Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Monday 20 January 2020

Sawal: Inmein se wo kaunse amal hai jiss ki wajah se pichle gunah bakhsh diye jate hai

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Inmein se wo kaunse amal hai jiss ki wajah se pichle gunah bakhsh diye jate hai

A: Raat ko sone ki dua padne par
B: Gunah karke Tauba karne par
C: Sajde mein Rabbana Aatina fidduniya...padne per
D: Har mahine 13 14 15 ke roze rakhe se
E: Har hafte Peer aur Jumerat ke roze rakhne se
F: Ruku mein Allahumma-ghfir li, warhamni padne se
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka Intezaar

Note: Agar jawab G hai toh apna jawab likiye❗


*****************************

Sahi Jawab- G✅

Reference📚:
-----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi WaSallam ne farmaya jab Imam Aameeen kahe to tum bhi Aameeen kaho, is liye ke farishtay bhi Aameeen kehte hain, aur jis ki Aameeen farishton ki Aameeen se mil jaye, to is ke pichlle gunah bakhash dyie jayen ge.
------
 It was narrated from Abu Hurairah that the Messenger of Allah (ﷺ) said: “When the reciter says Amin, then say Amin, for the angels say Amin, and if a person’s Amin coincides with the Amin of the angels, his previous sins will be forgiven.”
-----
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا:  جب امام آمین کہے تو تم بھی آمین کہو، اس لیے کہ فرشتے بھی آمین کہتے ہیں، اور جس کی آمین فرشتوں کی آمین سے مل جائے، تو اس کے پچھلے گناہ بخش دئیے جائیں گے
-----------------
Sahih Hadees
Sunnan e Ibn e Maja Hadees # 851

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...