Bismillahirrahmannirrahim
Hadith: Nazar(Mannat) wo hain jiske zariye se Allah Subhanahu ki raza haasil ki jaati hain...
----------
Abdullah Bin Umro Bin Aas Radi Allahu Anhuma se riwayat hai ke Abu Zar Radi Allahu Anhu ki biwi Rasool-Allah Sallalahu Alaihi Wasallam ki sawari (qaswaa) par baith kar aayi aur isey masjid ke paas bithaya , aur kahne lagi : Eh Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam! Maine nazar maani thi ke agar Allah ne mujhe iske zariye nijaat dedi to mein iska jigar aur kohaan khaungi. Aap ne farmaya : tumne isey bahut bura badla diya , ye nazar nahi hai , nazar to wo hai jiske zariye Allah Taala ki raza haasil ki jaaye
----------
عبداللہ بن عمرو بن عاص رضی اللہ عنہما سے مروی ہے کہ ابوذررضی اللہ عنہ کی بیوی رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کی سواری(قصواء) پر بیٹھ کر آئیں اور اسے مسجد کےپاس بٹھادیا، اور کہنے لگیں: اے اللہ کے رسول صلی اللہ علیہ وسلم !میں نے نذر مانی تھی کہ اگر اللہ نے مجھے اس کے ذریعے نجات دے دی تو میں اس کا جگر اور کوہان کھاؤں گی۔ آپ نے فرمایا: تم نے اسے بہت برا بدلہ دیا، یہ نذر نہیں ہے، نذر تو وہ ہےجس کے ذریعے اللہ تعالیٰ کی رضا حاصل کی جائے۔
----------
Al-Silsila-tus-Sahiha#1183
No comments:
Post a Comment