❗Only-Quran -Hadith-Quiz❗
Sawal: Yh misaal kis shakhs ke liye farmayi gayi hai goya jis ne apne maal ka sadqa nikala toh jis qader chaha kharch kar diya aur is ka sawab haasil kar liya aur jitna chaha kanjoosi karte huwe rakh liya
A: Nafil Namaz padne wale
B: Nafil Roze rakhne wale
C: Har Mahine 13, 14, 15 ke roze rakhne wale
D: Shawaal ke roze rakhne wale
E: Shabaan ke roze rakhne wale
F: Peer aur Jumeerat ke roze rakhne wale
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka Intezaar
Note agar apka jawab G hai toh sahi jawab likhiye
***************
Sahi Jawab - B✅
Nafil roze rakne walo ke liye misal
Reference📚:
--------
Hazrat Aisha RadiAllahu Anhu farmaati hain ke ek dafaa Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne mere paas chakkar lagaya aur farmaya :' ' tumahare paas koi khanay ki cheez hai Mein ne arz kiya : Mere paas koi cheez nahi hai. Aap ne farmaya "phir mein roza rakh leta hon.' ' phir (kisi din) dobarah tashreef laaye. itefaqan hamaray paas Hais ka tohfa aaya tha. mein Aap ke paas layi to Aap ne kha liya. mujhe is par taajjub huwa, mein ne kaha Eh Allah ke Rasool! Aap tashreef laaye to Aap ka roza tha, phir Aap ne hais kha liya? Aap ne farmaya Aisha! haan. Ramdhan ya qazaye Ramdhan ke ilawa Nafil roze rakhnay walay ki misaal to is shakhs ki terhan hai jis ne apne maal ka sadqa nikala to jis qader chaha kharch kar diya aur is ka sawab haasil kar liya aur jitna chaha kanjoosi karte huwe rakh liya
------
It was narrated that 'Aishah said: The Messenger of Allah passed by my door. He said: 'Do you have anything (to eat)?' I said 'I do not have anything.' He said 'Then he passed by my door a second time and we had been given some Hais. I brought it to him and he ate, and I was surprised. I said: 'O Messenger of Allah, you were fasting, then you ate Hais.' He said: 'Yes, O 'Aishah. The one who observes a fast other than in Ramadan, or making up a missed Ramadan, fast, is like a man who allocated some of is wealth to give in charity; if he wishes he may go ahead and give it, and if he wishes he may keep it. '
-----
حضرت عائشہؓ فرماتی ہیں کہ ایک دفعہ رسول اللہﷺ نے میرے پاس چکر لگایا اور فرمایا: ’’تمہارے پاس کوئی کھانے کی چیز ہے؟‘‘ میں نے عرض کیا: میرے پاس کوئی چیز نہیں ہے۔ آپ نے فرمایا: ’’پھر میں روزہ رکھ لیتا ہوں۔‘‘ پھر (کسی دن) دوبارہ تشریف لائے۔ اتفاقاً ہمارے پاس حیس کا تحفہ آیا تھا۔ میں آپ کے پاس لائی تو آپ نے کھا لیا۔ مجھے اس پر تعجب ہوا۔ میں نے کہا: اے اللہ کے رسول! آپ تشریف لائے تو آپ کا روزہ تھا، پھر آپ نے حیس کھا لیا؟ آپ نے فرمایا: ’’عائشہ! ہاں۔ رمضان یا قضائے رمضان کے علاوہ نفل روزے رکھنے والے کی مثال تو اس شخص کی طرح ہے جس نے اپنے مال کا صدقہ نکالا تو جس قدر چاہا خرچ کر دیا اور اس کا ثواب حاصل کرل یا اور جتنا چاہا کنجوسی کرتے ہوئے رکھ لیا۔‘‘
------
Sahih Hadees
Sunnan e Nisai Hadees # 2325
Alhumdulillah beautifully designed Islamic Images in Arabic, Azkar Quran Short Ayat Dua.
Islamic Images
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo
Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...
-
Bismillahirrahmanirrahim Jannat kahti hai ki YA ALLAH isko jannat mein dakhil farma ----------------- Rasool-Al...
-
Bismillahirahmanirrahim Wa antum fa JazakAllahu khairan --- Aur aapko bhi Allah aapko bhi achcha Sila ataa farmaye --- And you ...
-
Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...
-
Bismillahirrahmannirrahim اللَّهُمَّ اسْتُرْ عَوْرَتِي وَآمِنْ رَوْعَاتِي Allahummastur awrati, wa amin raw'ati ----- Eh Allah Mere A...
No comments:
Post a Comment