Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Sunday 29 August 2021

Jis ke hisab mein jaach partaal ki gayi samjho woh gharaat hogaya

 Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Jis ke hisab mein jaach partaal ki gayi samjho woh gharaat hogaya
---------
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ki biwi Hazrat Aisha RadiAllahu Anhuma jab koi aisi battain sunnatain jis ko samajh nah patin to dobarah is ko maloom kartin taakay samajh len. chunancha (ek martaba ) Nabi Kareem Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya ke jis se hisaab liya gaya usse azaab kiya jayega. Hazrat Aisha Radi Allahu anhu farmaati hain ke (ye sun kar) mein ne kaha ke kya Allah ne ye nahi farmaya ke anqareeb is se aassan hisaab liya jaye ga? Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ke ye sirf (Allah ke darbaar mein) paishi ka zikar hai. lekin jis ke hisaab mein jaanch partaal ki gayi (samjhoo) wo ghaarat ho gaya
----------------
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کی بیوی حضرت عائشہ رضی اللہ عنہا جب کوئی ایسی باتیں سنتیں جس کو سمجھ نہ پاتیں تو دوبارہ اس کو معلوم کرتیں تاکہ سمجھ لیں ۔ چنانچہ ( ایک مرتبہ ) نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ جس سے حساب لیا گیا اسے عذاب کیا جائے گا ۔ حضرت عائشہ رضی اللہ عنہا فرماتی ہیں کہ ( یہ سن کر ) میں نے کہا کہ کیا اللہ نے یہ نہیں فرمایا کہ عنقریب اس سے آسان حساب لیا جائے گا ؟ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ یہ صرف ( اللہ کے دربار میں ) پیشی کا ذکر ہے ۔ لیکن جس کے حساب میں جانچ پڑتال کی گئی ( سمجھو ) وہ غارت ہو گیا ۔
--------------
Narrated Ibn Abu Mulaika: Whenever `Aisha (the wife of the Prophet) heard anything which she did not understand, she used to ask again till she understood it completely. Aisha said: "Once the Prophet (ﷺ) said, "Whoever will be called to account (about his deeds on the Day of Resurrection) will surely be punished." I said, "Doesn't Allah say: "He surely will receive an easy reckoning." (84.8) The Prophet (ﷺ) replied, "This means only the presentation of the accounts but whoever will be argued about his account, will certainly be ruined."
--------------
Sahih al-Bukhari 103

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...