❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Sawal: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne apni ummat ko gunaho se pakk hone ke liye inmein se kaunse amal karne ka irshad farmaya
A: Awal waqt mein pacho namaz padne se
B: Salatul Tauba ki namaz padh kar
C: Subah ke waqt 100 baar Astagfaar padh kar
D: Asar ki namaz padh kar
E: Chast ki namaz padh kar
F: Fajar, Asar aur Isha ki namaz jammat se padh kar
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka Intezaar
Note: Agar apka Jawab "G" hain toh sahi jawab likhiye
*************
Sahi Jawab -G✅
Din ke dono hisse (Fajr aur Asar) aur raat(Tahajjud) ke kuch hisso mein namaz padne se banda apne gunaaho se pakk hojata hain
Reference📚:
------
Abdullah bin Masood RadiAllahu Anhu se rivayet ki ke 1 shakhs ne ek aurat ko bosa diya, (phir) woh Nabi Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ki khidmat mein haazir huwa aur is waqiye ka zikar kiya, tab (yeh aayat) nazil huwi din ke dono hisson (fajr aur asar) aur raat ke kuch hisson (tahajjud) mein Namaz qaim rakho, beshak nekiya buraiyon ko durr kar deti hain, yeh yaad dehani hai yaad rakhnay walon ke liye. is shakhs ne kaha Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam kya yeh (basharat) sirf mere liye hai? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya meri ummat mein se jo bhi (gunaaho se pakk honay ke liye) is par Amal kare
-----
Abdullah b. Mas'ud reported that a person kissed a woman and he came to Allah's Apostle (ﷺ) and made a mention of that to him. It was (on this occasion) that this verse was revealed: And observe prayer at the (two) ends of the day and in the first hours of the night. Surely, good deeds take away evil deeds. That is a reminder for the mindful (xi. 115). That person said: Allah's Messenger, does it concern me only? He (the Holy Prophet) said: It concerns every one of my Unimah, who acts according to it.
-----
عبداللہ بن مسعود رضی اللہ عنہ سے روایت کی کہ ایک شخص نے ایک عورت کو بوسہ دیا ، ( پھر ) وہ نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم کی خدمت میں حاضر ہوا اور اس واقعے کا ذکر کیا ، تب ( یہ آیت ) نازل ہوئی : دن کے دونوں حصوں اور رات کے کچھ حصوں میں نماز قائم رکھو ، بےشک نیکیاں برائیوں کو دور کر دیتی ہیں ، یہ یاد دہانی ہے یاد رکھنے والوں کے لیے ۔اس شخص نے کہا : اللہ کے رسول! کیا یہ ( بشارت ) صرف میرے لیے ہے؟ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا : میری امت میں سے جو بھی ( گناہوں سے پاک ہونے کے لیے ) اس پر عمل کرے ۔
------
Sahih Hadees
Sahih Muslim Hadees # 7001
Alhumdulillah beautifully designed Islamic Images in Arabic, Azkar Quran Short Ayat Dua.
Islamic Images
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo
Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...
-
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗ Sawal: Inmein se kaunse amal ke bare mein farmaya gaya hain ke ye Momeen ka behtareen amal hain A: Namaz B: Sila R...
-
Bismillahirrahmanirrahim Jannat kahti hai ki YA ALLAH isko jannat mein dakhil farma ----------------- Rasool-Al...
-
Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Namaz Mein khade hone se pehle padne ke azkar aur uska ajar ----- Umm Raafia RadiAllahu Anhu se riwayat ha...
-
Bismillahirrhamanirrahim Aasan hisab ki dua ----- اَللّٰهُمَّ حَاسِبْنِىْ حِسَا بًا يَّسِيْرًا Allahumma Haasibni Hisaban Yasira --------- ...
No comments:
Post a Comment