Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Tuesday 21 April 2020

Mahfhum e hadith ke mutabiq wo kaun hai jiske kaan se le kar kaandhey taq ka fassla saat so saal ki masafat ka hain?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Mahfhum e hadith ke mutabiq wo kaun hai jiske kaan se le kar kaandhey taq ka fassla saat so saal ki masafat ka hain?

✒️📚 Apna jawab khud likhe______

H: Sahi JawAab ka Intezaar

**************

Sahi Jawab - Arsh ko uthany wale farishton mein se ek Farishta  ✅

Reference📚:
------
Jabir RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke mujhe ijazat di gayi hai ke Allah Subhanahu taala ke arsh ko uthany wale farishton mein se ek farishte ke baare mein batao, is ke kaan se le kar kaandhey taq ka faasla saat so saal ki masafat ka hai.
----
جابر‌رضی اللہ عنہ سے مرفوعا مروی ہے کہ: مجھے اجازت دی گئی ہے کہ اللہ تعالیٰ کے عرش کو اٹھانے والےفرشتوں میں سے ایک فرشتے کے بارے میں بتاؤں ،اس کے کان سے لے کر کاندھے تک کا فاصلہ سات سو سال کی مسافت کا ہے۔
-----
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 3090

Momeen ka wo kaun kaunsa amal hai jiske karne wale ko maut ke baad bhi uske liye sadqa e jariya ya Eesal-e-sawab ka zariya ban jata hain?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se ziyada hain

Sawal: Momeen ka wo kaun kaunsa amal hai jiske karne wale ko maut ke baad bhi uske liye sadqa e jariya ya Eesal-e-sawab ka zariya ban jata hain?

A: wo ilm jis se log fahida utaye
B: neik aulad ka jo uske liye dua kare
C: Aulad ka apne waledain ke liye sadqa karna
D: koi darakhta lagana aur fir logo ka yh janwar ka usse fahida uthana 
E: Waledain ke liye uske faut hone ke baad hajj karna 
F: Raah-e-khuda mein tainati ki halat mein faut hona 
G: Aulad ka apne walidain ke liye astagfar karna
H: padosi se husn suluk karna

I: Sahi Jawab ka Intezaar

*******************

Sahi Jawab - ABCDEFG✅

Reference📚:
------
Abu hurairah radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya Jab koi insan mar jata hai to uska amal moquf ho jata hai (ruk jata hai) magar ten cheezon ka sawab jari rahta hai ek sadqa e jariya ka, dusra wo ilm jis se log fayda uthaye, teesra neik bachche ka jo uske liye dua kare
Sahih Muslim, Vol 4, 4223
-------
Sad bin 'Ubada Radhi allahu anhu ki Maa ka jab inteqal hua to wo unki khidmat mein mojud nahi they unhoney aakar Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam se farmaya, ya Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam meri walida ka jab inteqal hua to main unki khidmat mein hazir nahi tha, agar main koi cheez sadqa karu to us sey unhey fayda pahunch sakta hai Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Haan, unhoney kaha main Aapko gawah banata hun mera Makhraf naam ka baag unki taraf se sadqa hai.
Sahih Bukhari, Vol 4, 2756
---------
Anas Bin Malik Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya agar koi musalman koi darakht lagata hai aur is darakht se koi insaan ya janwar khata hai to lagane wale ke liye wo sadqa hota hai(yani jab tak koi isme se khayega sadqe ka sawab milta rahega)
Sahih Bukhari, Vol 7, 6012
----------
 Ayesha Radi Allahu Anha se rivayat hai ki ek shaksh aaya aur usney Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam se pucha ki meri Maa achanak mar gayee aur waseeyat na kar saki, agar wo bolti to jarur sadqa deti, ab agar main Uski taraf se sadqa du to kya usey Sawab hai ? Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya HAAN
Sahih Muslim, Vol 3, 2326
----------
Ibn Abbbas Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki ek aurat ne Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam se apni walid ke bare mein pucha jiska inteqal bagair hajj kiye ho gaya to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya tum unki taraf se hajj karo
Sunan Nasaii, Vol 2, #545 -Sahih
-----------
Ibn Abbas Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki ek shaksh ne Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam se farmaya ki mere walid ki wafat ho gayi aur wo hajj nahi kar sakey , kya main unki janib se hajj kar sakta hu, Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya agar tumhare walid sahib par karz hota to kya tum unki taraf se wo karz ada kartey ? usney kaha ji haan to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya phir Allah subhanahu ka karz ada karney ka haq zyada hai
Sunan Nasaii, Vol 2, 550 -Sahih
-------------
Umma Aayesha Radhi allahu anhu se rivayat hai ki ek shakhsh ne Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam se pucha ki Meri Maa ka achanak inteqal ho gaya aur mera khayal hai ki agar unhein baat karney ka moka milta to wo kuch na kuch khairat karti ,agar main unki taraf se kuch khairat karu to kya unhein iska sawab milega ? Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya , Haan milega 
Sahih Bukhari , Vol 2, 1388 
------------
Abu Hurairah Radhi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Jo raah-e-khuda mein tainati ki halat mein is duniya se gaya to jo bhi ( achcha) amal wo karta tha ALLAH subhanahu uska ajar jaari farma dega aur Allah iska rizq bhi (Qabr mein) jari farma dega Aur wo Qabr ki aazmayeesh se mehfooz rahega aur ALLAh usey qayamat ke roz har tarah ke khauff aur ghabrahat se mutmaeen uthayega 
Sunan ibn Majah, Vol 2, 924-Sahih
----------
Abu hurairah radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya jannat mein mard ka darja buland kar diya jata hai to wo arz karta hai ye kaise hua irshad hota hai ki tumhare Aulad ke tumhare haq mein astigfar ke sabab.
Sunan Ibn majah, Jild 3, 541-Hasan

wo kaun log honge jo roze qayamat Jannat ki khusboo bhi nahi payege?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se ziyada hai!

Sawal: wo kaun log honge jo roze qayamat Jannat ki khusboo bhi nahi payege?

A. Namaz mein dairi karne wale
B. Neik kaamo se rokne wale
C. Burey kaam karne ko kahne wale
D. Zina karne wale mard
E.  Naqli baal lagane wali aurtein
F.  Khula lene wali aurtein
G. Aisa shaqs jo duniyawi maal hasil karne ke liye ilm seekhe
H. Apne imamo ko qatl karne wale
I. Allah ki raah mein kharch nahi karne wale

J: Sahi Jawab ka intezaar

*****************

Sahi Jawab - FG✅

Reference📚:
------
Abu Huraira Radi Allahu anhu se rivayat hai Rasool-Allah Sallalahu Alaihi wasallam ne farmaya jo shaks aisa ilm jis ke zariye Allah Subhanahu ki razamandi hasil ki jaati hai, mahaz duniya ka maal wa matta hasil karne ke liye seekhta hai toh wo roze qayamat jannat ki khushboo bhi nahi payega.

Sahih Hadees
Mishkat ul Masabeeh Hadees # 227
---------
Soban Radi Allahu Anhu se rivayat hai Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya khula (talaq) lene wali aurtein munafiq hain. Jo aurtein apne shohar se bina kisi wajah se khula (talaq) leti hain wo jannat ki khushbu bhi nahi paa sakegi

Jamia Tirmizi, Jild 1 , #1188, 1189-Sahih

Ek baar RasooliAllah Sallalahu Alaihi Wasallam bahar tashreef laaye toh dehka kuch log guftagu kar rahe hai uss guftagu ko sunne par RasooliAllah Sallalahu Alaihi Wasallam ka chehara mubarak ghusse se surkh hogya jaise koi anaar ka dana unke chehray par phatt gaya..

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Ek baar RasooliAllah Sallalahu Alaihi Wasallam bahar tashreef laaye toh dehka kuch log guftagu kar rahe hai uss guftagu ko sunne par RasooliAllah Sallalahu Alaihi Wasallam ka chehara mubarak ghusse se surkh hogya jaise koi anaar ka dana unke chehray par phatt gaya..

Sawal: wo guftagu kya thi jiss se sunkar RasooliAllah Sallalahu Alaihi Wasallam ka chehara mubarak surkh hogaya tha?

A: Gaib ke Ilm ke baare mein
B: Taqdeer ke baare mein
C: Qayamat ke baare mein
D: Nabiyo ki wirasat ke baare mein
E: Mairaj mein Allah ke deedar ke baare mein
F: Har saal Hajj karne ke baare
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka intezaar

************

Sahi Jawab - B✅

Reference📚:
------
Syedna Abdullah bin Umro bin Aas RadiAllahu Anhu se rivayat hai ke RasooliAllah Sallalahu Alaihi Wasallam ek din bahar tashreef laaye aur log taqdeer ke mauzo par guftagu kar rahay thy Aap Sallalahu Alaihi Wasallam ko itna gussa aaya ke yun laga ke aanar ka dana aap Sallalahu Alaihi Wasallam ke chehray par phatt gaya hai ( yani ghusse se chehra surkh ho gaya ), phir App Sallalahu Alaihi Wasallamny farmaya tumhe kya ho gaya hai, Allah taala ki kitaab ke ek hissay ko dusray se takra rahay ho, isi wajah se tum se pehlay walay log halaak ho gaye. Syedna Abdullah ny kaha jis majlis mein RasooliAllah Sallalahu Alaihi Wasallam hotay they, is mein haazir nah honay ka itna rashk kabhi nahi huwa tha, jo is majlis ke baaray mein huwa ke kash mein is mein mojood nah hota ( taakay aap ‌Sallalahu Alaihi Wasallam ke ghusse ka misdaaq ban'nay se bach jata
----
Sahih Hadees
Musnad Ahmed Hadees # 228

Kaunse shaqs ke liye farmaya gaya hai ke uska sawab us Haji ke sawab ki tarah hai jiska hajj mukammal hogaya ho?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Kaunse shaqs ke liye farmaya gaya hai ke uska sawab us Haji ke sawab ki tarah hai jiska hajj mukammal hogaya ho?

A. Kisi Musalman ki madada ke liye jana 
B. Khair ki baat sikhne ya shikhane ke liye masjid jana 
C. Farz namaz ke liye ghar se wudhu karke nikalna 
D. Maa Baap ki khidmat karna 
E. Khauff ke waqt Allah ki raah mein ek raat pahra dena 
F. Chasht ki 2 rakat namaz padhna 
G. Jo kisi mujahid ke ghar ki dekh bhal kare
H. Inmein se koi nahi

I. Sahi Jawab ka Intezaar

Note agar apka jawab "H" hai toh apna jawab likhiye

*********************
Sahi Jawab – B✅

Reference📚:

RasoolAllah SalAllahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo shaksh sirf khair ki baat sikhne ya sikhane ke liye masjid mein jaye to uska sawab us haji ke sawab ki tarah hai jiska hajj mukammal ho gaya ho
-------
RasoolAllah salalahu alaihi wasallam  said  Whoever goes to the Masjid just to learn goodness or teach others, then he will have a reward as if he has completed the Hajj pilgrimage.
-------
رسول الله صلی علیہ وسلم نے فرمایا جو شخص صرف خیر کی بات سیکھنے کے لئے مسجد میں جاۓ تو اس کا ثواب اس حاجی کے ثواب کی طرح ہے جس کا حج مکمّل ہو گیا ہو 
-------
Al Mu'jam Al Kabir, Tabarani, 7346-Sahih

wo kaun hain jinhe Qayamat ke din Allah Subhanahu paak karke uthayege.

❗ Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: wo kaun hain jinhe Qayamat ke din Allah Subhanahu paak karke uthayege.

A: Jo Ilm seekhe aur amal bhi kare
B: Jo kisi marz mein mubtila ho aur ussi mein faut hojaye
C: Jo kisi mulk mein ho aur achanak hadase wali maut mein faut hojaye
D: Jo kisi tangdast ki madad kare
E: Jo apne gunaho se darta ho aur tauba karta ho
F: Jo kisi marz mein ho aur fir bhi sabr kare
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka Intezaar

*******
Sahi Jawab - B✅

Reference📚;
-----
Abu Umaima Radi Allahu Anhu se rivayat hai ke agar koi (momin) bandah kisi marz mein mar jata (pachhar diya jata) hai toh Allah Subhanahu taala usay is se gunaaho se pak karkay uthaye ga.
----
ابو امامہ رضی اﷲ عنہ سے مرفوعا مروی ہے کہ: اگر کوئی( مومن) بندہ کسی مرض میں مر جاتا (پچھاڑ دیا جاتا)ہے تو اﷲ تعالیٰ اسے اس سے گناہوں سے پاک کرکے اٹھائے گا۔
----
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 3304

kisi shaqs ko aapas mein mil jol kara dena yahi sulaa kara dene se insaan darje mein kaunse se amal ke barabar hain?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se zaida hai!

Sawal: kisi shaqs ko aapas mein mil jol kara dena yahi sulaa kara dene se insaan darje mein kaunse se amal ke barabar hain?

A: Shaheed
B: parezgaari
C: Roze
D: Hajj
E: Sila Rehmi
F: Namaz
G: Zakat

H: Sahi Jawab ka Intezaar

************

Sahi Jawab - CFG✅

Reference📚:
------
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya kya mein tumhe woh baat na batau jo darje mein roze, namaz aur zakat se barh kar hai? logon ne kaha kyun nahi, Aap Sallallahu Alaihi Wasallam  ne farmaya aapas mein mil jol kara dena, aur aapas ki ladai aur phoot to sir mondne wali hain.
-----
Narrated AbudDarda': The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said: Shall I not inform you of something more excellent in degree than fasting, prayer and almsgiving (sadaqah)? The people replied: Yes, Prophet of Allah! He said: It is putting things right between people, spoiling them is the shaver (destructive).
-----
Sahih Hadees
Sunan Abi Dawud 4919

Mahfum e hadith ke mutabiq Faristah insan ke liye kab ek burai likh deta hain?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Mahfum e hadith ke mutabiq Faristah insan ke liye kab ek burai likh deta hain?

A: Jab wo namaz nahi padta
B:  Jab wo gunah ya khata kar ne par tauba nahi karta
C: Jab wo ristedaar se qata taluq kar leta hai  
D: sood ka maal jab tak uske pass rehta hai
E: Jab farz roze nahi rakhta
F:  Jab zakat adda nahi karta
G:  Inmein se koi nahi 

H: Sahi Jawab ka Intezaar

Agar jawab G hai toh apna sahi jawab likhiye

***************

Sahi Jawab - B✅

Reference📚:
----
Abu Imama RadiAllahu Anhu se riwayat hai je baye baazu wala Farishta chay ghariyaan musalman khatakaar ya Gunah gaar bande se qalam utahe rakhta hain, agar wo sharmsaar hojaye aur tauba karle to qalam rakh deta hai  warna ek burai likh deta hain
----
ابو امامہ  رضی اللہ عنہ سے مرفوعا مروی ہے کہ: بائیں بازو والا فرشتہ چھ گھڑیاں مسلمان خطاکار یا گناہ گار بندے سے قلم اٹھائے رکھتا ہے، اگر وہ شر مسار ہو جائے، اور توبہ کرلے تو قلم رکھ دیتا ہے، وگرنہ ایک برائی لکھ دیتا ہے
------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 3121

Momeen jab Jannat mein jayega toh uske amal ke wajah se usse kaun kaunse inaamat diye jayege

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se ziyada hain!


Sawal: Momeen jab Jannat mein jayega toh uske amal ke wajah se usse kaun kaunse inaamat diye jayege

A: Hamesha zinda rahenge
B: kabhi budha nahi honge
C: Hamesha sehat mand rahenge
D: Hamesha khush rahega
E: Hamesha jawan rahenge
F: kabhi maut nahi ayegi
G; Jannat ke waris bana diye jayenge 
H: kabhi takleef nahi dekhenge
I: kabhi beemar nahi honge

J: Sahi Jawab ka intezaar

*****************

Sahi Jawab - ABCDEFGHI✅

Reference📚:
--------
Hazrat Abu Saeed Khudri RadiAllahu Anhu  aur Abu Huraira Radi Allahu Anhu se riwayat hai Rasool-Allah Sallallahu  Alaihi Wasallam ne farmaye Ek Eean karne wala Elan karega yaqeenan tumare liye yh Inaam bhi hain ke tum Hamesha sehat mand rahoge kabhi beemar nahi honge hamesha zinda rahoge kabhi Maut nahi aayegi hamesha Jawan rahoge kabhi Budhe nahi honge hamesha Khush rahoge kabhi Takleef nahi dekhoge Yehi Allah Subhanahu ka farman hain aur Inhe Nida de kar kaha jaega yehi tumhari Jannat hain jo tumare Amal ke wajhe se jo tum karte rahe waris bana diye gayee
-----
حضرت ابو سعید خدری اور حضرت ابو ہریرہ رضی اللہ تعالیٰ عنہما سےروایت کی ، انھوں نے نبی صلی اللہ علیہ وسلم سے روایت کی کہ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا : ایک اعلان کرنے والااعلان کرے گا ۔ یقیناًتمھارے لیے یہ ( انعام بھی ) ہے کہ تم ہمیشہ صحت مند رہو گے ۔ کبھی بیمار نہ پڑوگے ، اور یہ بھی تمھارے لیے ہے کہ زندہ رہوگے ۔ کبھی موت کا شکار نہیں ہو گے ۔ اور یہ بھی تمھارے لیے ہے کہ جوان رہو گے ۔ کبھی بوڑھے نہ ہوگے ۔ اور یہ بھی تمھارے لیے ہے کہ ہمیشہ ناز و نعم میں رہوگے ۔ کبھی زحمت نہ دیکھو گے ۔ یہی اللہ عزوجل کا فرمان ( واضح کرتا ) ہے : اور انھیں ندادے کرکہاجائے گاکہ یہی تمھاری جنت ہے جس کے تم ان اعمال کی وجہ سے سے جو تم کرتے رہے وارث بنا دیے گئے ہو ۔ 
------
Sahih Hadees
Sahih Muslim Hadees # 7157

inmein wo kya hai joh har musalman ke liye shahadat hain?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: inmein wo kya hai joh har musalman ke liye shahadat hain?

A: Musalman ki maddat ke liye gahr se nikale aur rasste mein faut hojaye
B: Achanak faut hone wale
C: Juma ke din faut hone wale
D: Musalman  ki aayadat ke liye nikale aur rasste mein faut hone wala
E: hadase wali maut
F: Fitne ke daur mein sabr karne wale
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka Intezaar

Note agar apka jawab "G" hai toh sahi jawab likhiye

****************

Sahi Jawab - G✅

Ta'uoon mein faut hona har musalmaan ke liye sahadat hai

Reference📚:
-------
Yahya bin Sayreen RadiAllahu Anhu ka kisi beemari mein inteqaal huwa tha. mein ne kaha ke ta'oon mein, bayan kiya ke Rasool- Allah Sallalahu Alaihi wasallam ne farmaya ke ta'uoon har musalman ke liye shahadat hai.
------
Narrated Anas bin Malik: Allah's Apostle said, (Death from) plague is martyrdom for every Muslim. 
-------
 یحییٰ بن سیرین کا کس بیماری میں انتقال ہوا تھا۔ میں نے کہا کہ طاعون میں، بیان کیا کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ طاعون ہر مسلمان کے لیے شہادت ہے۔ 
------
Sahih Hadees
Sahih Bukhari Hadees # 5732

Kaunse shaks ke liye farmaya gaya hai ke Allah ki taraf se wo nuqsaan, hasrat aur nedamat mein se hain

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se ziyada hai!

Sawal: Kaunse shaks ke liye farmaya gaya hai ke Allah ki taraf se wo nuqsaan, hasrat aur nedamat mein se hain

A: Budhape mein apne maa baap ki khidmat na kare
B: jo kisi jagah baithe aur Allah ka zikr na kare
C: Jo jhoothi kasam kha kar apna maal beche
D: Jo Musalmano ki Jammat se door hojaye
E: jo bistar par sone jaaye aur Allah ka zikr na kare
F: Jo Quran ko khubsurti se na padhe
G: Jo Logo ko achchi baat ka hukm na kare

H: Sahi Jawab ka Intezaar

************

Sahi Jawab - G✅

Jis jagah wo tehra ho aur waha Tauoon ki waba phail jaye aur woh waha se bhaag jaye toh goya aisa hai jaise woh maidan e jung se bhaag gaya ho

Reference📚:
----------
Sayeda Aisha RadiAllahu Anhu bayan karti hain ke Nabi kareem ‌Sallalahu Alaihi Wasallam ne farmaya meri ummat tana zani aur tauoon se fanaa hogi. Mein ne kaha Eh Allah ke Rasool Sallalahu Alaihi Wasallam tana zani ko to hum jantay hain, tauoon se kya murad  hai, Aap Sallalahu Alaihi Wasallam ne farmaya : tauoon mein insaan ki gardan mein oont ki gilty ki manind gilty nikalti hai, jo aadmi is taoon mein thehra raha, woh shaheed ki manind hai aur jo is se bhaag gaya, woh maidan jung se bhagnay walay ki manind hai
--------------
 ۔ سیدہ عائشہ ‌رضی ‌اللہ ‌عنہا بیان کرتی ہیں کہ نبی کریم ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم نے فرمایا: میری امت طعنہ زنی اور طاعون سے فنا ہوگی۔ میں نے کہا: اے اللہ کے رسول! طعنہ زنی کو تو ہم جانتے ہیں، طاعون سے کیامراد ہے، آپ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم نے فرمایا: طاعون میں انسان کی گردن میں اونٹ کی گلٹی کی مانند گلٹی نکلتی ہے، جو آدمی اس طاعون میں ٹھہرا رہا، وہ شہید کی مانند ہے اور جو اس سے بھاگ گیا، وہ میدان جنگ سے بھاگنے والے کی مانند ہے۔ 
---------------
Sahih Hadees
Musnad Ahmed Hadees # 7806

Kaunse shaks ke liye farmaya gaya hai ke Allah ki taraf se wo nuqsaan, hasrat aur nedamat mein se hain

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se ziyada hai!

Sawal: Kaunse shaks ke liye farmaya gaya hai ke Allah ki taraf se wo nuqsaan, hasrat aur nedamat mein se hain

A: Budhape mein apne maa baap ki khidmat na kare
B: jo kisi jagah baithe aur Allah ka zikr na kare
C: Jo jhoothi kasam kha kar apna maal beche
D: Jo Musalmano ki Jammat se door hojaye
E: jo bistar par sone jaaye aur Allah ka zikr na kare
F: Jo Quran ko khubsurti se na padhe
G: Jo Logo ko achchi baat ka hukm na kare

H: Sahi Jawab ka Intezaar

**************

Sahi Jawab - BE✅

Reference📚;
-------
Abu Huraira RadiAllahu Anhu se rivayat hai ke jo shakhs kisi jagah baitha aur Allah ka zikar nahi kiya toh is par Allah ki taraf se nuqsaan, hasrat aur nedamat hai aur jo shakhs bistar par layta aur Allah ka zikar nahi kiya to iss par Allah ki taraf se nuqsaan, hasrat aur nedamat hain
-------
ابو ہریرہ‌رضی اللہ عنہ  سے مرفوعا مروی ہے کہ: جو شخص کسی جگہ بیٹھا اور اللہ کا ذکر نہیں کیا تو اس پر اللہ کی طرف سے نقصان، حسرت اور ندامت ہے اور جو شخص بستر پر لیٹا اور اللہ کا ذکر نہیں کیا تو اس پر اللہ کی طرف سے نقصان، حسرت اور ندامت ہے
------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 2980

wo kaunsa gunah hain jisko karne wale ko duniya mein bhi jaldi saza di jati hai aur akhirat mein bhi iss ke liye saza ka intezam (bandobast) hoga?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se zaiyda hai

Sawal: wo kaunsa gunah hain jisko karne wale ko duniya mein bhi jaldi saza di jati hai aur akhirat mein bhi iss ke liye saza ka intezam (bandobast) hoga?

A: Tane dene wala
B: Ehsan jatane wala
C: Sarkashi karne wala
D: Jhoot bolne wala
E: Hasad karne wala
F: Qata Rehami karne wala
G: Na insafi karne wala

H: Sahi Jawab ka Intezaar

**************************
Sahi Jawab - CF✅

Reference📚:
-----
Abu Bakr RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Sirkashi aur Qata Rehami se barh kar koi gunah aisa nahi jis ke karne wale ko Allah Subhanahu ta’ala jald he duniya mein saza de aur is ke sath sath Akhirat mein bhi is ke liye saza ka bandobast ho.
------
ابو بکرہرضی اللہ عنہ سے مرفوعا مردی ہے کہ: سر کشی اور قطع رحمی سے بڑھ کر کوئی گناہ ایسانہیں جس کے کرنے والے کو اللہ تعالیٰ جلد ہی دنیا میں سزا دے اور اس کے ساتھ ساتھ آخرت میں بھی اس کے لئے سزا کا بندوبست ہو۔
-----
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 167

Quran ki ayat ka tarjuma Khabardar Allah ke doston par na koi khauf hoga aur na wo ghamgeen honge

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Quran ki ayat ka tarjuma Khabardar Allah ke doston par na koi khauf hoga aur na wo ghamgeen honge

Sawal: iss qoul se murad wo kaun log hai?

A: Jo apne waledain ke farmabadari karte hain
B: Jo apna karz behtar tareeqe se adda kare
C: Jo Quran sheeke aur dusro ko bhi sheekaye
D: Jine dehk kar Allah ki yaad ajaye
E: Jo zaida astagfar padhte ho
F: Jo apne namazo ki nigebani karte ho
G: Jo ziyada sadqa karte hain
H: Jiski Umar lambi ho aur aamal naik ho
I: Inmein se koi nahi

J: Sahi Jawab ka intezaar

************

Sahi Jawab - D✅

Reference📚:
---------
Abdulah bin Abbas RadiAllahu Anhu Nabi Sallalahu Alaihi wasallam se Allah taala ke is qoul ke baarey mein riwayat karte hain : ( الآان اوْلیآء اﷲ لاخوْف علیْھمْ ولاھمْ یحْزنوْن. ) khabardaar Allah ke doston par nah koi khauf hoga aur nah woh ghamgeen honge, kehte hain ke yeh woh log hain jinhein dekh kar Allah yaad aajay
-------
عن ابن عباس عن النبی  صلی اللہ علیہ وسلم : فی قولہ:(اَلَآاِنَّ اَوْلِیَآءَ اﷲِ لاَخَوْفٌ عَلَیْھِمْ وَلَاھُمْ یَحْزَنُوْنَ۔)(یونس) قال: ھم الذین یذکراللہ لرؤیتھم۔
--------
عبداللہ بن عباس رضی اللہ عنہا نبی  ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌سے اللہ تعالیٰ کے اس قول کے بارے میں روایت کرتے ہیں: (اَلَآاِنَّ اَوْلِیَآءَ اﷲِ لاَخَوْفٌ عَلَیْھِمْ وَلَاھُمْ یَحْزَنُوْنَ۔) خبردار اللہ کے دوستوں پر نہ کوئی خوف ہوگا اور نہ وہ غمگین ہوں گے، کہتے ہیں کہ یہ وہ لوگ ہیں جنہیں دیکھ کر اللہ یاد آجائے۔
-------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 2986

Deen kab tak ghalib rahega

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Deen kab tak ghalib rahega

A: jab tak log tauba karte rahenge
B: jab tak dajjal ka nuzul na hojaye
C; jab tak qalma sahadat  ki gawahi dete rahenge
D: jab tak Qayamat na aajaye
E: jab tak sila rehmi qayam rahenge
F: jab tak logo ke dil mein Eman baki rahega
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka intezaar


"Note: Agar apka jawab "G"hai toh sahi jawab likhiye"❗


*****************

Sahi Jawab - G✅

Allah Subhanahu jab tak chahega Deen tab tak Ghalib rahega

Reference📚:
--------
Aisha RadiAllahu Anhu se rivayat hai ke raat aur din is waqt taq khatam nahi honge jab taq laat aur uzzi ki ibadat na ki jaaney lagey, Aisha0 RadiAllahu Anhu ne kaha : Eh Allah ke Rasool! Mera khayaal tha ke jab Allah ta'ala ne yeh aayat nazil ki(Surah At Tawbah: 33) 
Woh zaat jis ne apne Rasool ko hidaayat aur deen haq de kar bheja taake usse tamam Adyan par ghalib kar de agarchay mushrikon ko yeh baat na pasand he kyun na ho“. to yeh maamla mukammal hogaya. Aap Sallalahu Alaihi wasallam ne farmaya jab taq Allah Subhanahu chahega yeh deen Ghalib rahega
------
عائشہ رضی اللہ عنہا سے مرفوعا مروی ہے کہ:رات اور دن اس وقت تک ختم نہیں ہوں گے جب تک لات اور عزی کی عبادت نہ کی جانے لگے، عائشہ رضی اللہ عنہا نے کہا: اے اللہ کے رسول! میرا خیال تھا کہ جب اللہ تعالیٰ نے یہ آیت نازل کی: (التوبۃ:۳۳)  ،”وہ ذات جس نے اپنے رسول کو ہدایت اور دین حق دے کر بھیجا تاکہ اسے تمام ادیان پر غالب کر دے اگرچہ مشرکوں کو یہ بات نا پسند ہی کیوں نہ ہو“۔ تو یہ معاملہ مکمل ہوگیا۔آپ  ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌نے فرمایا: جب تک اللہ چاہے گا یہ دین غالب رہے گا۔
------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 2726

Ek sahabi ne Umar RadiAllahu anhu se ek aayat ke muttaliq kaha ke iss mein Aap Sallallahu Alaihi wasallam ki wafat ki khabar ya ek misal hai.

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Do sawal hai!

Ek sahabi ne Umar  RadiAllahu anhu se ek aayat ke muttaliq kaha ke iss mein Aap Sallallahu Alaihi wasallam ki wafat ki khabar ya ek misal hai.

Sawal1. Wo sahabi kaun thy?

A. Ali RadiAllahu anhu 
B. Abu Hurairah RadiAllahu anhu 
C. Abu Ayyub Ansari RadiAllahu anhu 
D. Salman Farsi RadiAllahu anhu 
E. Maaz bin Jabal RadiAllahu anhu 
F: Ibne Abbas RadiAllahu anhu 
G. Inn mein se koi nahi

H  Sahi Jawab ka intezaar

Sawal2. Wo aayat kaunse surah ki hai?

A. Surah-Al-Baqra
B. Surah Naas
C. Surah fatiha
D. Surah Nasr
E. Surah waqia
F  Surah Falaq
G. Inmein se koi nahi

H  Sahi Jawab ka intezaar
**************

Sahi Jawab - FD✅

Reference📚:
-------
Umar RadiAllahu anhu ne boorhay badri sahaba se Allah taala ke irshad « إذا جاء «إذا جاء نصر الله والفتح‏ yani ”jab Allah ki madad aur fatah aa pahoochi“ ke mutaliq poocha to unhon ne jawab diya ke is se ishara bohat se shehron aur mulkon ke fatah honay ki taraf hai. Umar RadiAllahu anhu ne kaha : Ibn Abbas tumhara kya khayaal hai? Ibn Abbas RadiAllahu Anhu ne jawab diya ke iss mein Aap Sallalahu Alaihi wasallam ki wafaat ki khabar ya ek misaal hai goya Aap Sallalahu Alaihi Wasallam ki mout ki Aap ko khabar di gayi hai .
-------
 عمر رضی اللہ عنہ نے بوڑھے بدری صحابہ سے اللہ تعالیٰ کے ارشاد «إذا جاء نصر الله والفتح‏» یعنی ”جب اللہ کی مدد اور فتح آ پہنچی“ کے متعلق پوچھا تو انہوں نے جواب دیا کہ اس سے اشارہ بہت سے شہروں اور ملکوں کے فتح ہونے کی طرف ہے۔ عمر رضی اللہ عنہ نے کہا: ابن عباس تمہارا کیا خیال ہے؟ ابن عباس رضی اللہ عنہما نے جواب دیا کہ اس میں آپ کی وفات کی خبر یا ایک مثال ہے گویا آپ کی موت کی آپ کو خبر دی گئی ہے۔ 
-------
Sahih Hadees
Sahih Bukhari Hadees # 4969

yh misal kiske liye farmaye gayi hai goya sonay ke tukde ki tarah hain.

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: yh misal kiske liye farmaye gayi hai goya sonay ke tukde ki tarah hain.

A: Muazzin
B: Allah ki raza ke liye Ilm hasil karne wala
C: Rozedaar
D: Shaheed
E: Momeen
F: Mujahid
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka intezaar

Note agar apka jawab G hai toh sahi jawab likhiye

**********

Sahi Jawab - E✅

Momeen ki misaal sonay ke tukde ki tarah hain

Reference📚:
---------
Rasool-Allah Sallalahu Alaihi wasallam ne farmaya Allah ta'ala bud goi aur fahash goi ko na pasand karta hai. is zaat ki qasam jis ke haath mein meri jaan hai Qayamat is waqt taq qaim nahi hogi jab tak Ameen ko khain na samjha jaye aur khain ko Ameen na samjha jaaney lagey, aur fahash goi, bud goi, qata rehmi aur bure padosi ki aksariyat na ho jaye. Momeen ki misaal sonay ke tukde ki tarah ke iss ke Malik ne is mein phook  maari na to yeh tabdeel huwa na he kum huwa is zaat ki qasam jis ke haath mein Mohammad Sallallahu Alaihi wasallam ki jaan hai! Momin ki misaal khajuro ki darakht ki terhan hai jo saaf khurak haasil karta hai aur Pakiza phal deta hai. agar zameen par gir bhi jaye to kharab nahi hota nah hi toot-ta hai .
--------
عبداللہ بن عمرو بن العاص رضی اللہ عنہما سے مرفوعا مروی ہے كہ رسول اللہ  ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌نے فرمایا: اللہ تعالیٰ بدگوئی اور فحش گوئی كو نا پسند كرتا ہے۔ اس ذات كی قسم جس كے ہاتھ میں میری جان ہے   قیامت اس وقت تک قائم نہیں ہوگی جب تك امین  کو خائن نہ سمجھا جائے اور خائن کو امین نہ سمجھا جانے لگے،اورفحش گوئی،بدگوئی، قطع رحمی اور برے پڑوسیوں كی اكثریت نہ ہو جائے۔ مومن كی مثال سونے كے ٹكڑے كی طر ح ہےكہ اس كے مالك نے اس میں پھونك ماری نہ تو یہ تبدیل ہو ااورنہ كم ہوا۔ اس ذات كی قسم جس كے ہاتھ میں محمد  ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌كی جان ہے!  مومن كی مثال كھجور كے درخت كی طرح ہے جو صاف خوراك حاصل كرتا ہے اور پاكیزہ پھل دیتا ہے۔ اگر زمین پر گر بھی جائے تو خراب نہیں ہوتا نہ ہی ٹوٹتا ہے۔
-------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 1344

kaunse shaqs ke liye Rasool-Allah Salallahu Alahi waSallam ne farmaya ke yh munasib nahi ke wo shaqs Amin ho?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: kaunse shaqs ke liye Rasool-Allah Salallahu Alahi waSallam ne farmaya ke yh munasib nahi ke wo shaqs Amin ho?

A: Do rukha insaan
B: Takabbur karne wala
C: jis par qarz ho
D: sachi baat par iman nahi lane wala
E: Achche aur burey dono amal karne wala
F: wo jo do logo ke darmiyan ladayi lagata ho
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka intezaar

Note: Agar jawab “G” ho toh apna jawab likhiye

******************

Sahi Jawab - A✅

Reference📚:
----
Abu Huraira RadiAllahu anhu se rivayat hai ke Nabi Salalahu Alahi wasallam ne farmaya yeh mumkin nahi hai ke do rukha aadmi Amin ho.
-------
ابو ہریرہرضی اللہ عنہ سے مروی ہے کہ نبی صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: یہ ممکن نہیں ہے کہ دو رخا آدمی امین ہو۔
--------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 200

Wo kya wajah hai jis ke liye Rasool-Allah Sallalahu Alaihi wasallam ne farmaya ke agar tum waha se guzaro toh rote huwe guzaro

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Wo kya wajah hai jis ke liye Rasool-Allah Sallalahu Alaihi wasallam ne farmaya ke agar tum waha se guzaro toh rote huwe guzaro

A: jis jagah Allah Subhanahu rizaq tang kar deta hai
B: Qabrastan se guzarte waqt
C: jis ko Allah Subahnahu ne Museebat mein mubtilah kiya ho
D: jis jagah Allah Subhanahu ka zikr nahi hota
E: kisi ke saath hadesa huwa aur uski maut hogayi
F: jis jagah Allah Subhanahu ka Azaab ho raha ho
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka Intezaar

❗Note agar apka jawab "G" hain toh sahi jawab likhiye

*******************

Sahi Jawab - F✅

Jab tum Aazab wale jagah se guzaro toh roo padho aisa na ho ke unka aazab tum par bhi aajaye

Reference📚:
------
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Sallam ne farmaya, un Azaab walon ke assaar se agar tumhara guzar ho toh rote huwe guzro, agar tum is mauqa par roh na sako toh un se guzro he nahi aisa nah ho ke tum par bhi unka sa azaab aa jaye .
-------
Narrated `Abdullah bin `Umar: Allah's Apostle said,   Do not enter (the places) of these people where Allah's punishment had fallen unless you do so weeping. If you do not weep, do not enter (the places of these people) because Allah's curse and punishment which fell upon them may fall upon you. 
-------
 رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا، ان عذاب والوں کے آثار سے اگر تمہارا گزر ہو تو روتے ہوئے گزرو، اگر تم اس موقع پر رو نہ سکو تو ان سے گزرو ہی نہیں۔ ایسا نہ ہو کہ تم پر بھی ان کا سا عذاب آ جائے۔ 
-------
Sahih Hadees
Sahih Bukhari Hadees # 433

kis ke liye yh farmaya hai ke waha se aise bhago jaise shair ko dehk kar baghte ho

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: kis ke liye yh farmaya hai ke waha se aise bhago jaise shair ko dehk kar baghte ho

A: Tauoon wale ilaqe se
B: Fitne wali jagah se
C: Juzami shaks se
D: Zulm se
E: Bure khayalat se
F: badshaguni se
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka Intezaar

Note agar apka jawab "G" hain toh sahi jawab likhiye

*************

Sahi Jawab - C✅

Juzami shaqs ko dehko toh usse aise bagho jaise shair ko dehk kar baaghte ho

Reference📚:
-----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallamle ne farmaya ke chhoot lagna, badshaguni lena, ullu ka Manhoos hona aur Safar ka Manhoos hona yeh sab laghu khayalat hain Albata Juzami shakhs se aisay bhagta reh jaisay ke shair se bhagta hai
-------
Narrated Abu Huraira: Allah's Apostle said, '(There is) no 'Adwa (no contagious disease is conveyed without Allah's permission) nor is there any bad omen (from birds), nor is there any Hamah, nor is there any bad omen in the month of Safar, and one should run away from the leper as one runs away from a lion.'' 
-------
 رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ چھوت لگنا، بدشگونی لینا، الو کا منحوس ہونا اور صفر کا منحوس ہونا یہ سب لغو خیالات ہیں البتہ جذامی شخص سے ایسے بھاگتا رہ جیسے کہ شیر سے بھاگتا ہے۔ 
------
Sahih Hadees
Sahih Bukhari Hadees # 5707

kaunse shaqs ke liye farmaya gaya hai ke goya wo haq se bhatka huwa hai

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: kaunse shaqs ke liye farmaya gaya hai ke goya wo haq se bhatka huwa hai

A: Salam ka jawab nahi dene wala shaqs
B: Joh Salam mein pehal karna taqabbur samjhta ho
C: Qata Taluqi karne wala
D: Bidat
E: Na haq Qatal karna
F: Zulm karne wala
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka Intezaar

****************

Sahi Jawab - C✅

Qata taluqi karne wala shaqs aisa hai jaise wo haq se bhatak gaya aur agar uss par faut hojaye toh wo kabhi bhi Jannat mein dakhil nahi hoga

Reference📚:
-------
Hisham bin Aamir RadiAllahu Anhi sr riwayat hai ke kehte hain ke mein ne Rasool-Allah Sallalahu Alaihi wasallam ko farmate  huwe suna kisi Musalman ke liye jaayaz nahi ke woh kisi Musalman se teen din se ziyada Qata taluqi kare kyunke yh dono jab taq apne haraam kaam par rahenge haq se bhatkay rahenge un mein jo shakhs ruju karne mein Sabaqat karta hai is ka Sabaqat karna is ke liye kaffara hai agar woh Salam kahe aur dusra shakhs is ko jawab nah de to farishtay usay jawab dete hain jabke dusray shakhs ko shaitan jawab deta hai agar woh isi qata taulqi par faut ho jaye toh kabhi bhi Jannat mein jama nahi hon ge.
-------
ہشام بن عامر رضی اللہ عنہ  سے مروی ہے کہ کہتے ہیں کہ میں نے رسول اللہ  ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌کو فرماتے ہوئے سنا: کسی مسلمان کے لئے جائز نہیں کہ وہ کسی مسلمان سے تین دن سے زیادہ قطع تعلقی کرے کیونکہ یہ دونوں جب تک اپنے حرام کام پر رہیں گےحق سے بھٹکے رہیں گے ان میں جو شخص رجوع کرنے میں سبقت کرتا ہے اس کا سبقت کرنا اس کے لئے کفارہ ہے اگر وہ سلام کہے اور دوسرا شخص اس کو جواب نہ دے تو فرشتے اسے جواب دیتے ہیں جبکہ دوسرے شخص کو شیطان جواب دیتا ہےاگر وہ اسی قطع تعلقی پر فوت ہوجائیں  تو کبھی بھی جنت میں جمع نہ ہوں گے
-------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 453

Yh misaal kis shakhs ke liye farmayi gayi hai goya jis ne apne maal ka sadqa nikala toh jis qader chaha kharch kar diya aur is ka sawab haasil kar liya aur jitna chaha kanjoosi karte huwe rakh liya

❗Only-Quran -Hadith-Quiz❗

Sawal: Yh misaal kis shakhs ke liye farmayi gayi hai goya jis ne apne maal ka sadqa nikala toh jis qader chaha kharch kar diya aur is ka sawab haasil kar liya aur jitna chaha kanjoosi karte huwe rakh liya

A: Nafil Namaz padne wale
B: Nafil Roze rakhne wale
C: Har Mahine 13, 14, 15 ke roze rakhne wale
D: Shawaal ke roze rakhne wale
E: Shabaan ke roze rakhne wale
F: Peer aur Jumeerat ke roze rakhne wale
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka Intezaar

Note agar apka jawab G hai toh sahi jawab likhiye

***************
Sahi Jawab - B✅

Nafil roze rakne walo ke liye misal

Reference📚:
--------
Hazrat Aisha RadiAllahu Anhu farmaati hain ke ek dafaa Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne mere paas chakkar lagaya aur farmaya :' ' tumahare paas koi khanay ki cheez hai Mein ne arz kiya : Mere paas koi cheez nahi hai. Aap ne farmaya "phir mein roza rakh leta hon.' ' phir (kisi din) dobarah tashreef laaye. itefaqan hamaray paas Hais ka tohfa aaya tha. mein Aap ke paas layi to Aap ne kha liya. mujhe is par taajjub huwa, mein ne kaha Eh Allah ke Rasool! Aap tashreef laaye to Aap ka roza tha, phir Aap ne hais kha liya? Aap ne farmaya Aisha! haan. Ramdhan ya qazaye Ramdhan ke ilawa Nafil roze rakhnay walay ki misaal to is shakhs ki terhan hai jis ne apne maal ka sadqa nikala to jis qader chaha kharch kar diya aur is ka sawab haasil kar liya aur jitna chaha kanjoosi karte huwe rakh liya
------
It was narrated that 'Aishah said: The Messenger of Allah passed by my door. He said: 'Do you have anything (to eat)?' I said 'I do not have anything.' He said 'Then he passed by my door a second time and we had been given some Hais. I brought it to him and he ate, and I was surprised. I said: 'O Messenger of Allah, you were fasting, then you ate Hais.' He said: 'Yes, O 'Aishah. The one who observes a fast other than in Ramadan, or making up a missed Ramadan, fast, is like a man who allocated some of is wealth to give in charity; if he wishes he may go ahead and give it, and if he wishes he may keep it. '
-----
حضرت عائشہؓ فرماتی ہیں کہ ایک دفعہ رسول اللہﷺ نے میرے پاس چکر لگایا اور فرمایا: ’’تمہارے پاس کوئی کھانے کی چیز ہے؟‘‘ میں نے عرض کیا: میرے پاس کوئی چیز نہیں ہے۔ آپ نے فرمایا: ’’پھر میں روزہ رکھ لیتا ہوں۔‘‘ پھر (کسی دن) دوبارہ تشریف لائے۔ اتفاقاً ہمارے پاس حیس کا تحفہ آیا تھا۔ میں آپ کے پاس لائی تو آپ نے کھا لیا۔ مجھے اس پر تعجب ہوا۔ میں نے کہا: اے اللہ کے رسول! آپ تشریف لائے تو آپ کا روزہ تھا، پھر آپ نے حیس کھا لیا؟ آپ نے فرمایا: ’’عائشہ! ہاں۔ رمضان یا قضائے رمضان کے علاوہ نفل روزے رکھنے والے کی مثال تو اس شخص کی طرح ہے جس نے اپنے مال کا صدقہ نکالا تو جس قدر چاہا خرچ کر دیا اور اس کا ثواب حاصل کرل یا اور جتنا چاہا کنجوسی کرتے ہوئے رکھ لیا۔‘‘
------
Sahih Hadees
Sunnan e Nisai Hadees # 2325

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne apni ummat ko gunaho se pakk hone ke liye inmein se kaunse amal karne ka irshad farmaya

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne apni ummat ko gunaho se pakk hone ke liye inmein se kaunse amal karne ka irshad  farmaya

A: Awal waqt mein pacho namaz padne se
B: Salatul Tauba ki namaz padh kar
C: Subah ke waqt 100 baar Astagfaar padh kar
D: Asar ki namaz padh kar
E: Chast ki namaz padh kar
F: Fajar, Asar aur Isha ki namaz jammat se padh kar
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka Intezaar

Note: Agar apka Jawab "G" hain toh sahi jawab likhiye

*************

Sahi Jawab -G✅

Din ke dono hisse (Fajr aur Asar) aur raat(Tahajjud) ke kuch hisso mein namaz padne se banda apne gunaaho se pakk hojata hain

Reference📚:
------
Abdullah bin Masood RadiAllahu Anhu se rivayet ki ke 1 shakhs ne ek aurat ko bosa diya, (phir) woh Nabi Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ki khidmat mein haazir huwa aur is waqiye ka zikar kiya, tab (yeh aayat) nazil huwi din ke dono hisson (fajr aur asar) aur raat ke kuch hisson (tahajjud) mein Namaz qaim rakho, beshak nekiya buraiyon ko durr kar deti hain, yeh yaad dehani hai yaad rakhnay walon ke liye. is shakhs ne kaha Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam kya yeh (basharat) sirf mere liye hai? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya meri ummat mein se jo bhi (gunaaho se pakk honay ke liye) is par Amal kare
-----
Abdullah b. Mas'ud reported that a person kissed a woman and he came to Allah's Apostle (ﷺ)  ‌ and made a mention of that to him. It was (on this occasion) that this verse was revealed: And observe prayer at the (two) ends of the day and in the first hours of the night. Surely, good deeds take away evil deeds. That is a reminder for the mindful (xi. 115). That person said: Allah's Messenger, does it concern me only? He (the Holy Prophet) said: It concerns every one of my Unimah, who acts according to it. 
-----
عبداللہ بن مسعود رضی اللہ عنہ سے روایت کی کہ ایک شخص نے ایک عورت کو بوسہ دیا ،   ( پھر )  وہ نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم کی خدمت میں حاضر ہوا اور اس واقعے کا ذکر کیا ،  تب  ( یہ آیت )  نازل ہوئی :   دن کے دونوں حصوں اور رات کے کچھ حصوں میں نماز قائم رکھو ،  بےشک نیکیاں برائیوں کو دور کر دیتی ہیں ،  یہ یاد دہانی ہے یاد رکھنے والوں کے لیے ۔اس شخص نے کہا :  اللہ کے رسول! کیا یہ  ( بشارت )  صرف میرے لیے ہے؟ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا :   میری امت میں سے جو بھی  ( گناہوں سے پاک ہونے کے لیے )  اس پر عمل کرے ۔ 
------   
Sahih Hadees
Sahih Muslim Hadees # 7001

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne uss khatoon ko unke gair hazri mein kis se milne ko kaha

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Ek baar ek khatoon Nabi Kareem Sallallahu Alaihi WaSallam ke pass ayi aur kisi mamle par Aap Sallallahu Alaihi wasallam se guftugu karne lagi tabhi Nabi Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya ke App dobara mere pass ayee toh uss khatoon ne farmaya agar app unhe na mile toh wo kya kare

Sawal: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne uss khatoon ko unke gair hazri mein kis se milne ko kaha

A: Ayesha RadiAllahu Anhu 
B: Umar RadiAllahu Anhu 
C: Othman RadiAllahu Anhu
D: Fatema RadiAllahu Anhu
E: Abu Bakr RadiAllahu Anhu
F: Zaid bin Harith RadiAllahu Anhu
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka intezaar

❗Note  Agar apka jawab "G" hain toh sahi jawab likiye

*****************

Sahi Jawab - E✅

Abu Bakr RadiAllahu Anhu ka rutba

Reference📚:
-------
Nabi kareem Sallallahu Alaihi wasallam ke  paas ek  khatoon ayen aur kisi maamle mein Aap se guftagu ki, phir Nabi Kareem Sallallahu Alaihi wasallam ne un se kaha ke woh dobarah Aap ke paas ayen. unhon ne arz kiya Ya Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallan agar mein aon aur aap ko na paon toh phir Aap kya farmate hain? jaisay un ka ishara wafaat ki taraf ho. Nabi Kareem Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya ke agar mujhe nah pao to Abu Bakr RadiAllahu Anhu ke paas aaoo
------
Narrated Jubair bin Mut`im: A woman came to the Prophet and spoke to him about something and he told her to return to him. She said, O Allah's Apostle! If I come and do not find you? (As if she meant, ...if you die? ) The Prophet said, If you should not find me, then go to Abu Bakr.
-----
 نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم کے پاس ایک خاتون آئیں اور کسی معاملہ میں آپ سے گفتگو کی، پھر نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے ان سے کہا کہ وہ دوبارہ آپ کے پاس آئیں۔ انہوں نے عرض کیا: یا رسول اللہ! اگر میں آؤں اور آپ کو نہ پاؤں تو پھر آپ کیا فرماتے ہیں؟ جیسے ان کا اشارہ وفات کی طرف ہو۔ نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ اگر مجھے نہ پاؤ تو ابوبکر کے پاس آئیو۔ 
------
Sahih Hadees
Sahih Bukhari Hadees # 7220

Kaun log kamiyab hogaye

❗Only-Quran-Hadith-Quran❗

Jawab ek se ziyada hai

Sawal: Kaun log kamiyab hogaye

A: jis ko islam ki hidayat mili
B: jo apne gharwalo ka haq adda kare
C: jo iman laye
D: jo waledain ki farmabadari kare
E: jo salam mein pehal karte hai
F: jo hauz e kauther tak pahoch jaye
G: jo jahanum ki aag ke bach kar jannat mein dhakil kar diya gaya
H: jo Sila Rehami kare


I: Sahi Jawab ka Intezaar

****************

Sahi Jawab - ACFG✅

wo log joh kamiyab hogaye

Reference📚:
--------
Fadala bin Abaid RadiAllahu Anhu se rivayat hai ke unhone Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ko farmate huwe suna ki jiss shaqs ko Islam ki hidayat de di gayi wo kamiyab hogaya is ke wasail guzare jitne thy aur iss par usne qannat ki
------
فضالہ بن عبید سے مرفوعا مروی ہے كہ انہوں نے رسول اللہ  ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌کو فرماتے ہوئے سنا: جس شخص كواسلام كی ہدایت دے دی گئی وہ كامیاب ہوگیا۔اس کے وسائل گذارے جتنے تھے اور اس پر اس نے قناعت كی
------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 958
***********
Abu Saeed RadiAllahu Anhu se rivayat hai ke Allah Subahanhu Taala ne Jannat ko banaya, ek eent sonay ki ek chandi ki  is ka gaara Kastoori ka, phir Jannat se kaha baat karo Jannat ne kaha yaqeenan Imaan walay kamiyab hogaye Farishton ne kaha tumahray liye khushkhabri ho, badshahon ke theharnay ki jagah.
-------
ابو سعید رضی اللہ عنہ  سےموقوفا و مرفوعا مروی ہے كہ: اللہ تعالیٰ نے جنت كو بنایا، ایك اینٹ سونے كی ایك چاندی كی، اس كا گارا كستوری كا ، پھر جنت سے كہا: بات كرو جنت نے کہا: یقینا ایمان والے كامیاب ہوگئےفرشتوں نے كہا: تمہارے لئے خوشخبری ہو، بادشاہوں کے ٹھہرنے کی جگہ۔ 
-------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 1480
***********
Abdullah bin Abbas RadiAllahu Anhu se rivayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alahi wasallam ne farmaya mein tumhe peechay se pakad kar aag se rok raha hon aur keh raha hon jahannum se bachcho, hudood se bachcho, jab mein faut hojaoga toh hauz par tumhara intezaar karooga,  jo hauz tak pahooch gaya woh kamiyab ho gaya. Ek qoum aayegi to inhen baen taraf se pakad liya jaye ga mein kahonga : Eh Mere RABB meri ummat. mujh se kaha jayega Aap ko nahi maloom ke unhon ne aap ke baad kitne naye kam ( Biddaat ) ijaad kye aur apni ediyo ke bal deen se phir gaye
--------
  عبداللہ بن عباس رضی اللہ عنہما سے مروی ہے كہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: میں تمہیں پیچھے سے پكڑ كر آگ سے روك رہا ہوں اور كہہ رہا ہوں: جہنم سے بچو،حدود سے بچو،   جب میں فوت ہوجاؤں گا تو حوض پر تمہارا انتظار كروں گا، جو حوض تك پہنچ گیا وہ كامیاب ہو گیا۔ ایك قوم آئے گی تو انہیں بائیں طرف سے پكڑ لیا جائے گا۔ میں كہوں گا: اے میرے رب   میری امت۔ مجھ سے كہا جائے گا: آپ كو نہیں معلوم كہ انہوں نے آپ كے بعد كتنے نئے كام (بدعات) ایجاد كئے اور اپنی ایڑیوں كے بل دین سے پھر گئے
----‐--
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 1617
**********
Abu Hurairra RadiAllahu Anhu se rivayat hai ke Nabi Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Jannat mein Ek chaabuk rakhe ki jagah duniya aur jo kuch is mein hai, is sab se behtar hai. aur yeh aayat padhi : Surah Ale Imran (03:185) Jo shakhs aag se bacha kar Jannat mein daakhil kar diya gaya woh kamiyab ho gaya, aur duniya ki zindagi toh dhoke ka samaan hai
-------
ابو ہریرہ‌رضی اللہ عنہ سے مروی ہے كہ نبی صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: جنت میں ایك چابک  ركھےك كی جگہ دنیا اور جو كچھ اس  میں ہے، اس سب سے بہتر ہے۔ اور یہ آیت پڑھی: 3   آل عمران.185”جو شخص آگ سے بچا كر جنت میں داخل كر دیا گیا وہ كامیاب ہو گیا، اور دنیا كی زندگی تو دھوكے كا سامان ہے“
-------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 1510

Allah Subhanahu se kisne farmaya ke tune apne saare makhluq ka rizaq bayan kar diya..

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Allah Subhanahu se kisne farmaya ke tune apne saare makhluq ka rizaq bayan kar diya..

A: Adam Alaihi Salam
B: Arsh utane wale Farishtey
C: Jannat mein jane wale log
D: Isa Alaihi Salam
E: Musa Alaihi Salam 
F: Iblis
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka intezaar

❗Note: Agar apka jawab G hai toh sahi jawab likhiye

***************

Sahi Jawab - F✅

Iblis ka rizaq har uss cheez mein hai jismein Allah Subhanahu ka naam nahi liya gaya

Reference📚:
------
Abdulah bin Abbas RadiAllahu Anhu se rivayat hai ke Iblis ne kaha (Eh Allah) tu ne apni saari makhlooq ka rizaq bayan kar diya, mera rizaq ks cheez mein hai? Allah Subahnahu  taala ne farmaya is mein jis mein mera naam nahi liya gaya
-----
عبداللہ بن عباس رضی اللہ عنہما سے مرفوعا مروی ہے كہ: ابلیس نے كہا: (اے اللہ) تو نے اپنی ساری مخلوق كا رزق بیان كر دیا، میرا رزق كس چیز میں ہے؟ اللہ تعالیٰ نے فرمایا: اس میں جس میں میرا نام نہیں لیا گیا
-----
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 1254

Sabse badi fazeelat wali neki kisse kaha gaya hai

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Sabse badi fazeelat wali neki kisse kaha gaya hai

A: Salam mein pehal karna
B: pani peelana
C: bhuke ko khana khilana 
D: La ilaha Illalaha kehna
E: SubhanAllahi wa biHamdihi, Subhan-Allahil-azeem kehna
F: Sila Rehami karna
G: Waledain ki kidmat karna
H: Inmein se koi nahi

I: Sahi Jawab ka intezaar

Note agar apka jawab "H" hai toh sahi jawab likhiye

**************

Sahi Jawab - D✅

Sabse ziyada fazeelat wali neki La ilaha Illalaha kehna hain

Reference📚:
--------
Sayedna Abu Zar RadiAllahu Anhu se rivayat hain wo kehte hai ke mein ne kaha Eh Allah ke Rasool Sallallahu  Alaihi Wasallam apo mujhe wasiyat kariye Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya jab buraiee hojaye to iss ke baad neki karo taakay wo buraiee ke asar ko mitta de. Mein ne kaha Eh Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam kya La illaha illalaha ( لَا اِلٰہَ إِلَّا اللّٰہُ ) bhi neki hai? Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya yh toh sabse ziyada fazeelat wali neki hai
------
 ۔ سیدنا ابو ذر  ‌رضی ‌اللہ ‌عنہ سے مروی ہے، وہ کہتے ہیں: میں نے کہا: اے اللہ کے رسول! آپ مجھے وصیت کریں، آپ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  نے فرمایا:  جب برائی ہو جائے تو اس کے بعد نیکی کر، تاکہ وہ برائی کے اثر کو مٹا دے۔  میں نے کہا: اے اللہ کے رسول! کیا لَا اِلٰہَ إِلَّا اللّٰہُ بھی نیکی ہے؟ آپ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  نے فرمایا:  یہ تو سب سے زیادہ فضیلت والی نیکی ہے۔  
-----
Sahih Hadees
Musnad Ahmed Hadees # 5423

Ek baar ek sahabi ne farmaya ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi WaSallam ne unhe bechaini aur sakhti ke waqt ek dua padne ki taleem di

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Ek baar ek sahabi ne farmaya ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi WaSallam ne unhe bechaini aur sakhti ke waqt ek dua padne ki taleem di

Sawal: wo dua kaunsi thi


A.
يَا حَىُّ يَا قَيُّومُ بِرَحْمَتِكَ أَسْتَغِيثُ
Ya Hayyu Ya Qayyum, Bi-Raḥmatika Astagith
B.
اللَّهُ  اللَّهُ رَبِّي لَا أُشْرِكُ بِهِ شَيْئَاً
Allahu, Allahu Rabbi La Ushrika Behi shayaa
C.
الْحَمْدُ لِلَّهِ الَّذِي عَافَانِي مِمَّا ابْتَلاَكَ بِهِ وَفَضَّلَنِي عَلَى كَثِيرٍ مِمَّنْ خَلَقَ تَفْضِيلاً
Al-Hamdulillahi Alladhi Aafani Mimmabtalaka bihi wa faddalani Ala kathirin mimman khalaqa tafdila
D.
إِنَّا لِلَّهِ وَإِنَّا إِلَيْهِ رَاجِعُونَ اللَّهُمَّ أْجُرْنِي فِي مُصِيبَتِي وَأَخْلِفْ لِي خَيْرًا مِنْهَا ‏
inna Lillahi Wa inna ilahi rajeuun , Allahumma Ajurni fi Musibati Wa Akhlifli Khairam Minha
E.
 لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ رَبُّ الْعَرْشِ الْعَظِيمِ
La ilaha illAllahul Rabbul Arsh-il-Azeem
F.  
لَا اِلٰہَ إِلَّا اللّٰہُ الْحَلِیمُ الْکَرِیمُ ،سُبْحَانَ اللّٰہِ وَتَبَارَکَ اللّٰہُ رَبُّ الْعَرْشِ الْعَظِیمِ، وَالْحَمْدُ لِلّٰہِ رَبِّ الْعَالَمِینَ
La ilaha illAllahul Al halimul kareem SubhanAllahi wa tabarakAllahu Rabbul Arsh-il-Azeem wal-Hamdulillahi Rabbul Aalameen 

G. Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka Intezaar

❗Note agar apka jawab "G" hai toh apna sahi jawab likhiye

***************

Sahi Jawab - F✅

Bechaini aur Sakhti ke waqt padhne ki dua

Reference📚:
----
Sayedna Ali bin Abu Talib RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke wo kehte hai Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne mujhe bechaini aur sakhti ke waqt yh dua padhne ki taleem di thi  

‌لَا اِلٰہَ إِلَّا اللّٰہُ الْحَلِیمُ الْکَرِیمُ ،سُبْحَانَ اللّٰہِ وَتَبَارَکَ اللّٰہُ رَبُّ الْعَرْشِ الْعَظِیمِ، وَالْحَمْدُ لِلّٰہِ رَبِّ الْعَالَمِینَ

(Nahi hai koi mabood barhaq, siwaye Allah ke, woh Burdbar aur kareem hai, Allah paak hai, Allah taala babarkat hai, jo Arsh Azeem ka RABB hai, aur saari tareef is Allah ke liye hai, jo Jahanumo ka RABB hai)
-------
 ۔ سیدنا علی بن ابو طالب  ‌رضی ‌اللہ ‌عنہ  سے مروی ہے، وہ کہتے ہیں: رسول اللہ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  نے مجھے بے چینی اور سختی کے وقت یہ دعا پڑھنے کی تعلیم دی:   لَا اِلٰہَ إِلَّا اللّٰہُ الْحَلِیمُ الْکَرِیمُ ،سُبْحَانَ اللّٰہِ وَتَبَارَکَ اللّٰہُ رَبُّ الْعَرْشِ الْعَظِیمِ، وَالْحَمْدُ لِلّٰہِ رَبِّ الْعَالَمِینَ (نہیں ہے کوئی معبودِ برحق، سوائے اللہ کے، وہ بردبار اور کریم ہے، اللہ پاک ہے، اللہ تعالیٰ بابرکت ہے، جو عرشِ عظیم کا ربّ ہے، اور ساری تعریف اس اللہ کے لیے ہے، جو جہانوں کا ربّ ہے)۔
-----
Sahih Hadees
Musnad Ahmed Hadees # 5575

kaunse shaqs ko Allah Subahnahu Qayamat ke din badnami ke maqaam par khada karega

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: kaunse shaqs ko Allah Subahnahu Qayamat ke din badnami ke maqaam par khada karega

A: Logo ke Aibon ko dhundne wale
B: Jhooti kasam khane wale 
C: Gumrah Aaleem
D: Logo ki beizzati karne wale 
E: Logo ko dhoka dene wale
F: Amanat mein khayanat karne wale 
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka Intezaar

Note: Agar apka jawab "G" hai toh sahi jawab likhiye

**************

Sahi Jawab - G✅

Jo shaqs kisi musalman ke badlay shohrat ki jagah khada huwa toh qayamat ke din wo badnami ke maqaam par khada hoga

Reference📚:

Nabi Sallallahu Alaihi WaSallam ne fatmaya  jis shakhs ne kisi musalman ke badlay ek luqmah (haraam) khaya Allah Subhanahu taala usay jahannum se itna he khilayega, aur jis shakhs ns kisi musalman ke badlay ek kapda pehna Allah Subhanahu taala usse Jahannum mein itna he kapde pehnayega aur jo shakhs kisi musalman ke badlay shohrat ki jagah khada huwa Allah Subhanahu taala qayamat ke din usay badnami ke maqam par khada kardega.
------
نبی صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: جس شخص نےکسی مسلمان کےبدلےایک لقمہ(حرام)کھایا اللہ تعالیٰ اسے جہنم سے اتنا ہی کھلائے گا، اور جس شخص نے کسی مسلمان کے بدلےایک کپڑا پہنا اللہ تعالیٰ اسے جہنم میں اتنا ہی کپڑاپہنائے گا ،ا ور جو شخص کسی مسلمان کے بدلے شہرت کی جگہ کھڑا ہوا  اللہ تعالیٰ قیامت کے دن اسے بدنامی کے مقام پر کھڑا کردے گا۔
------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 407

Inmein se kis ke liye ye farmaya gaya hai ki wo sawab se mehrum ho jata hai

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Inmein se kis ke liye ye farmaya gaya hai ki wo sawab se mehrum ho jata hai

A: Ziyada hasne wala
B: Ziyada khane wala
C: bahut ziyada baate karne wala
D: Ziyada sone wala
E: Salam ka jawab nahi dene wala 
F: Zuban ki hifazat nahi karne wala
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka Intezaar

Note: agar apka jawab G hai toh sahi jawab likhiye

*******

Sahi Jawab -E✅

Jo Salam ka jawab nahi dete wo ajar se mehroom hojata hai 

Reference📚:
------
Abdul Rehman bin Sahibil RadiAllahu Anhu se rivayat hai ke mein ne Nabi Sallallahu Alaihi wasallam se suna farma rahe thy sawaar paidal chalne walay ko salam kahey, paidal chalne wala baithy huwe shakhs ko salam kahey, thode log ziyada logon ko salam kahin, jis shakhs ne salam ka jawab diya is ke liye ajar hai aur jis shakhs ne  salam ka jawab nahi diya is ke liye koi ajar nahi
-----
عبدالرحمن بن شبل رضی اللہ عنہ  سے مروی ہے کہ میں نے نبی صلی اللہ علیہ وسلم سے سنا فرما رہے تھے : سوار پیدل چلنے والے کو سلام کہے، پیدل چلنے والا بیٹھے ہوئے شخص کو سلام کہے، تھوڑے لوگ زیادہ لوگوں کو سلام کہیں، جس شخص نے سلام کا جواب دیا اس کے لئے اجر ہے اور جس شخص نے سلام کا جواب نہیں دیا اس کے لئے کوئی اجر نہیں
------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 469

kaunse amal mein pehal karna afzal kaha gaya hai

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: kaunse amal mein pehal karna afzal kaha gaya hai

A: Namaz awal waqt mein ada karna
B: Salam karna
C: Maaf karna
D: Khana khilana
E: Pani pilana
F: Musafah karna
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka intezaar

❗Note agar apka jawab G hai toh sahi jawab likhiye

********

Sahi Jawab - B✅

Jo shaqs Salam mein pehal kare wo Afzal hai

Reference📚:
-----
Jabir RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke sawaar shakhs paidal chalne walay ko salam kahey, paidal chalne wala baithy huwe shakhs ko salam kahey, aur do paidal chalne walon mein jo salam mein pehal kare woh afzal hai
-----
جابر‌رضی اللہ عنہ سے موقوفا مروی ہے کہ: سوار شخص پیدل چلنے والے کو سلام کہے، پیدل چلنے والا بیٹھے ہوئے شخص کو سلام کہے، اور دو پیدل چلنے والوں میں جو سلام میں پہل کرے وہ افضل ہے۔
-----
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 471

Roze ki halat mein wazu karte waqt inmein se kya nahi karna chahaiye

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Sawal : Roze ki halat mein wazu karte waqt inmein se kya nahi karna chahaiye 

A. Kulli 
B. Naak mein paani chadana 
C. Thande paani ka istemal
D. Miswak
E. Garam pani ka istemal
F. In mein se koi nahi

G. Sahi Jawab ka intezaar

Note agar apka jawab F hai toh sahi jawab likhiye

********
Sahi Jawab - B ✅

Roze ki halat mein wadu karte waqt naak mein pani chadane se mubaligha karo

Reference📚
-----
Mein ne Arz kiya Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam mujhe wudu ke bare mein bataiye! Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya : tum mukammal taur par wudu karo, aur naak mein pani chadhane mein mubaligha karo, ila yeh ke tum roze se ho.
-----
It was narrated from 'Asim bin Laqit bin Sabrah that his father said: "I said: 'O Messenger of Allah! Tell me about ablution.' He said: 'Perform ablution properly and sniff water up into your nostrils, thoroughly, unless you are fasting.'"
----'
میں نے عرض کیا: اللہ کے رسول(ﷺ)! مجھے وضو کے بارے میں بتائیے! آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: تم مکمل طور پر وضو کرو، اور ناک میں پانی چڑھانے میں مبالغہ کرو، الا یہ کہ تم روزے سے ہو ۔
------
Grade: Sahih (Darussalam)
Sunnan e Ibn Maja hadees # 407
English reference : Vol. 1, Book 1, Hadith 407Arabic reference : Book 1, Hadith 441

aisa kaunsa amal hai jo karne wale ko jahannam ki taraf hank kar le jayega

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: aisa kaunsa amal hai jo karne wale ko jahannam ki taraf hank kar le jayega

A: Jhooth bolne wala
B: Geebat karne wala
C: Pakki ka kahayal nahi rakhne wala
D: Quran nahi padhne wala
E: Namaz qayyam nahi karne wala
F: Biddat ka ijaad karne wala
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka intezaar

❗Note agar apka jawab G hai toh sahi jawab likhiye

**********
Sahi Jawab - D✅

Quran sifarish karne wala hai aur iski sifarish qubul ki jati hai

Reference📚:
-----------
Jabir Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya Quran sifarish karne wala hai aur iski sifarish qubulki jayegi jo shaks isko apne saamne rakhega usko ye jannat ki taraf le jayega aur jo isko (Quran ko) apni peeth ke peeche rakh dega (yani nahi padhega) usko jahannam ki taraf hank kar le jayega
---------
جابر‌رضی اللہ عنہ  سے مروی ہے کہ نبی  ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌نے فرمایا: قرآن سفارش کرنے والا ہے اور اس کی سفارش قبول کی جائے گی  ۔ جو شخص اسے اپنے سامنے رکھے گا اسے جنت کی طرف لے جائے گا اور جو اسے اپنی پیٹھ کے پیچھے رکھ دیگا (یعنی نہیں پڑھےگا ) اسے جہنم کی طرف ہانک کر لے جائے گا
السلسلہ صحیحہ ۲۸۷۶
--------
Narrated by Jabir Radi Allahu Anhu Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam said The Quran is an intercessor whose intercession will be accepted, Whoever puts it in front of him, it will lead him to Paradise, and whoever puts it behind his back, it will drive him to Hell. 
-----
Al-Silsila-As-Sahiha-2876

Aur tum aisay logon ki taraf mat jhukna jo zulm kar rahay hain.






Bismillahirrahmannirrahim

وَلَا تَرْكَنُوا إِلَى الَّذِينَ ظَلَمُوا
-----
Aur tum aisay logon ki taraf mat jhukna jo zulm kar rahay hain.
-----
اور تم ایسے لوگوں کی طرف مت جھکنا جو ظلم کر رہے ہیں
-----
And do not incline toward those who do wrong
-----
Surah Al Hud: (11:13)


Tum Allah se bakhshish kyun talabb nahi karte taakay tum par raham kiya jaye






Bismillahirrahmannirrahim

لَوْلَا تَسْتَغْفِرُونَ اللَّـهَ لَعَلَّكُمْ تُرْحَمُونَ
-----
Tum Allah se bakhshish kyun talabb nahi karte taakay tum par raham kiya jaye
-----
 تم اللہ سے بخشش کیوں طلب نہیں کرتے تاکہ تم پر رحم کیا جائے
----
Why do you not seek forgiveness of Allah that you may receive mercy?"
----
Surah An Naml: (27:46)



"Aur jahan kahin tum ho wo (ALLAH) tumharay saath hain".




Bismillahirrahmannirrahim

وَهُوَ مَعَكُمْ أَيْنَ مَا كُنتُمْ
----
"Aur jahan kahin tum ho wo (ALLAH) tumharay saath hain".
----
 اور جہاں کہیں تم ہو وه (اللہ) تمہارے ساتھ ہے
----
"And He (ALLAH) is with you wherever you are".
----
Surat Al Hadid (57:04)

Jo tumhare dilon mein hai tumhara RABB khoob jaanta hai




Bismillahirrahmannirrahim

رَّبُّكُمْ أَعْلَمُ بِمَا فِي نُفُوسِكُمْ
-----
Jo tumhare dilon mein hai tumhara RABB khoob jaanta hai
-----
 جو تمہارے دلوں میں ہے تمہارا رب خوب جانتا ہے
-----
Your Lord knows what is in your heart.
-----
Surah Al Isra: (17:25) 

Allah ke liye Misalein na banao, Allah janta hai tum nahi jante




Bismillahirrahmannirrahim

فَلَا تَضْرِبُوا لِلَّهِ الْأَمْثَالَ ۚ إِنَّ اللَّهَ يَعْلَمُ وَأَنتُمْ لَا تَعْلَمُونَ
-------
Allah ke liye Misalein na banao, Allah janta hai tum nahi jante
-------
اللہ کے لیے مثالیں نہ بناؤ ، اللہ جانتا ہے، تم نہیں جانتے
-------
So do not assert similarities to Allah. Indeed, Allah knows and you do not know.
-------
Surah An Nahal: (16:74)

Aur woh rotay huwe muh ke bal gir parte hain aur yeh (Quran) un ke Khushu o Khuzoo mein izafah kar deta hai.




Bismillahirrahmannirrahim

وَيَخِرُّونَ لِلْأَذْقَانِ يَبْكُونَ وَيَزِيدُهُمْ خُشُوعًا
-----
Aur woh rotay huwe muh ke bal gir parte hain aur yeh (Quran) un ke Khushu o Khuzoo mein izafah kar deta hai.  
-----
اور وہ روتے ہوئے منہ کے بل گر پڑتے ہیں۔ اور یہ (قرآن) ان کے خشوع و خضوع میں اضافہ کر دیتا ہے۔ 
-----
They fall down on their faces weeping, And the Quran increases them in humble submission.
-----
Surah Al Isra: (17:109)

Allah ke siwa koi mabood barhaq nahi aur momino ko Allah he par tawakkal rakhna chahiye




Bismillahirrahmannirrahim

اللَّهُ لَا إِلَـٰهَ إِلَّا هُوَ ۚ وَعَلَى اللَّهِ فَلْيَتَوَكَّلِ الْمُؤْمِنُونَ 
-------
Allah ke siwa koi mabood barhaq nahi aur momino ko Allah he par tawakkal rakhna chahiye
-------
اللہ کے سوا کوئی معبود برحق نہیں اور مومنوں کو اللہ ہی پر توکل رکھنا چاہئے
-------
Allah! none has the right to be worshipped but He, and in Allah (Alone), therefore, let the believers put their trust.
-------
Surah At-Taghabun: (64:13)

Beshak, baatil ko mitna he tha




Bismillahirrahmannirrahim

إِنَّ الْبَاطِلَ كَانَ زَهُوقًا
------
Beshak, baatil ko mitna he tha
------
بیشک باطل کو مٹنا ہی تھا
------
Indeed falsehood is bound to vanish
------
Surah Al Isra: (17:81)

Allah sab se behtar hifazat karne wala hain





Bismillahirrahmannirrahim

فَاللَّهُ خَيْرٌ حَافِظًا
------
Allah sab se behtar hifazat karne wala hain
------
اللہ سب سے بہتر حفاظت کرنے والا ہے
------
Allah is the best Guardian.
------
Surah Al Yusuf: (12:64)

Sabse Zyada Meharban




Bismillahirahmanirrahim

الرَّحْمَـٰنُ
Ar-Rahman
-----
Sabse Zyada Meharban
-----
سب سے زیادہ مہربان
-----
The Most Merciful
------
Surah Rahman: (55:01)

Allah Subhanahu ke hukm ke bagair koi museebat nahi aati




Bismillahirahmanirrahim

مَا أَصَابَ مِن مُّصِيبَةٍ إِلَّا بِإِذْنِ اللَّهِ
-----
Allah Subhanahu ke hukm ke bagair koi museebat nahi aati
-----
الله کے حکم کے بغیر کوئی مصیبت  نہیں آتی
-----
No disaster strikes except by permission of Allah
-----
Surah Al Taghaboon: (64:11)

Aur agar Allah logon ko un ke zulm ke sabab pakadne lagey to Zameen par kisi Jandaar ko na chorhey




Bismillahirrahamannirrahim

وَلَوْ يُؤَاخِذُ اللَّهُ النَّاسَ بِظُلْمِهِم مَّا تَرَكَ عَلَيْهَا مِن دَابَّةٍ 
-------
Aur agar Allah logon ko un ke zulm ke sabab pakadne lagey to Zameen par kisi Jandaar ko na chorhey
------
اور اگر الله لوگوں کو ان کے ظلم کے سبب پکڑنے لگے  تو زمین پر کسی جاندار کو نہ چھوڑے
------
And if Allah were to punish (all) mankind for their wrongdoing, He would not leave on it (the earth) a single moving creature
------
Surah An Nahal: (16:61)

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...