Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Tuesday, 15 September 2020

Wo kaunsa azkar hai joh Rasool-Allah Sallallahu Alahi wasallam apni aakhari zindagi mein kasrat se padha karte thy

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Jawab ek se ziyada hain


Sawal: Wo kaunsa azkar hai joh Rasool-Allah Sallallahu Alahi wasallam apni aakhari zindagi mein kasrat se padha karte thy


A: Alhumdullilahi Rabbil Aalameen

B: SubhanAllahi wa biHumdihi

C: Astagfirullah wa atubu illaih 

D: La illaha illallaha

E: Subhan-Allahil-azeem wa biHumdihi

F: Inna Lillahi Wa inna ilahi rajeuun

G: Alhamdulillahi Ala Kulli Haal

H: La hawla wala quwwata illaha billah


H: Sahi Jawab ka intezaar


************


Sahi Jawab - BC✅


Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam  apni aakhari zindagi mein kasart se yh Azkar padha karte thy...


Reference📚:

------

Sayeda Aisha RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam apni aakhari zindagi mein kasrat se yh zikar karte they (سُبْحَانَ اللّٰہِ وَبِحَمْدِہِ أَسْتَغْفِرُ اللّٰہَ وَأَتُوبُ إِلَیْہِ۔)


SubhanAllahi Wa biHamdihi Astagfirullah-wa atubu illaih


Mein ne kaha kya wajah hai ke Aap yh zikar bohat kasrat se karne lag gaye hain (سُبْحَانَ اللّٰہِ وَبِحَمْدِہِ أَسْتَغْفِرُ اللّٰہَ وَأَتُوبُ إِلَیْہِ۔)? Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya beshak mere RABB ne mujhe yh khabar di thi ke mein anqareeb apni ummat mein ek alamat dehkhooga aur phir mujhe yh hukum bhi diya ke mein jab is ko dekh lu to is ki tareef ke saath tasbeeh bayan karu aur is se bakhshish talab karu, beshak woh tauba qubool karne karne wala hai, aur abb mein neh woh alamat un ayaat ki soorat mein dekh li hai :{إِذَا جَائَ نَصْرُ اللّٰہِ وَالْفَتْحُ وَرَأَیْتَ النَّاسَ یَدْخُلُوْنَ فِی دِینِ اللّٰہِ أَفْوَاجًا فَسَبِّحْ بِحَمْدِ رَبِّکَ وَاسْتَغْفِرْہُ إِنَّہُ کَانَ تَوَّابًا} Jab Allah ki madad aur fatah aajaye aur tu logon ko Allah ke deen mein juq dar juq aata dekh le toh Apne RABB ki tasbeeh karne lag hamd ke sath aur is se Maghfirat ki dua mang, beshak woh badha he tauba qubool karne wala hai. (سورۃ النصر - 110)

-------

 ۔ سیدہ عائشہ ‌رضی ‌اللہ ‌عنہا  سے مروی ہے کہ رسول اللہ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  اپنی آخری زندگی میں کثرت سے یہ ذکر کرتے تھے: سُبْحَانَ اللّٰہِ وَبِحَمْدِہِ أَسْتَغْفِرُ اللّٰہَ وَأَتُوبُ إِلَیْہِ، میں نے کہا: کیا وجہ ہے کہ آپ یہ ذکر بہت کثرت سے کرنے لگ گئے ہیں: سُبْحَانَ اللّٰہِ وَبِحَمْدِہِ أَسْتَغْفِرُ اللّٰہَ وَأَتُوبُ إِلَیْہِ؟ آپ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  نے فرمایا:  بیشک میرے ربّ نے مجھے یہ خبر دی تھی کہ میں عنقریب اپنی امت میں ایک علامت دیکھوں گا اور پھر مجھے یہ حکم بھی دیا کہ میں جب اس کو دیکھ لوں تو اس کی تعریف کے ساتھ تسبیح بیان کروں اور اس سے بخشش طلب کروں، بیشک وہ توبہ قبول کرنے کرنے والا ہے، اور اب میں نے وہ علامت ان آیات کی صورت میں دیکھ لی ہے:  {إِذَا جَائَ نَصْرُ اللّٰہِ وَالْفَتْحُ وَرَأَیْتَ النَّاسَ یَدْخُلُوْنَ فِی دِینِ اللّٰہِ أَفْوَاجًا فَسَبِّحْ بِحَمْدِ رَبِّکَ وَاسْتَغْفِرْہُ إِنَّہُ کَانَ تَوَّابًا}  جب اللہ کی مدد اور فتح آ جائے۔ اور تو لوگوں کو اللہ کے دین میں جوق در جوق آتا دیکھ لے۔ تو اپنے رب کی تسبیح کرنے لگ حمد کے ساتھ اور اس سے مغفرت کی دعا مانگ، بیشک وہ بڑا ہی توبہ قبول کرنے والا ہے۔  (النصر: ۱۔۳)

-------

Musnad Ahmed#5484-Sahih

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...