Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Monday 20 September 2021

Ibn Aadam do cheezon ko napasand karta hain Maut aur Maal ki kami halake...

 Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Ibn Aadam do cheezon ko napasand karta hain Maut aur Maal ki kami halake...
----
Mahmood bin Labid RadiAllahu Anhu se riwayat hain ke do cheezon ko Ibn aadam na pasand karta hai. Maut ko halake maut momin ke liye fitne se behtar hai aur Maal ki kami ko na pasand karta hain halake maal ki kami hisaab mein kami ka baais hain
----
محمود بن لبید سے مرفوعا مروی ہے كہ دو چیزوں كو ابن آدم نا پسند كرتا ہے۔ موت كو حالانكہ موت مومن كے لئے فتنے سے بہتر ہے۔ اور مال كی  كمی كو نا پسند كرتا ہے حالانكہ مال كی كمی حساب میں كمی كا باعث ہے۔
----
It is narrated on the authority from Mahmud ibn Labid RadiAllahu Anhu that Ibn Adam dislikes two things. Death is better for the believer than temptation. And he dislikes the lack of wealth, even though the lack of wealth causes the lack of calculation.
----
Al-Silsila-tus-Sahiha#1192-Sahih

Nazar(Mannat) wo hain jiske zariye se Allah Subhanahu ki raza haasil ki jaati hain...

Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Nazar(Mannat) wo hain jiske zariye se Allah Subhanahu ki raza haasil ki jaati hain...
----------
Abdullah Bin Umro Bin Aas Radi Allahu Anhuma se riwayat hai ke Abu Zar Radi Allahu Anhu ki biwi Rasool-Allah Sallalahu Alaihi Wasallam ki sawari (qaswaa) par baith kar aayi aur isey masjid ke paas bithaya , aur kahne lagi : Eh Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam! Maine nazar maani thi ke agar Allah ne mujhe iske zariye nijaat dedi to mein iska jigar aur kohaan khaungi. Aap ne farmaya : tumne isey bahut bura badla diya , ye nazar nahi hai , nazar to wo hai jiske zariye Allah Taala ki raza haasil ki jaaye
----------
عبداللہ بن عمرو بن عاص رضی اللہ عنہما سے مروی ہے کہ ابوذر‌رضی اللہ عنہ  کی بیوی رسول اللہ  ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌کی سواری(قصواء) پر بیٹھ کر آئیں اور اسے مسجد کےپاس بٹھادیا، اور کہنے لگیں: اے اللہ کے رسول صلی اللہ علیہ وسلم !میں نے نذر مانی تھی کہ اگر اللہ نے مجھے اس کے ذریعے نجات دے دی تو میں اس کا جگر اور کوہان کھاؤں گی۔ آپ نے فرمایا: تم نے اسے بہت برا بدلہ دیا، یہ نذر نہیں ہے، نذر تو وہ ہےجس کے ذریعے اللہ تعالیٰ کی رضا حاصل کی جائے۔
----------
Al-Silsila-tus-Sahiha#1183

Agar Jannat ka naakhun se bhi kam hissa duniya mein zahir hojaye to..

 Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Agar Jannat ka naakhun se bhi kam hissa duniya mein zahir hojaye to..
----
Saad Bin Abi Waqas Radii Allahu Anhu se riwayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya : Agar Jannat ka naakhun se bhi kam hissa zahir hojaye to aasman o zameen ke koney roshan ho jayein aur agar koi Janati duniya mein jhank le, aur is ke kangan zahir ho jayein to wo Suraj ki roshni ko is terhan khatam kar denge jis terhan Suraj ki roshni sitaron ki roshni ko khatam kar deti hain
---
 سعد بن ابی وقاص رضی اللہ عنہ سے مروی ہےكہ نبی صلی اللہ علیہ وسلم نےفرمایا: اگر جنت كا ناخن سےبھی كم حصہ ظاہر ہو جائے تو آسمان و زمین كے كونے روشن ہو جائیں اوراگر كوئی جنتی دنیا میں جھانك لے، اور اس كےکنگن ظاہر ہو جائیں تو وہ سورج كی روشنی كو اس طرح ختم كر دیں گے جس طرح سورج كی روشنی ستاروں كی روشنی کو ختم كر دیتی ہے۔
---
Al-Silsila-tus-Sahiha#1497-Sahih

Aise gunah jo tabah kar dene wale hain usse bachane ki koshih kare

 Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Aise gunah jo tabah kar dene wale hain usse bachane ki koshih kare
----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihu wasallam ne farmaya Saat (7) gunaaho se jo tabah kar dene walay hain bachte raho. Sahaba Radi Allahu Anhu ne poocha ya Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam wo kaun se gunah hain? Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya "Allah ke saath kisi ko shareek thehrana, Jaadu karna, kisi ki na-haq jaan lena ke jisay Allah Subhanahu ne haraam qarar diya hai, sood khana, yateem ka maal khana, ladai mein se bhaag jana, paak daman bholi bhaali imaan wali aurton par tohmat lagana."
-------
 Narrated Abu Huraira:
The Prophet Sallallahu Alaihi wasallam said, "Avoid the seven great destructive sins." They (the people!) asked, "O Allah's Apostle! What are they?" He said, "To join partners in worship with Allah; to practice sorcery; to kill the life which Allah has forbidden except for a just cause (according to Islamic law); to eat up usury (Riba), to eat up the property of an orphan; to give one's back to the enemy and fleeing from the battle-field at the time of fighting and to accuse chaste women who never even think of anything touching chastity and are good believers."
-------
رسول اللہ (ﷺ) نے فرمایا ”سات گناہوں سے جو تباہ کر دینے والے ہیں بچتے رہو۔“ صحابہ رضی اللہ عنہم نے پوچھا یا رسول اللہ (ﷺ)! وہ کون سے گناہ ہیں؟ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا ”اللہ کے ساتھ کسی کو شریک ٹھہرانا ‘ جادو کرنا ‘ کسی کی ناحق جان لینا کہ جسے اللہ تعالیٰ نے حرام قرار دیا ہے ‘ سود کھانا ‘ یتیم کا مال کھانا ‘ لڑائی میں سے بھاگ جانا ‘ پاک دامن بھولی بھالی ایمان والی عورتوں پر تہمت لگانا۔“
------
Sahih Al-Bukhari Hadees # 6857

Allah Subhanahu ata karta hai. Jis shakhs ko main khushi se dedu to is ke liye is mein barkat dedi jayegi...


Bismillahirrahmannirrahim

Mawiya Radi Allahu Anhu se riwayat hai ke (Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya) main to taqseem karne wala hu, aur Allah Subhanahu ata karta hai. Jis shakhs ko main khushi se dedu to is ke liye is mein barkat dedi jayegi, aur jis shakhs ko is ke shar aur bad tahzeebi (bad akhlaqi)se mangne ke dar ki wajah se du to wo aisa shakhs hai jo khata hai lekin is ka pait nahi bharta
------------
معاویہ  رضی اللہ عنہ  سے مرفوعا مروی ہے كہ: (رسول اللہ  ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌نے فرمایا) میں تو تقسیم كرنے والا ہوں، اور اللہ تعالیٰ عطا كرتا ہے۔ جس شخص كو میں خوشی سے دے دوں تو اس كے لئےاس میں بركت دے دی جائے گی ، اور جس شخص كو اس کے شر اور بد تہذیبی سے مانگنے کے ڈر کی وجہ سے دوں تو وہ ایسا شخص ہے جو كھاتا ہے لیكن اس كا پیٹ نہیں بھرتا۔
----------
Al-Silsila-tus-Sahiha#1231

Momeen ki Izzat ki hifazat (Uske gair mojudgi main) karne wale ke chehre ko Jahannum se Mehfuz kar liya jayega

 Bismillahirrahmannirrahin

Hadith: Momeen ki Izzat ki hifazat (Uske gair mojudgi main) karne wale ke chehre ko Jahannum se Mehfuz kar liya jayega
---
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Jo Shaks apne Bhai ki Izzat (Uski gair mojudgi main) bachaye Allah Subhanahu Qayamat ke din Uske Chehre ko Jahannum se bachayega
Jamia Tirmaizi- Hadees#1931
------
نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: ”جو شخص اپنے بھائی کی عزت ( اس کی غیر موجودگی میں ) بچائے اللہ تعالیٰ قیامت کے دن اس کے چہرے کو جہنم سے بچائے گا
-----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam said Whoever protects his brother's honor, Allah protects his face from the Fire on the Day of Resurrection. 
Jamia Tirmaizi-Hadees#1931

Miswak muh ko saaf karne aur RABB ki raza hasil karne ka sabab hain

 Bismillahirrahmannirrahim


Hadith:Miswak muh ko saaf karne aur RABB ki raza hasil karne ka sabab hain

----

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Miswak Muh ko saaf karne wali aur RABB ki raza mandi ka baais hain

Mishkat ul Masabeeh 381- Sahih

----

حضرت عائشہ  ؓبیان کرتی ہیں ، رسول اللہ صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم نے فرمایا :’’ مسواک منہ کو صاف کرنے والی اور رب کی رضا مندی کا باعث ہے

----

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam said, Miswak cleanses the mouth and pleases the Lord.

Mishkat ul Masabeeh 381-Sahih

Jannat ki Kunji (Chabi/Key) Namaz hain



Bismillahirahmanirrahim

Hadith: Jannat ki Kunji (Chabi/Key) Namaz hain
-------
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Jannat ki kunji (Chabi/key) Namaz hain aur Namaz ki kunji wazu hain
-----
رسول اللہ صلی الله علیہ وسلم نے فرمایا: جنت کی کنجی نماز  ہے، اور نماز کی کنجی وضو ہے۔ 
---
Jabir bin 'Abdullah, may Allah be pleased with them, narrated that : Allah's Messenger said: "The key to Paradise is Salat (Namaz), and the key to Salat is Wudu'." 
Jami` at-Tirmidhi 4-Sahih
https://pin.it/33mEOVe
https://youtube.com/channel/UCU2nOLxH61z8na1INbcK0Pg


 

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...