❗Only-Quran-Hadith-Quiz 915❗
Sawal: wo kaunsa amal hai jiske bare mein farmaya gaya hain ke agar tum aisa karoge to usmein bigaad paida kar doge
A: kisi ki izzat uchalna
B: ek dusre ki geebat karna
C: posheeda baton ke peeche padhna
D: Namaz ko waqt par na padhna
E: Quran ko na padhna
F: haram cheezo ko halal samajna
G: inmein se koi nahi (apna jawab likho)
H: Sahih jawab ka intezaar
****
Sahih jawab - C✅
Bismillahirrahmannirrahim
Hadith: Logon ki posheeda baton ke peeche padhne se bacho kuyke...
Reference📚:
----
Muawiyah RadiAllahu Anhu kehte hain mein ne Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ko farmatay huwe suna agar tum logon ki posheeda baton ke peeche padoge to tum un mein bigaad paida kar doge, ya qareeb hain ke un mein aur bigaad paida kar do.
---
میں نے رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کو فرماتے ہوئے سنا: اگر تم لوگوں کی پوشیدہ باتوں کے پیچھے پڑو گے، تو تم ان میں بگاڑ پیدا کر دو گے، یا قریب ہے کہ ان میں اور بگاڑ پیدا کر دو
---
Narrated Muawiyah: I heard the Messenger of Allah Sallallahu Alaihi wasallam say: If you search for the faults of the people, you will corrupt them, or will nearly corrupt them.
---
Sunnan e Abu Dawood#4888-Sahih
No comments:
Post a Comment