Bismillahirrahmannirrahim
Mawiya Radi Allahu Anhu se riwayat hai ke (Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya) main to taqseem karne wala hu, aur Allah Subhanahu ata karta hai. Jis shakhs ko main khushi se dedu to is ke liye is mein barkat dedi jayegi, aur jis shakhs ko is ke shar aur bad tahzeebi (bad akhlaqi)se mangne ke dar ki wajah se du to wo aisa shakhs hai jo khata hai lekin is ka pait nahi bharta
------------
معاویہ رضی اللہ عنہ سے مرفوعا مروی ہے كہ: (رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا) میں تو تقسیم كرنے والا ہوں، اور اللہ تعالیٰ عطا كرتا ہے۔ جس شخص كو میں خوشی سے دے دوں تو اس كے لئےاس میں بركت دے دی جائے گی ، اور جس شخص كو اس کے شر اور بد تہذیبی سے مانگنے کے ڈر کی وجہ سے دوں تو وہ ایسا شخص ہے جو كھاتا ہے لیكن اس كا پیٹ نہیں بھرتا۔
----------
Al-Silsila-tus-Sahiha#1231
No comments:
Post a Comment