah bin Umar RadiAllahu Anhu narrates that a believer who associate with people and is patient over their afflictions is better than a believer who does not associate with people and does not have patience over their afflictions. 
---
Al-Silsila-tus-Sahiha#423

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...