Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Monday, 24 February 2020

ALLAH beniyaz hai




Bismillahirrahmannirrahim

اللَّهُ الصَّمَدُ
----
ALLAH beniyaz hai
----
اللہ بے نیاز ہے
----
अल्लाह बेनीयाज़ है
----
The One and Only ALLAH  the Eternal,
----
Surah Al-Ikhlas: (112:02)

Rasool-Allah Sallalahu Alahi WaSallam ke irshad ke mutabiq sab se badah pehalwaan kaun hai?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Rasool-Allah Sallalahu Alahi WaSallam ke irshad ke mutabiq sab se badah pehalwaan kaun hai? 

A: joh logo ko pachaar de
B: joh logo ko takleef na pahoochaye
C: joh apne gusse par kabu paa le
D: joh fajar ki namaz ke liye neend se bedar hota hain
E: joh Isha ki namaz awal waqt mein adda karta hain
F: logo ko sab se zaida nafa dena wala
G: Aib chupane wala
H: Inmein se koi nahi

I: Sahi Jawab ka Intezaar

Note agar jawab H hai toh sahi jawab likhiye
********

Sahi Jawab - C✅

Reference📚:
-------
Ibn Husba Abu Husba Ek aise sahabi se bayan karte hain joh Rasool-Allah Sallalahu Alahi wa Sallam ke khitaab ke waqt mojood tha, Aap Sallalahu Alahi wa Sallam ne farmaya kya tum jantay ho ke badah pehalwaan kaun hai? Unhon ne kaha pacharhne wala, Aap Sallalahu Alahi wa Sallam ne farmaya saaray ke saaray pehalwaan, badhe se badhe pehawaan woh aadmi hai jisay gussa aata hai, phir is ka gussa sakht ho jata hai, chehra surkh honay lagta hai aur rongte kharray honay lagtay hain, lekin woh apne ghusse par qaboo pa laita hai, aur beshak Aag ko pani ke zariye hi bujhaaya jata hain.
-----
Sahih Hadees
Musnad Ahmed Hadees # 9174

As Salamu Alekum and Walekum As Salam,






السَّلاَمُ عَلَيْكُمْ وَرَحْمَةُ اللهِ وَبَرَكَاتُهُ

Aap par Salamati ho aur Allah ki taraf se Rehmatein aur uski Barkatein aap par Nazil ho

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...