Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Monday 20 January 2020

Ek baar Rasool-Allah Sallahu Alahi WaSallam logo ko aur sahaba karam ko khutba de rahe thy tabhi unhone kaha ke tawazu ikthiyaar karo. Sawal: woh kis baat par Tawazu iktiyaar karne ko keh rahe thy?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se zayda hai!

Ek baar Rasool-Allah Sallahu Alahi WaSallam logo ko aur sahaba karam ko khutba de rahe thy tabhi unhone kaha ke tawazu ikthiyaar karo.

Sawal: woh kis baat par Tawazu iktiyaar karne ko keh rahe thy? 

A: koi shakhs dusre shakhs per faqr na kare
B: koi shakhs kisi dusre ko tanna na de
C: koi shakhs kisi ke khilaf sirkashi na kare
D: koi shakhs kisi shakhs per Zulm na kare
E: koi shakhs kisi dusre per tohmat na lagaye
F: koi shakhs dusre shakhs ki geebat na kare
G: koi shakhs kisi ko kafir na kahe

H: Sahi Jawab Ka Intezaar

*************************
Sahi Jawab – ACD✅

Reference📚:
----
Abbas bin Hamir RadiAllahu Anhu se riwayet hai ke Rasool-Allah Sallahu Alahi waSallam ne farmaya: Beshak Allah Subhanahu ne meri taraf wahi ki hai ke tum tawazu ikhtiyar karo hatta ke koi kis par fakhr na kare aur na koi kis par zulm kare.
-----
عیاض بن حمار مجاشعی ؓ سے روایت ہے کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے فرمایا :’’ بے شک اللہ نے میری طرف وحی کی ہے کہ تم تواضع اختیار کرو حتی کہ کوئی کسی پر فخر نہ کرے اور نہ کوئی کسی پر ظلم کرے
-----
Sahih Hadees
Mishkat ul Masabeeh Hadees # 4898
-----
Ayad bin Hamaar RadiAllahu Anhu se riwayat hai keNabi Sallahu Alahi WaSallam ne logon/sahaba karaam ko khutba diya aur farmaya, yaqeenan Allah Subahanhu taala be meri taraf wahi ki ke tawazu (yani narmi) ikhtiyaar karo haata ke koi shakhs kisi dusre par fakhr na kare aur koi shakhs kisi dusre ke khilaaf sirkashi na kare.
-----
عیاض بن حماررضی اللہ عنہ سے مروی ہے کہ نبی صلی اللہ علیہ وسلم نے لوگوں/ صحابہ کرام کو خطہ دیا اور فرمایا: یقیناً اللہ تعالیٰ نے میری طرف وحی کی کہ تواضع اختیار کروحتی کہ کوئی شخص کسی دوسرے پر فخر نہ کرے اور کوئی شخص کسی دوسرے کے خلاف سر کشی نہ کرے۔
------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 56


No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...