❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Do sawal hai!
Ek sahabi ne Umar RadiAllahu anhu se ek aayat ke muttaliq kaha ke iss mein Aap Sallallahu Alaihi wasallam ki wafat ki khabar ya ek misal hai.
Sawal1. Wo sahabi kaun thy?
A. Ali RadiAllahu anhu
B. Abu Hurairah RadiAllahu anhu
C. Abu Ayyub Ansari RadiAllahu anhu
D. Salman Farsi RadiAllahu anhu
E. Maaz bin Jabal RadiAllahu anhu
F: Ibne Abbas RadiAllahu anhu
G. Inn mein se koi nahi
H Sahi Jawab ka intezaar
Sawal2. Wo aayat kaunse surah ki hai?
A. Surah-Al-Baqra
B. Surah Naas
C. Surah fatiha
D. Surah Nasr
E. Surah waqia
F Surah Falaq
G. Inmein se koi nahi
H Sahi Jawab ka intezaar
**************
Sahi Jawab - FD✅
Reference📚:
-------
Umar RadiAllahu anhu ne boorhay badri sahaba se Allah taala ke irshad « إذا جاء «إذا جاء نصر الله والفتح yani ”jab Allah ki madad aur fatah aa pahoochi“ ke mutaliq poocha to unhon ne jawab diya ke is se ishara bohat se shehron aur mulkon ke fatah honay ki taraf hai. Umar RadiAllahu anhu ne kaha : Ibn Abbas tumhara kya khayaal hai? Ibn Abbas RadiAllahu Anhu ne jawab diya ke iss mein Aap Sallalahu Alaihi wasallam ki wafaat ki khabar ya ek misaal hai goya Aap Sallalahu Alaihi Wasallam ki mout ki Aap ko khabar di gayi hai .
-------
عمر رضی اللہ عنہ نے بوڑھے بدری صحابہ سے اللہ تعالیٰ کے ارشاد «إذا جاء نصر الله والفتح» یعنی ”جب اللہ کی مدد اور فتح آ پہنچی“ کے متعلق پوچھا تو انہوں نے جواب دیا کہ اس سے اشارہ بہت سے شہروں اور ملکوں کے فتح ہونے کی طرف ہے۔ عمر رضی اللہ عنہ نے کہا: ابن عباس تمہارا کیا خیال ہے؟ ابن عباس رضی اللہ عنہما نے جواب دیا کہ اس میں آپ کی وفات کی خبر یا ایک مثال ہے گویا آپ کی موت کی آپ کو خبر دی گئی ہے۔
-------
Sahih Hadees
Sahih Bukhari Hadees # 4969
Alhumdulillah beautifully designed Islamic Images in Arabic, Azkar Quran Short Ayat Dua.
Islamic Images

La Ilaha IllAllah
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo
Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...

-
Bismillahirrahmanirrahim ✦ Kalma-e-Shahadat ki taqat aur uski ahmiyat --------------------- Abdullah bin amr bin aas...
-
Bismillahirrahmanirraheem ✦ Jazak Allahu Khairan - Allah aapko achcha sila ata farmaye --------------- ✦ Usamah bin zaid radi allahu anhu se...
-
✅ Ramadan Check List ✅ Try to make all the following deeds your routine during these days of Ramadan. 1️⃣ Fasting (The fast in which ...
-
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗ Sawal: yh misal kis ke liye farmaye hain ke jab iss ki khushi dil mein sama jati hai toh phir is ko koi bura nah...
-
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗ Sawal: Inmein se kaunse amal ke bare mein farmaya gaya hain ke ye Momeen ka behtareen amal hain A: Namaz B: Sila R...
-
❗Only-Quran-Hadith Quiz❗ Sawal: kaunse shakhs ke gunaho ko Allah Subhanahu itni he miqdaar mein kaffara bana dega A: apni kisi pyari cheez ...
-
Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Ghusal khane mein peshab karne se bacho kuynke... ---- Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne iss se m...
-
Bismillahirrahmanirrahim Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam har subah 100 martaba bakshish talab kiya karte thy (Astagfirullah) ---- أَ...
-
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗ ❗Jawab ek se ziyada hai Sawal: Mahfhum e hadith ke mutabiq wo kaun sa Amal hai agar koi shaqs dhiklawe ke khati...
No comments:
Post a Comment