Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Monday 20 January 2020

Sawal: Bina hisab kitab ke Jo 70,000 Jannat mein dakhil honge unki khoobi kya kya hogi

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se ziada hain!

Sawal: Bina hisab kitab ke Jo 70,000 Jannat mein dakhil honge unki khoobi kya kya hogi

A: wo jo Jhaad-foonk nahi karte
B: wo jo kabhi Shirk nahi kiya
C: wo jo pacho namazo ki hifazat ki hogi
D: wo jo Shagun nahi lete
E: wo jo Apne Rab par bharosa rakhte hain
F: wo jo har waqt Wazu mein rehte thy
G: Unke chehre chand ki tarah chamak rahe honge
H: wo jo kasrat se Allah ka zikr karte thy

I: Sahi Jawab ka Intezaar


************************************

Sahi Jawab - GADE/ADEG✅

Reference📚:

Hazrat Abu Hurairah radi Allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya meri ummat mein se 70,000 log bina hisab ke jannat mein dakhil honge jinke chehre chand ki tarah chamaka rahe honge , hazrat Ukasha Radi Allahu Anhu apni dharidar chadar sanbhalte huye uthe aur arz ki Ya Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam mere liye bhi dua kijiye ki Allah subhanahu mujhe unhi mein se bana de , Aap Sal-Allahu alaihi wasallam ne dua farma di ki Eh Allah Ukasha ko bhi unhi mein se bana de , uske baad Ansar qabeele ke ek aur sahabi khade huye aur arz ki Ya Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam dya farma dijiye ki Allah subhanhu mujhe bhi unhi mein se kar de , Aap Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya tumse pahle Ukasha dua kara chuke
--------
Sahih Bukhari, 5811

Ibn Abbas Radi Allahu anhuma se rivayat hai ki Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya meri ummat ke 70,000 log bina hisab ke jannat mein jayenge ye wo log honge jo Jhaad-foonk nahi karate hain aur na Shagun lete hain aur apne Rab hi par bharosa rakhte hain
---------
Sahih Bukhari, Vol 7, 6472

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...