Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Tuesday 21 April 2020

yh misal kiske liye farmaye gayi hai goya sonay ke tukde ki tarah hain.

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: yh misal kiske liye farmaye gayi hai goya sonay ke tukde ki tarah hain.

A: Muazzin
B: Allah ki raza ke liye Ilm hasil karne wala
C: Rozedaar
D: Shaheed
E: Momeen
F: Mujahid
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka intezaar

Note agar apka jawab G hai toh sahi jawab likhiye

**********

Sahi Jawab - E✅

Momeen ki misaal sonay ke tukde ki tarah hain

Reference📚:
---------
Rasool-Allah Sallalahu Alaihi wasallam ne farmaya Allah ta'ala bud goi aur fahash goi ko na pasand karta hai. is zaat ki qasam jis ke haath mein meri jaan hai Qayamat is waqt taq qaim nahi hogi jab tak Ameen ko khain na samjha jaye aur khain ko Ameen na samjha jaaney lagey, aur fahash goi, bud goi, qata rehmi aur bure padosi ki aksariyat na ho jaye. Momeen ki misaal sonay ke tukde ki tarah ke iss ke Malik ne is mein phook  maari na to yeh tabdeel huwa na he kum huwa is zaat ki qasam jis ke haath mein Mohammad Sallallahu Alaihi wasallam ki jaan hai! Momin ki misaal khajuro ki darakht ki terhan hai jo saaf khurak haasil karta hai aur Pakiza phal deta hai. agar zameen par gir bhi jaye to kharab nahi hota nah hi toot-ta hai .
--------
عبداللہ بن عمرو بن العاص رضی اللہ عنہما سے مرفوعا مروی ہے كہ رسول اللہ  ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌نے فرمایا: اللہ تعالیٰ بدگوئی اور فحش گوئی كو نا پسند كرتا ہے۔ اس ذات كی قسم جس كے ہاتھ میں میری جان ہے   قیامت اس وقت تک قائم نہیں ہوگی جب تك امین  کو خائن نہ سمجھا جائے اور خائن کو امین نہ سمجھا جانے لگے،اورفحش گوئی،بدگوئی، قطع رحمی اور برے پڑوسیوں كی اكثریت نہ ہو جائے۔ مومن كی مثال سونے كے ٹكڑے كی طر ح ہےكہ اس كے مالك نے اس میں پھونك ماری نہ تو یہ تبدیل ہو ااورنہ كم ہوا۔ اس ذات كی قسم جس كے ہاتھ میں محمد  ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌كی جان ہے!  مومن كی مثال كھجور كے درخت كی طرح ہے جو صاف خوراك حاصل كرتا ہے اور پاكیزہ پھل دیتا ہے۔ اگر زمین پر گر بھی جائے تو خراب نہیں ہوتا نہ ہی ٹوٹتا ہے۔
-------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 1344

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...