❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Jawab ek se ziyada hai
Tarteeb se jawab dijiye
Sawal: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam Witr ki namaz mein kaun kaunsa surah aur amal kiya karte thy
A: Surah Al Ikhlas
B: Surah Al Kafiroon
C: Subhaanal Rabbi Aala
D: Surah Al Falaq
E: Surah Aala
F: Rabbil Malaaikati Warrohi
G: Subhaanal Malikil Qudoosi
H: Surah An Naas
I: Surah Al Alaq
J: Sahi Jawab ka Intezaar
*****************
Sahi Jawab - E/B/ADH/G✅
Witr ki Namaz mein padne wale Surah aur Azkar
Reference📚:
-----
Abdul Al Aziz bin Jareej kehte hain : mein ne Sayeda Aisha RadiAllahu Anhu se poocha ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam kis cheez ke saath Witr padhate they? Unhon ne kaha : Aap pehli rakat mein Surah Aala dusri rakat mein Surah Al Kafiroon aur teesri rakat mein Surah Ikhlas, Surah Falaq aur Surah Naas padhte they
----
عبد العزیز بن جریج کہتے ہیں: میں نے سیدہ عائشہ رضی اللہ عنہا سے پوچھا کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم کس چیز کے ساتھ وتر پڑھتے تھے؟ انہوں نے کہا: آپ پہلی رکعت میں سورۂ اعلی، دوسری رکعت میں سورۂ کافرون اور تیسری رکعت میں سورۂ اخلاص، سورۂ فلق اور سورۂ ناس پڑھتے تھے۔
-----
Musnad Ahmed#2222-Sahih
******
Rasool-Allah Sallelahu Alaihi wasallam Witr mein «سبح اسم ربك الأعلى»، «قل يا أيها الكافرون» aur «قل هو اللہ أحد» padhtey thy, aur Salam phairnay ke baad «سبحان الملك القدوس» teen baar kehte, aur is ke zariya apni aawaz buland karte.
-------------
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم وتر میں «سبح اسم ربك الأعلى»، «قل يا أيها الكافرون» اور «قل هو اللہ أحد» پڑھتے تھے، اور سلام پھیرنے کے بعد «سبحان الملك القدوس» تین بار کہتے، اور اس کے ذریعہ اپنی آواز بلند کرتے۔
------------
Reference : Sunan an-Nasa'i 1752-Sahih