❗Only-Quran-Hadith-Quiz 911 ❗
Sawal: Inmein se kaunsa amal karne wala momin dusre momin se behtar hain
A: raste se takleef de cheez ko hatane wala
B: logon ki takleefo par sabr karne wala
C: logon ke liye assani paida karne wala
D: gussa aane par bhi sabr karne wala
E: apne padosi ka khayal rakhne wala
F: apne bhai ke liye wahi pasand karen jo khud ke liye pasand karen
G: Inmein se koi nahi (apna jawab likho)
H: Sahih Jawab ka intezaar
*****
Sahih Jawab - B✅
Hadith: Wo momin behtar hain jo logon ke saath mil jhul kar rahe aur unke takleefo par sabr karen
Reference📚:
----
Abdullah bin Umar RadiAllahu Anhu se riwayat hain ke jo momin logon mein mil jhul kar rehta hain aur un ki takleefo par sabr karta hain wo is momin se behtar hain jo logon se mil jhul kar nahi rehta aur un ki takleefo par sabr nahi karta
----
عبداللہ بن عمر رضی اللہ عنہما سے مرفوعا مروی ہے کہ : جو مومن لوگوں میں مل جل کر رہتا ہے اور ان کی تکلیفوں پر صبر کرتا ہے وہ اس مومن سے بہتر ہے جو لوگوں سے مل جل کر نہیں رہتا اور ان کی تکلیفوں پر صبر نہیں کرتا
----
Abdullah bin Umar RadiAllahu Anhu narrates that a believer who associate with people and is patient over their afflictions is better than a believer who does not associate with people and does not have patience over their afflictions.
---
Al-Silsila-tus-Sahiha#423
No comments:
Post a Comment