Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Monday 20 January 2020

Sawal: Gunah karne ki wajah se Insaan inmein se kaunsi cheez se mehroom kar diya jata hain?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Gunah karne ki wajah se Insaan inmein se kaunsi cheez se mehroom kar diya jata hain?

A: Sajda karne se mehroom hojata
B: Lambi umar se mehroom hojata
C: Hidayat se mehroom hojata
D: Rizaq se mehroom hojata
E: Neik Aulad se mehroom hojata
F: Achi Sehat se mehroom hojata
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka Intezaar

Note: Agar jawab G hai toh apna sahi jawab likhiye❗.


************************

Sahi Jawab - D✅

Reference📚:
-------
Syedna Soban RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya besahk Aadmi Gunah ka irtikaab karne ki wajah se rizaq se mahroom kar diya jata hai, aur koi cheez taqdeer ko radd nahi kar sakti, ma siwaye dua ke aur sirf neki he hai, jo Umar mein izafah karti hai
------------
 ۔ سیدنا ثوبان رضی اللہ عنہ سے مروی ہے کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم  نے فرمایا:  بیشک آدمی گناہ کا ارتکاب کرنے کی وجہ سے رزق سے محروم کر دیا جاتا ہے، اور کوئی چیز تقدیر کو ردّ نہیں کر سکتی، ما سوائے دعا کے اور صرف نیکی ہی ہے، جو عمر میں اضافہ کرتی ہے۔
------------
Sahih Hadees
Musnad Ahmed Hadees # 5583

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...