Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Sunday 29 August 2021

Ek baar Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne ek sahabi ke baare mein pucha to logon ne bataya ki unki tabiyat thik nahi hain tab Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam un sahabi se milne gaye aur unhe farmaya "Khush ho jao"

 ❗ Only-Quran-Hadith-Quiz 779❗

Ek baar Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne ek sahabi ke baare mein pucha to logon ne bataya ki unki tabiyat thik nahi hain tab Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam un sahabi se milne gaye aur unhe farmaya "Khush ho jao"

Sawal: Wo Sahabi kaun they

A : Huzaifa Radi Allahu Anhu
B : Hilaal Bin Umaiyya Radi Allahu Anhu
C : Ikrama Radi Allahu Anhu
D : Abdullah bin Rawaha Radi Allahu Anhu
E : Abu Dijana Radi Allahu Anhu
F : Kaab Radi Allahu Anhu
G : In mein se koi nahi to apna jawab likhein
H : Sahi jawab ka Intezaar
*****
Sahi Jawab F ✅

Hadith: Kaab RadiAllahu Anhu ki fazilat

Reference : 📚
---------
Kaab Bin Ajrah Radi Allahu Anhu se riwayat hain ke Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne jab Kaab Radi Allahu Anhu ko na paaya to iske mutalliq pucha? Logon ne kaha wo beemar hain. Aap chalte huwe in ke paas aaye jab inke paas pahunche to Aap ne farmaya Kaab khush ho jao, Inki walida ne kaha Kaab tumhe jannat Mubarak ho. Aap Sallallahu Allahi Wasallam ne farmaya : Ye Allah par kasam khane wali koun hai? Kaab ne Kaha : Eh Allah ke Rasool Sallallahu Allahi Wasallam! Ye meri walida hai. Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya : Umme Kaab! Tumhe kya maloom hai shayad kabhi Kaab ne be faidah fuzool ghuftagu ki ho, ya jo cheez iski jarooorat ki na thi isey roka ho.
----------
کعب بن عجرہ‌رضی اللہ عنہ  سے مروی
 ہے کہ نبی صلی اللہ علیہ وسلم نےجب کعب‌رضی اللہ عنہ کو نہ پایا تو اس کے متعلق پوچھا؟ لوگوں نے کہا وہ بیمار ہیں ۔آپ چلتے ہوئے ان کے پاس آئے ، جب ان کے پاس پہنچے تو آپ نے فرمایا کعب خوش ہو جاؤ ،ان کی والدہ نے کہا کعب تمہیں جنت مبارک ہو۔ آپ صلی اللہ علیہ وسلم ‌نے فرمایا: یہ اللہ پر قسم کھانےوالی کون ہے؟ کعب نے کہا: اے اللہ کے رسول صلی اللہ علیہ وسلم ! یہ میری والدہ ہیں۔آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: ام کعب! تمہیں کیا معلوم کہ  شاید کبھی کعب نے بے فائدہ (فضول)گفتگو کی ہو، یا جو چیز اس کی ضرورت کی نہ تھی اسے روکا ہو۔
----------
Al-Silsila-tus-Sahiha#3-Sahih

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...