Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Tuesday 21 April 2020

kaunse shaqs ke liye farmaya gaya hai ke goya wo haq se bhatka huwa hai

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: kaunse shaqs ke liye farmaya gaya hai ke goya wo haq se bhatka huwa hai

A: Salam ka jawab nahi dene wala shaqs
B: Joh Salam mein pehal karna taqabbur samjhta ho
C: Qata Taluqi karne wala
D: Bidat
E: Na haq Qatal karna
F: Zulm karne wala
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka Intezaar

****************

Sahi Jawab - C✅

Qata taluqi karne wala shaqs aisa hai jaise wo haq se bhatak gaya aur agar uss par faut hojaye toh wo kabhi bhi Jannat mein dakhil nahi hoga

Reference📚:
-------
Hisham bin Aamir RadiAllahu Anhi sr riwayat hai ke kehte hain ke mein ne Rasool-Allah Sallalahu Alaihi wasallam ko farmate  huwe suna kisi Musalman ke liye jaayaz nahi ke woh kisi Musalman se teen din se ziyada Qata taluqi kare kyunke yh dono jab taq apne haraam kaam par rahenge haq se bhatkay rahenge un mein jo shakhs ruju karne mein Sabaqat karta hai is ka Sabaqat karna is ke liye kaffara hai agar woh Salam kahe aur dusra shakhs is ko jawab nah de to farishtay usay jawab dete hain jabke dusray shakhs ko shaitan jawab deta hai agar woh isi qata taulqi par faut ho jaye toh kabhi bhi Jannat mein jama nahi hon ge.
-------
ہشام بن عامر رضی اللہ عنہ  سے مروی ہے کہ کہتے ہیں کہ میں نے رسول اللہ  ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌کو فرماتے ہوئے سنا: کسی مسلمان کے لئے جائز نہیں کہ وہ کسی مسلمان سے تین دن سے زیادہ قطع تعلقی کرے کیونکہ یہ دونوں جب تک اپنے حرام کام پر رہیں گےحق سے بھٹکے رہیں گے ان میں جو شخص رجوع کرنے میں سبقت کرتا ہے اس کا سبقت کرنا اس کے لئے کفارہ ہے اگر وہ سلام کہے اور دوسرا شخص اس کو جواب نہ دے تو فرشتے اسے جواب دیتے ہیں جبکہ دوسرے شخص کو شیطان جواب دیتا ہےاگر وہ اسی قطع تعلقی پر فوت ہوجائیں  تو کبھی بھی جنت میں جمع نہ ہوں گے
-------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 453

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...