Bismillahirrahmannirahim
Hadith: Padosiyon ke zariye insan ka achacha aur bure hone ka saboot pata chalta hain
----
Ibn Masood RadiAllahu Anhu bayan karte hain, ek aadmi ne Nabi Sallallahu Alaihi wasallam se arz kiya Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam mujhe kaise pata chale ke mein achcha hu ya bura? Nabi Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Jab tum apne padosiyon ko kehte huwe suno ke tum achche ho to tum achche ho aur jab tum inhen kehte huwe suno ke tum bure ho to tum bure ho
-------
ابن مسعود ؓ بیان کرتے ہیں ، ایک آدمی نے نبی صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم سے عرض کیا : اللہ کے رسول ! مجھے کیسے پتہ چلے کہ میں اچھا ہوں یا برا ؟ نبی صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے فرمایا :’’ جب تم اپنے پڑوسیوں کو کہتے ہوئے سنو کہ تم اچھے ہو تو تم اچھے ہو اور جب تم انہیں کہتے ہوئے سنو کہ تم برے ہو تو تم برے ہو ۔‘‘ ، رواہ ابن ماجہ ۔
----
Mishkat ul Masabeeh#4988-Sahih
No comments:
Post a Comment