❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
❗Jawab ek se ziyada hai
Sawal: wo kaunsa sa amal hai agar koi shaqs kabira gunaaho se ijtinab kar raha ho aur inmein se maujuda amal kare toh wo unke darmiyan ke gunaho ko mitane ka sabab ban jata hai
A: ek namaz ke baad dusre namaz ka intezaar karne se
B: Tahhajjud padhne se
C: paanch namaze adda karne se
D: ek jumme se dusre jumme tak
E: ek ramadhan se dusre ramadan tak
F: ek umrah se lekar dusre hajj tak
G: neki ka hukum kare aur burai se mana kare
H: Fajar ki namaz ke baad chast ki namaz adda karne se
I: Sahi Jawab ka Intezaar
*********************
Sahi Jawab - CDE✅
Aise amal jiske karne wale ke darmiyan ke arse mein hone wale gunaho ko mitane ka sabab ban jati hai
Reference📚:
-----
Abu Huraira RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam farmaya karte thy jab (Insaan) kabira gunaaho se ijtinab kar raha ho to paanch namazain, ek jummay (dosray) jummay taq aur ek Ramadhan dusray Ramadhan taq, darmiyan ke arse mein honay walay gunaaho ko mitanay ka sabab hain
-----
Abu Huraira reported:
Verily the Messenger of Allah ( صلی اللہ علیہ وسلم ) said: The five (daily) prayers and from one Friday prayer to the (next) Friday prayer, and from Ramadhan to Ramadhan are expiations for the (sins) committed in between (their intervals) provided one shuns the major sins.
-----
ابوہریرہ رضی اللہ عنہ سے روایت کی کہ رسول اللہ ﷺ فرمایا کرتے تھے : ’’جب ( انسان ) کبیرہ گناہوں سے اجتناب کر رہا ہو تو پانچ نمازیں ، ایک جمعہ ( دوسرے ) جمعہ تک اور ایک رمضان دوسرے رمضان تک ، درمیان کے عرصے میں ہونے والے گناہوں کو مٹانے کا سبب ہیں ۔ ‘ ‘
-------
Sahih Hadees
Sahih Muslim#552
Alhumdulillah beautifully designed Islamic Images in Arabic, Azkar Quran Short Ayat Dua.
Islamic Images
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo
Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...
-
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗ Sawal: Inmein se kaunse amal ke bare mein farmaya gaya hain ke ye Momeen ka behtareen amal hain A: Namaz B: Sila R...
-
❗Only-Quran-Hadith-Quiz 939❗ Jawab ek se Ziada hai! Sawal: Masjid mein Nabi Akram Sallallahu Alahih Wasallam ne kaunse kaam karne se mana f...
No comments:
Post a Comment