Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Tuesday, 15 September 2020

Allah Subhanahu apna chehre mubarak ka rukh kaunse shaqs ke liye mutawajao kar dete hai

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Sawal: Allah Subhanahu apna chehre mubarak ka rukh kaunse shaqs ke liye mutawajao kar dete hai


A: Mazlum ki maddad karte waqt

B: Namaz padhte waqt

C: Sadqa dete waqt

D: Waledain ke saath husn saluq karte waqt

E: Quran ki tilawat karte waqt

F: Quran ki ayat hifz karte waqt

G: Inmein se koi nahi


H: Sahi Jawab ka intezaar


❗Note agar apka jawab G hai toh sahi jawab likhiye

**********


Sahi Jawab - B✅


Namaz padhne wale shaqs ki taraf Allah Subhanahu apna chehra mubarak mutawajjah kar dete hai


Reference📚:

-----

Huzaifa Radi Allahu Anhu se riwayat hai unhon ne kaha ki  Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya : jab tum mein se koi shakhs apni Namaz mein khada hota hai, to Allah Subhanahu ta'ala apne chehray ka rukh is ki taraf kar ke mutawajjah ho jata hai. is liye koi shakhs apne Qible ki taraf hargiz na thuke na apne dayen taraf thuke kuy na ke nekiya likhne walay dayen taraf hotay hain, lekin apne baen taraf thuke

-----

حذیفہ‌رضی اللہ عنہ سے مروی ہے انہوں نے كہاكہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: جب تم میں سے كوئی شخص اپنی نماز میں كھڑا ہوتا ہے ،  تو اللہ تعالیٰ اپنے چہرے كا رخ اس كی طرف كر كے متوجہ ہو جاتا ہے۔ اس لئے كوئی شخص اپنے قبلہ كی طرف ہر گز نہ تھوكے ، نہ اپنے دائیں طرف تھوكے۔ كیونكہ نیكیاں لكھنے والے دائیں طرف ہوتے ہیں، لیكن اپنے بائیں طرف تھوكے۔

-----

Al-Silsila-tus-Sahiha#521- Sahih

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...