Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Sunday 29 August 2021

Mafhum e hadith ko mukamal kare....kaunse shaks Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Ke pass duniya mein sabse zyada mehboob aur qayamat ke roz sabse nazdik honge

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 786❗

Sawal: Mafhum e hadith ko mukamal kare....kaunse shaks Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Ke pass duniya mein sabse zyada mehboob aur qayamat ke roz sabse nazdik honge

A: Subah Sham Radaitu billahi Rabba wa bil-Islami dina wa bi Muhammadin Nabiyya..padne wale
B: ziyada se ziyada durud padne wale
C: Sunnaton par amal karne wale 
D: Betiyon ki achchi parwarish karne wale 
E: Achche Akhlaq wale
F: Azan ke baad ki dua padne wale
G: Inmein se koi nahi (apna jawab likhiye)
H:Sahih Jawab ka intezaar
****
Sahih Jawab - E✅

Hadith: Achche Akhlaq wale duniya mein aur Aakhirat mein Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ke nazdik honge

Reference:📚
-----
Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya mere nazdik tum mein se (duniya mein) sabse zyada mehboob aur  Qayamat ke din mujhse sabse ziyada Qareeb baithne wale wo log hain jo tum mein behtareen Akhlaq wale hain aur mere nazdik tum mein (duniya mein) sabse ziyada qabil e nafrat aur Qayamat ke din mujhse durr baithne wale wo log hain jo baatoni bila ehtiyat bolne wale zuban daraz aur Takkabur karne wale Sahaba Radi Allahu Anhuma ne arz kiya YA Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam humne baatuni aur bila ehtiyat bolne ko jaan liya lekin kaun log hain? Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Takkabur karne wale 
Jamia Tirmaizihadees#2018-Sahih
-------
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: ”میرے نزدیک تم میں سے ( دنیا میں ) سب سے زیادہ محبوب اور قیامت کے دن مجھ سے سب سے زیادہ قریب بیٹھنے والے وہ لوگ ہیں جو تم میں بہترین اخلاق والے ہیں، اور میرے نزدیک تم میں ( دنیا میں ) سب سے زیادہ قابل نفرت اور قیامت کے دن مجھ سے دور بیٹھنے والے وہ لوگ ہیں جو باتونی، بلااحتیاط بولنے والے، زبان دراز اور تکبر کرنے والے «متفيهقون» ہیں“، صحابہ نے عرض کیا: اللہ کے رسول! ہم نے «ثرثارون» ( باتونی ) اور «متشدقون» ( بلااحتیاط بولنے والے ) کو تو جان لیا لیکن کون لوگ ہیں؟ آپ نے فرمایا: ”تکبر کرنے والے“
-----
Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam said Indeed the most beloved among you to me, and the nearest to sit with me on the Day of Judgment is the best of you in character. And indeed, the most disliked among you to me, and the one sitting furthest from me on the Day of Judgement are the Thartharun, and the Mutashaddiqun and the Muthafaihiqun. They said: O Messenger of Allah! We know about the Thartharun, and the Mutashaddiqun, but what about the Muthafaihiqun? ' He said: The arrogant.
Jamia Tirmaizihadees#2018-Sahih

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...