Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Tuesday, 28 April 2020

Allah Subhanahu ko inmein se wo kaunsi Ibadat bahut ziyada muaziz hain?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Allah Subhanahu ko inmein se wo kaunsi Ibadat bahut ziyada muaziz hain?

A: Awal waqt mein namaz adaa karna
B: Roza
C: Zakat adaa karna
D: Dua
E: Wazu ke halat mein rehna  
E: Miswak karna
F: Ek Namaz ke bad dusri Namaz ka intezar karna
G: Saber
H: Inmein se koi nahi

I: Sahi Jawab Ka Intezar

Note agar apka jawab H hai toh apna jawab likhiye

***************

Sahi Jawab - D✅

Allah Subhanahu ke nazdik sabse ziyada aziz Dua hain

Reference📚:
------
Nabi Akram Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaye:"Allah Subhanahu ke Nazdik DUA se Muaziz aur Makrum (Bahut Aziz) koi Cheez (Ibadat) nahi hai
-----
 نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: ”اللہ کے نزدیک دعا سے زیادہ معزز و مکرم کوئی چیز  ( عبادت )  نہیں ہے“ ۱؎۔ 
_
Abu Hurairah narrated that:
The Prophet said: “There is nothing more honorable with Allah [Most High] than supplication.”
----
Sahih Hadees
JameTirmizi Hadith# 3370

wo kaunsa sa amal hai agar koi shaqs kabira gunaaho se ijtinab kar raha ho aur inmein se maujuda amal kare toh wo unke darmiyan ke gunaho ko mitane ka sabab ban jata hai

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

❗Jawab ek se ziyada hai

Sawal: wo kaunsa sa amal hai agar koi shaqs kabira gunaaho se ijtinab kar raha ho aur inmein se maujuda amal kare toh wo unke darmiyan ke gunaho ko mitane ka sabab ban jata hai

A: ek namaz ke baad dusre namaz ka intezaar karne se
B: Tahhajjud padhne se
C: paanch namaze adda karne se
D: ek jumme se dusre jumme tak
E: ek ramadhan se dusre ramadan tak
F: ek umrah se lekar dusre hajj tak
G: neki ka hukum kare aur burai se mana kare
H: Fajar ki namaz ke baad chast ki namaz adda karne se

I: Sahi Jawab ka Intezaar

*********************

Sahi Jawab - CDE✅

Aise amal jiske karne wale ke darmiyan ke arse mein hone wale gunaho ko mitane ka sabab ban jati hai

Reference📚:
-----
Abu Huraira RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam farmaya karte thy jab (Insaan) kabira gunaaho se ijtinab kar raha ho to paanch namazain, ek jummay (dosray) jummay taq aur ek Ramadhan dusray Ramadhan taq, darmiyan ke arse mein honay walay gunaaho ko mitanay ka sabab hain
-----
Abu Huraira reported:
Verily the Messenger of Allah ( ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وسلم ‌ ) said: The five (daily) prayers and from one Friday prayer to the (next) Friday prayer, and from Ramadhan to Ramadhan are expiations for the (sins) committed in between (their intervals) provided one shuns the major sins. 
-----
 ابوہریرہ ‌رضی ‌اللہ ‌عنہ ‌ ‌ سے روایت کی کہ رسول اللہ ﷺ فرمایا کرتے تھے : ’’جب ( انسان ) کبیرہ گناہوں سے اجتناب کر رہا ہو تو پانچ نمازیں ، ایک جمعہ ( دوسرے ) جمعہ تک اور ایک رمضان دوسرے رمضان تک ، درمیان کے عرصے میں ہونے والے گناہوں کو مٹانے کا سبب ہیں ۔ ‘ ‘ 
-------
Sahih Hadees
Sahih Muslim#552

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...