❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Jawab ek se zaiyda hai
Sawal: wo kaunsa gunah hain jisko karne wale ko duniya mein bhi jaldi saza di jati hai aur akhirat mein bhi iss ke liye saza ka intezam (bandobast) hoga?
A: Tane dene wala
B: Ehsan jatane wala
C: Sarkashi karne wala
D: Jhoot bolne wala
E: Hasad karne wala
F: Qata Rehami karne wala
G: Na insafi karne wala
H: Sahi Jawab ka Intezaar
**************************
Sahi Jawab - CF✅
Reference📚:
-----
Abu Bakr RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Sirkashi aur Qata Rehami se barh kar koi gunah aisa nahi jis ke karne wale ko Allah Subhanahu ta’ala jald he duniya mein saza de aur is ke sath sath Akhirat mein bhi is ke liye saza ka bandobast ho.
------
ابو بکرہرضی اللہ عنہ سے مرفوعا مردی ہے کہ: سر کشی اور قطع رحمی سے بڑھ کر کوئی گناہ ایسانہیں جس کے کرنے والے کو اللہ تعالیٰ جلد ہی دنیا میں سزا دے اور اس کے ساتھ ساتھ آخرت میں بھی اس کے لئے سزا کا بندوبست ہو۔
-----
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 167
Alhumdulillah beautifully designed Islamic Images in Arabic, Azkar Quran Short Ayat Dua.
Islamic Images
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo
Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...
-
Bismillahirrahmanirrahim Jannat kahti hai ki YA ALLAH isko jannat mein dakhil farma ----------------- Rasool-Al...
-
Bismillahirahmanirrahim Wa antum fa JazakAllahu khairan --- Aur aapko bhi Allah aapko bhi achcha Sila ataa farmaye --- And you ...
-
Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...
-
Bismillahirrahmannirrahim اللَّهُمَّ اسْتُرْ عَوْرَتِي وَآمِنْ رَوْعَاتِي Allahummastur awrati, wa amin raw'ati ----- Eh Allah Mere A...
No comments:
Post a Comment